Logo

murjha rahi hai

zindagi hathoon say ja rahi hai
sham say pahlay raat aa rahi hai







jo kabhi maray marnay ki baat sun k khafa ho jata tha, dhukhi ho jata tha...

ab pochta hai k tum marti kyon nahin, mujhay marnay ki tips daita hai...

agar maray marnay main uski khushi hai tu Ya Allah mujhay maut day day... coz main kaisay usay dukhi daikhoon, kisay usay kisi aur ka hotay daikhoon?

Posted on 11/21/2005 3:37:30 PM

aur bhi ghum hain zamanay main mohabbat kay siwa
rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwa


Allah ka shuker kerna seekho dear kay oos nay tum ko sehat mand paida kya
is depression say niklo dear

her cheez ko negatively na socho

be positve

ager oos nay(jis nay bhi kaha)aisa kaha to is baat ka yeh matlab na nikalo kay woh tum say chhutkara chahata hai
is ko aisay bhi socha ja sakta hai kay
woh tum ko jaan boojh kay tang ker raha hai
ager main tumhari jagha hoon aur mujh say aisa kaha jaye to main kahoon gi

tumhain maar kay meron gi

so my dear
khush rehnay ki koshish to ker kay daikho

duniya main bohat logon ko bohat baray baray dukh hotay hain
ager socho samjho to tumhara dukh tum ko bohat kam lagay ga

hamesha neechay daikho ooper nahin
meri baton ka bura na man;na
aik frndly mashwera tha
God bless u

Posted on 11/21/2005 6:48:49 PM


Posted on 11/21/2005 9:05:11 PM

QV thanx alot ap nay buhat achi baat ki but jab jab ya sochti hoon k woh kisi aur ka ho jaay ga tu ankhain bhar atii hain... kuch bhi acha nahin lagta coz main kaisay apni zindagi kisi aur ko day doon... i feel like killing myself... mujh say ya bardasht nahin hota jab ya yaad ata hai k uski shadi kisi aur say ho jaay gi jabkay promise mujh say kiya

Posted on 11/21/2005 11:18:04 PM

Let See !!!


Waisay I think...U should Also make a Decision...Dont Delay It

Posted on 11/22/2005 11:01:12 PM