Logo

Teri Khatir Hai Zindagi

Mujhe Muskurane Do
Zara Sukoon Paane Do

Mujhe Wehshat Se Door
Aur Door Jaane Do

Teri Khatir Hai Zindagi
Mujhe Iss Mein Samane Do

Ek Takhleeq-e-Khuda Ko
Khuda K Lutf Utane Do

Mere Khatir To Koi
Yeh Kahe Zamane Ko

Bara Hi Tangdast Hai Yeh
Na Chair Ab Deewane Ko

Louche Ko Zindah Rehne Do
Ya Marjaane Do

Her Soorat Ab Isay
Isay Muskurane Do

Posted on 10/31/2005 5:02:25 AM

Mujhay Weshat say Duur
Aur Duur Jaanay dou

Posted on 10/31/2005 8:00:03 PM

hey

Posted on 10/31/2005 10:31:25 PM

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam
Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain
Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain
Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai
Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein
Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein
Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de
Toot jaayein na lamhe aitbaar ke
De koi sila mere intezaar ka

Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Teri hoon teri jo chaahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gam de de
Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna
Raaste mein khoyi hai manzil meri
Mere saath jayengi mushkilein meri

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam
Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam

Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai
Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai
Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai
Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .


M THE BEST RIGHT

Posted on 10/31/2005 10:43:47 PM

Tu raaz dil kay kehan khlta hai
Teri aankhon ka lehja bolta hai

Posted on 10/31/2005 10:47:08 PM