Logo

jo meri aankhon se



Posted on 11/7/2006 8:51:19 AM

jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek bhi shab na so sako gay
kay laakh chaho na hans sako gay
hazaar chaho na ro sako gay
kay khwaab kya hain,azaab hain yeh
mairay dukhon ki kitab hain yeh
rafakatein in may chootti hain
mohabatein in main rothti hain
panapti hain in may wehshatain si
aziyatein in may phootti hain
inhi kay darr se khizaa hay jazbay
inhi say shaakain si phootti hain
ghamon ki bandish hay khwaab mairay
dukhho ki baarish hain khwaab mairay
ubal raha hain dukhon ka laawa
raheen atish khwaaab hain mairay
khyaal saray jhulas gaye hain
sulagti khwahish hay khwaab mairay
ukharti saansein hain zindagi ki
lahoo ki saazish hain khwaab mairay
jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek shab bhi na so sako gay

Posted on 11/7/2006 8:59:16 AM

wah wah wah wah wah
5 star out of 5

Posted on 11/8/2006 1:10:14 AM


Posted on 11/8/2006 1:13:21 AM

great
thanks for sharing

Posted on 11/8/2006 1:20:07 AM

thanks to all of you

Posted on 11/8/2006 8:19:22 AM

you cum cum

Posted on 11/8/2006 2:46:18 PM

wah wah!!
wah wah!!
wah wah!!

nice poetry

Posted on 11/9/2006 8:30:37 AM

thanks

Posted on 11/10/2006 8:35:43 AM

asaneyion say poch na manzal ka rasta
apnay safar main rah kay pathar talash kar
zaray say kayenat ke tafser poch lay
qatray ke waston main samndar talash kar

Posted on 11/14/2006 1:43:18 AM

Bahut-khoob!

Posted on 11/14/2006 7:06:05 AM

good ha

Posted on 11/14/2006 8:45:45 AM

tano dowan no thanko

Posted on 11/15/2006 12:54:47 AM

welcome jee

Posted on 11/16/2006 8:35:11 AM

ansoo nikal padray to lag eh gaye
izharay ghum ka warna salika na tha mughay

Posted on 11/17/2006 1:18:22 AM

waisay aapko itnay ziyada shair kaisay aatay hain.

Posted on 11/17/2006 8:16:11 AM

good 1.........

Posted on 11/17/2006 7:03:17 PM

rakh apnay pas apnay mehr o mah aey falak
hum khud kisi ki ankh k taray hain in dinon

Posted on 11/18/2006 12:20:03 AM

wah wah kya baat hain.

Posted on 11/19/2006 9:37:37 AM

zabardast je

Posted on 11/19/2006 5:09:07 PM

sun_shine:
waisay aapko itnay ziyada shair kaisay aatay hain.

raz ki bat hai kisi ko batana nahin meri sis ki diari hai usko parta hon or chura layta hon wahan say

Posted on 11/19/2006 5:10:13 PM

oh kisi ki diary nahi parhni chahiye jee.khaas kar ladkiyon ki to bilkul nahi.

Posted on 11/20/2006 8:48:00 AM

aray ijazat lay kar parta hon us main srif sher hotay hain je main shalif bacha hon ap mughay esa wesa samghti hain

aik mudat say meri maa nahin hai soye
mainay aik bar kaha tha mughay dar lagta hai

Posted on 11/21/2006 1:56:08 AM

wah wah kya poetry hain jee.
mothers aisi hi hoti hain.

Posted on 11/21/2006 8:29:47 AM

or hum badnasib phir bhi unki qadar nahin kartay uper wala hamayen hadyiat day

Posted on 11/23/2006 1:32:09 AM

sun_shine:
jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek bhi shab na so sako gay
kay laakh chaho na hans sako gay
hazaar chaho na ro sako gay
kay khwaab kya hain,azaab hain yeh
mairay dukhon ki kitab hain yeh
rafakatein in may chootti hain
mohabatein in main rothti hain
panapti hain in may wehshatain si
aziyatein in may phootti hain
inhi kay darr se khizaa hay jazbay
inhi say shaakain si phootti hain
ghamon ki bandish hay khwaab mairay
dukhho ki baarish hain khwaab mairay
ubal raha hain dukhon ka laawa
raheen atish khwaaab hain mairay
khyaal saray jhulas gaye hain
sulagti khwahish hay khwaab mairay
ukharti saansein hain zindagi ki
lahoo ki saazish hain khwaab mairay
jo meri aankhon se khwaab dekho
to ek shab bhi na so sako gay



Posted on 11/23/2006 5:40:00 AM

thanks
per hum inshallah koshish zaroor karaingay kay unko hamari wja se koi dukh ya takleef na ho.

Posted on 11/23/2006 8:43:24 AM

beautful poetry shared.

Posted on 11/23/2006 9:10:24 AM

sun_shine:
thanks
per hum inshallah koshish zaroor karaingay kay unko hamari wja se koi dukh ya takleef na ho.

bus uper walaysay achi ameed rakhni chaye kay woh hamari koshish ko kamyiab banaye nahin to boht mar paraygi akhir main

Posted on 11/24/2006 1:00:26 AM

per Allah Rehmaan o Raheem hain.Inshallah woh hamain zaroor kamyaab karaingay.Ameen

Posted on 11/24/2006 9:10:40 AM

sum ameen lakin yeh dar phir bhi nahin jata ager kamyaab na howay to

Posted on 11/27/2006 1:17:38 AM