~ Masoom Chehra Nigaahen Farebi~
Labon Pe Hasni Aur Dil Mein Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra … daga Hai
Dil Tod Diya, Kyon Itna Bata De
Phir Baad Mein Bewafa Jo Chaahe Mujhko Saza De
Teri Berukhi Se Pareshaan Hoon Mein
Na Aaye Samajh Mein Yeh Kya Maajra Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
Kya Usko Kahen Jo Kasmon Ko Bhoole
Apno Se Karke Jafa, Gairon Ki Baahon Mein Jhoole
Nazar Mein Basa Ke Nazar Pher Lena
Yeh Kaisi Mohabbat Yeh Kaisi Wafa Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
Jo Bharta Nahin Woh Zakhm Diya Hai
Mujhko Nahin Pyar Ko, Badnaam Tune Kiya Hai
Jise Maine Pooja Maseeha Bana Ke
Na Tha Yeh Pata Pattharo Ka Bana Hai
Masoom … Daga Hai
Mile Dost Jisko Yahan Tere Jaisa
Use Dushmanon Ki Zaroorat Hai Kya Hai
Masoom Chehra … Daga Hai
![]()
great work here, LG.
NICEEE
NICEEE
thank you dear![]()
![]()
![]()
NICEEE
thank you dear![]()
![]()
![]()
my pleasure sis![]()
![]()
![]()
![]()
![]()
Lovely girl
![]()
ur back
![]()
nice poetry beauty![]()
![]()
Hamein Mehsoos hota hai
Zamane ki tarah TUM bhi
Mohabbat k haseen khaamosh jazbon ko
Lafzon ki zubaan day kar
Bahot kuch sun-na chahtay ho
Magar Apni tabiyat k
Hamein Izhaar jazbon ka
Kabhi acha nahi lagta
Sunna hai PIYAR ka Din hai
So hum apni tabiyat ki
Pasando-Napasand ab k
Balaa-e-Taaq rakhtay hein
"TUMHARI" hai khushi isme
To kehnay me haya kesi
Chalo HUM keh hi dete hein
""Humein "TUMSE" MOHABBAT hai"
us raat aasmaan pe taarey they is kadaR
dushwar ho raha tha safar mahtaab ka
Ik bekinaar hijaR ka dasht-e-chaman numa
aa'ttki hui thi nakhl-e-tamanna ki shaakh paR
fasal-e-paReeda rang ki masli hui qaba
Ik ajnabi duwa
khilney lagey they dast-e-hawa par khizaN key phool
jaati hui bahaar k tootey huwey asool
chehRa azal ki aag tha aaNkheN abad ki dhool!
us raat tootey huwy taaroN ki goonj meiN
ham kitni deR chaltey rahy kuch pata nahi
kab tak ham apney an-kahey lafzoN ki kirchiyaN
farsh-e-hawa se chuntey rahey kuch pata nahi
shabnam k saath saath chamkey tamaam shab
taarey they k wo aks meray aaNsu’oN key they!
kyuN kurbatoN k shor meiN ghutney laga tha dam
kismat k they k halqey terey baazu’oN k they
Kuch pata nahi
gard is qadaR hai aaina-o-maah-o-saal paR
khaaboN k aks apney khad-o-khaal kho gaye
aaNkhoN k rang ley gai taaroN ki roshni
chehroN k naksh ray'et ki tehreeR ho gaye
taktey they dil ki simt jo qarnoN ki ott sey
benaam khaahishoN k wo mosam badal gaye
soorat garoob ho gaye, mehtaab dhal gaye
taair shaheed ho gaey, ashjaar jal gaye
saahil ka jhaag ho k mitey ya k rizq-e-abr
aata nahi palat k kabhi jo gaya — gaya
lekin ye kya k aaj bhi jis raat mehtaab
taaroN k bekinaaR meiN rasta na paa sakey
aa'NkhoN meiN jilmilaatey huwy aaNsu’oN k paaR
milti heiN is tarhaN sey zamaanoN ki sarhadeN
chalta nahi pata
Ham peechey reh gaye heiN k aagey nikal gaye !!!!
Walaikum Salam
thank you sis![]()