Logo

~ question ~

SD and Z
and all other

can you explain me this please ?
"CHAHAT" se kya matlab hota hai


Posted on 10/29/2005 11:21:51 AM

rb
jehan tak is HADEES k bare mein baat hay to yay HADEES kaheen mojood nahi barae meharbani koee bata sakta hay k kis book mein yay hadees hay...

Posted on 11/1/2005 3:39:27 PM

I have seen this before but I never found any ref to any authentic book. It may be that someone has paraphrased it to grab attention.

Sall's Q: In the text in ref, it means desires.

Posted on 11/1/2005 10:41:45 PM

iss k upper Jawad Ahmed ney gana bee gaya hai.....
luv it

Posted on 11/1/2005 11:16:55 PM

it sounds more like something out of Bible.ALLAH knows better.

Posted on 11/3/2005 10:59:20 AM

Smooth_daddy:
I have seen this before but I never found any ref to any authentic book. It may be that someone has paraphrased it to grab attention.

Sall's Q: In the text in ref, it means desires.

nahi naaa SD
matlab k................

can you explain DESIRE

Posted on 11/4/2005 11:09:57 PM

will would b more appropriate.sacrifice your own will on that of ALLAH,then ALLAH will bestow on u what u want.and probably u have an explaination in your mind,phir hamara imtihan kyun leti hain

Posted on 11/5/2005 11:11:57 AM

Chahat ka matlab wo e hey jo hey,

Jese hum Allah Ta'ala se koi dua mangtay hain, if we need something, ya we want something.
Ab humara ilm to naqas hey, v dont know k jo hum chahtay hain,wo humaray liye behter hey ya nahi. ALLAH knows..

so agar wesa na ho jesa hum sochtay hain ya dua kartay hain,to is baat pe raazi rehna chahiye k ye ALLAH ki raza hey aor isi main humari behtri hey, Bcoz HE loves Us..

Posted on 11/5/2005 5:02:06 PM

correct dr.sab

Posted on 11/5/2005 10:25:49 PM

agree sam

but i believe k jab tak meri saans chal rahi hai uss wakt tak mujhe koshish aur dua karte rehna chaiye
jab tak jaan hai Allah ki zaat pe umeed bhi hai


how can I be sure k Allah miyan ne mere liye kya decide kiya hai,, meri koi dua foran kabool nahi hoti ka matlab yeh to nahi k kabhi ho gi hi nahi,, ho sakta hai yeh imtehan ho mera k let s see yeh kab tak umeed kayam rakhe

Posted on 11/6/2005 3:51:50 PM

dekhain Sall,

duaa pooray dil se mangain. Jese k mangnay ka hukm hey, k agar jootay ka tasma bhi toot jaye ya namak khatam ho jaye to wo bhi ALLAH se mangna chahiye....

lekin dil main ye hona chahiye,

K hona wo e hey jo behter hey, agar ye behter hua to hojaye ga, na hua to Humara pyara RABB ye nahi karay ga..


Posted on 11/6/2005 3:55:14 PM

exactly,aur jo dua qabool nahin hoti us ka qayamat main ALLAH itna ajar de ga k insan khahish kare ga k kash meri koi bhi dua dunia main na qabool hoti

Posted on 11/7/2005 10:41:34 AM

hmmmmm... so humain duaa mangtay rehna chahiye, jo bhi hum chahain, lekin is imaan k sath k agar ye cheez humaray haq main behter hui to Allah day ga, otherwise nahi..

aor agar duaa qabool nahi hoti to jese Nikammay bhai ne kaha k us k badlay qayamat walay din nekiyan milain gi..


Posted on 11/7/2005 4:25:41 PM

but dua ki qabooliat k liay kuch conditions bhi hain,like dua ka maqsad jaiz hona chahiay,rizqehalal etc.so if our prayers r not answerd,first we must look at ourselves

Posted on 11/8/2005 9:40:19 AM

g nikammay bhai, ye to bohat imp baat hey, v must fulfil conditions...


Posted on 11/8/2005 11:31:53 AM