Logo

ghazal

zikar shabay farak say wehshat usay bhe the
mere tarahn kisi say mohabat usay bhe the
mugh ko bhe shoq tha nayiay cheron ke ded ka
rasta badal kay chalnay ke aadat usay bhe the
us raat deer tak raha woh mahevay guftgo
masrof main bhe kam tha faraghit usay bhe the
mugh say bichadr kay shehir main mil geyia woh shiks
halankay shehir bhar say adawet usay bhe the
woh mugh say badrkay zabat ka aade the je geyia
warna har aik sans qeyiamat usay bhe the
tanha huwa safar main to mugh par khula yeh bheed
saye say pyiar dhop say nafrat usay bhe the

                                                    (mohsan naqve)

Posted on 11/5/2006 4:47:31 AM

very nice



saye say pyiar dhop say nafrat usay bhe the

Posted on 11/5/2006 5:01:22 AM

thanko sir je

Posted on 11/5/2006 5:05:08 AM

buhat achi poetry hain

Posted on 11/5/2006 7:51:55 AM

nice jee nice

Posted on 11/5/2006 2:43:06 PM

tanha huwa safar main to mugh par khula yeh bheed

Very nice sir.

Posted on 11/5/2006 5:37:06 PM

thanko s s,onl,denie

Posted on 11/6/2006 1:23:21 AM