kaha tha na........!
mujhey tum ess tarha soote maat chourd k jana
mujhey beshaq jaga daina
bata daina
mohabbat k safer main sath mairey chal nahin saktey
judai k safer main sath mairey chal nahin saktey
tumhain rasta badalna hai
mairey haad sai nikalna hai
tumhain kiss baat ka daar tha
KAI
tumhain janey nahin daitey?
kahin pai qaid kaar laitey?
AREY PAGHAL
mohabat ki tabiyaat main zaberdasti nahin hotti
jinhaein rasta badalna hoo
unhain rasta badalney sai
jinhaein haad sai nikalna hoo
unhain haad sai nikalney sai
nah koi rouk paya hai
nah koi rouk paye ga
tumhaein kiss baat ka daar tha?
mujhey beshaq jaga daitey
bata daitey
main tum ko deikh hi laitey
tumhain koi duva daitey
kam sai kam yun tu nah hota
tumharey baad khonai k liye kuch bhi nahin baki
mager main khonai sai darti hon
main abb sonai sai darti hon
abb app loag bhi kuch sunaein main INSHALLAH kal kuch aur lai k haazir hon gi
yeh poem is one of my very favourite poem
esp ess ki ending i hope app ko bhi pasand aye gi
Jiss raat khul k baraste hain tere hijar k badal
Uss shab ko kehin subah ka tara nahi hota
Mere pehlu mein chala ata hay yoonhi aksar
Woh gum jis ko hum ne kabi pukara nahi hota
khawab ankhon ko jagate tu koi baat bhi thi
dil main halchul si machatey tu koi baat bhi thi
chourd k janey ki reet tu purani hai booohut
tum aa kaar na jatey tu koi baat bhi thi