Logo

<::: Aietbaar :::>


Kya kehtay hain aap is k baray main
Aaapki zindagi main kitni involvement hey is lafz ki,
kin logon pe aietbaar kartay hain, aor kion kartay hain
Log aap pe aietmaad kion kartay hain
aor jab aietbaar toot jaye to kya feel hota hey,
aor agar aap kisi ki aietbaar tord dain(janay ya anjanay main) to kesa feel hota hey...

(NOTE=I M POSTING IT HERE COZ I THINK ITS SERIOUS TOPIC. )


Posted on 11/18/2005 8:41:22 PM

I always Trust everybody..And AL Hamdulillah..Aaj Tek koi Nakhushgawaar waqiya nahin hua meray saath

Posted on 11/19/2005 9:23:44 PM

Agree SRK...Duniya Makaafaat-e-Amal hay...

Posted on 11/20/2005 9:35:48 PM

ACHA.


TRUST aam insaanon k beech nahi hona chahiye,,

jese hum log hain, yahan jb pe, most of us dont know each other, buss postings se andaza hota hey, cant v trust such people..

ya aisay keh lain Trust sirf Mohabbat k relations main hota hey?

Posted on 11/21/2005 11:47:01 PM

Aaapki zindagi main kitni involvement hey is lafz ki,
mere nazdeek poori zindagi commitements se bandhi hai,, aur commitement bager trust k mumkin nahi,,
u can imagine the importance of this word

kin logon pe aietbaar kartay hain, aor kion kartay hain
hmm,, Allah pe aitbar karte hein,, logon pe kar k bhi dil darta hi rehta hai,, so i try to keep my distance with everyone
offcourse, except sall, my sis,, and vv few other ppl

Log aap pe aietmaad kion kartay hain
kyun k...........
logon se pucho


aor jab aietbaar toot jaye to kya feel hota hey,
aitbar torne waale pe depend karta hai,, usse apni galti ka sache dil se ehsas hai to foran bhool jati hu

aor agar aap kisi ki aietbaar tord dain(janay ya anjanay main) to kesa feel hota hey...
Allah ka shukar hai abhi tak aisa nahi hua
Insha Allah ainda bhi nahi hoga

Posted on 11/22/2005 12:12:31 AM

aam insanon k beech trust ??
samajh nahi i




ab its like hmm.....
meri jitni jaan pehchan hai jb members se uss lehaz se i trust a lot of ppl here
par iss ka matlab yeh bhi nahi k me apni pooooori zindagi sab k samne khol du

Posted on 11/22/2005 12:14:35 AM

nahi I wanted too say...

Trust sirf relations main e hota hey,

Mera dil chahta hey, main sab pe trust karoon...

pata nahi kion... Trust karna sirf ye e nahi hota k aap apni poori zindagi kisi ko bata dain , SALL.. Hmmm matlab Trust to har jaga hona chahiye na...


Posted on 11/22/2005 12:18:04 AM

yep
trust harr jaga hona chaiye
par har jaga ki apni apni limits hein


mera dil chahta hai k koi mujh pe trust na kare
kyun k its a big responsibility

Posted on 11/22/2005 12:31:08 AM

responsilbilities se kion darr lagta hey Sall..


Posted on 11/22/2005 12:36:01 AM

kisse nahi lagta darr ???
sab darte hein,, tabhi eitbar torte hein

mujhe bhi darr lagta hai par shukar hai
abhi tak darr k bhagi nahi abhi tak,, ainda bhi nahi Insha Allah

Posted on 11/22/2005 12:39:38 AM

i dont know if i have a criteria of trusting people, in my case i trust every one to an extent unless they prove them selves non trust worthy.
i read some where .. apne dost ko apne itnee batain na batao kah agar woh tumhara kabhii dushman ban jae to tum ko koi bara nuqsaan poncha sakay....

Posted on 11/22/2005 1:04:30 AM

BayQarar. to agar dost se bhi dartay e rehna hey aor us ko sab batain nahi batani.. to ... kahan ka aietbaar,

theek hey v must b careful in our dealings, lekin phir Aitbaar to na ua na...


Posted on 11/22/2005 1:29:23 AM

SALL:
kisse nahi lagta darr ???
sab darte hein,, tabhi eitbar torte hein

mujhe bhi darr lagta hai par shukar hai
abhi tak darr k bhagi nahi abhi tak,, ainda bhi nahi Insha Allah




jo dartay hain wo aietbaar tordtay hain,?

even they dont take responsibility, phir kesa darr...


Posted on 11/22/2005 1:30:32 AM

u dont take responsibility coz u r afraid of pbs u ll have to face
rite

Posted on 11/22/2005 10:57:00 PM


Posted on 11/23/2005 12:42:28 AM

kya ho raha hey...


Posted on 11/25/2005 12:31:58 PM

Mere kiyal se aietbaar banany me aik arsa darkar ha,lakin bigarney k liey 1 second lagta ha.agr hum kisi par aietibaar nahi karegay tu humari liey zindagi bhut mushkil hu jaygi.

Humhe zinda rehney l liey kisi na kisi par aietbaar krna huta ha.



Doctor Sam:

Kya kehtay hain aap is k baray main
Aaapki zindagi main kitni involvement hey is lafz ki,
kin logon pe aietbaar kartay hain, aor kion kartay hain
Log aap pe aietmaad kion kartay hain
aor jab aietbaar toot jaye to kya feel hota hey,
aor agar aap kisi ki aietbaar tord dain(janay ya anjanay main) to kesa feel hota hey...

(NOTE=I M POSTING IT HERE COZ I THINK ITS SERIOUS TOPIC. )


Posted on 12/28/2006 7:54:36 PM

yaani aietbaar karna majboori hey?

Posted on 12/29/2006 7:15:04 PM

Aitebar bus eik word hia

log is word ko tu use kertey hain per


is ka duniya mein koi wajood nahi

Posted on 1/28/2007 12:01:31 AM