main giraah main baandh k haadsaat
nikal parda teri khoj main
kahein taarkol ki thi sardak jahan aag bant-ti dhoop thi
kabhi kachhi raah ki dhool main jahan saans lena mohaal tha
sar-e-zarm-e-jaan kabhi dil k dard se haar kar
main to khaanqaahon pe maangta phir minattain
kabhi raat raat basar duaon main ho gai
kabhi qafilay meri aas k kisi dasht-e-yaas main kho gaye
mera perhan tha phata hua,kahien gard gard ataa hua
main adhooray pan k saraab main
tujhay dhoondta phir dar-badar
kisi ajnabi k deyar main
koi dukh mila kisi mord par
koi ghum mila kisi chok main
kisi raahguzar k sakoot main koi dard a k daraa gya
kabhi chal parda, kabhi ruk gya
kisi kashmakash k ghubaar main
mujhe kya mila tere pyar main
main giraah main baandh k haaadsaat
kahien gum hua teri khoj main...
ye duniya ik saraye hey
saraye main zara c dair ko hum tum ikathay hain
kisi naa-deeda sa'at k kisi lamhay
humain lambi musaafat k liye yahan se kooch karna hey
saraabon se nikalna hey
humain khwabon main dhalna hey
ik aisa khwab
taabeerain bohat jis ki suhaani hain
ik aisa khwab jo maqsoom ho jaye naseebon ka
Mohabbat k saheefon ka
bichardnay se zara pehle
hum apni khushbuon ko phool ka paikar ataa kar dain
Mohabbat ko amar kar lain..
yes i m trying to keep it up..
infact it takes time to write in urdu, but now-a-days i m writing my most favs in urdu,
Kabhi yaad aao to istarah, is my most fav,