apny hatoon ki lakrooon mai basaa lay mu ko
mai hoon tera tu naseeb apna bana lay muj ko
muj say tu pochny aya hai wafa k manie
yah teri sada dili mar na dalay muj ko
khud ko mai baunt na daloon kaheen daman daman
kar diya tu ager mery hawalay muj ko
i love dis ghazal sung by jagit singh
rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye
din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye
aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye
pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye

a beautiful ghazal song by mehdi hassan...![]()