Logo

U d h a r

islam main udhar wapis karna bohat zarori hota hay ..right?

and agar koi insan foat ho jaey...and us par udhar ho..
to kia usko saza milay gi? agar milay gi to kia?
ya aisay main islam kiya kahta hay?
kia family ko wo udhar wapis karna chahiyay? ( koi mangay ya na mangay...but kia karna chahiyay wapis? )


Posted on 11/28/2006 11:46:48 PM

ALLAH NAY MAAF WO KARNA HAI JO USKAY HAQ KI BAAT HAI.

UDHAR.. BANDOO K HAQOOQ MAIN ATA HAI. AUR YE SIRF WO BANDA JISAY UDHAAR LIYA HO.. WOHI MAAF KAR SAKTA HAI.
UDHAAR WAPIS DENA LAZMI HAI..YE INSAN K MARNY K BAAD BHI MAAF NAHI HOTA.. HAN INSAN KI NIYYAT HO K WO UDHAR WAPIS KAR DEGA... TO ALLAH PHIR MADAD FARMAINGY...

Aur rahi baat saza ki to.. sab say bari saza to ye hai k aapki jo naikiyaan hongi wo uss udhar k badly di jaingy..agar naikian poori na paren to phir usbandy k guunah apko diye jaingy.

islye insan ko kisi ka haq nahi marna chahye.

Posted on 11/30/2006 10:31:33 AM

ager koi foot ho jaye to uskay warison ko chaye kay uska udhar wapis karayn beshak koye mangay ya na mangay baqi batayn already clear ho gaye hain

Posted on 12/1/2006 12:57:21 AM

yaa
agar koi wafaat pa jae to iskay wariso ko chahiye kay uska udhaar chuka day.agar uskay waaris i mean children na ho to uskay kareebi rishtay daar agar woh bhi nahi to door kay rishtay daar ko chahiye kay unka udhaar chukaye.
yaa to sirf jis se udhaar liya hai woh banda unka udhaar maaf kar day.

Posted on 12/1/2006 9:07:34 AM

ritee...

Posted on 12/1/2006 10:47:54 AM

uper wala har kisi ko udar laynay ki bajaye daynay kay qabil banaye(ameen) to yeh masla hi na ho

Posted on 12/2/2006 1:09:17 AM

HAN BHAI.. MAGAR YE DIFFERNCES NA HON TO DUNIA CHAL BHI NAHI SAKTI..

Posted on 12/2/2006 3:54:49 PM


hmmm

acha aik question
loan laina bi kia udhar lainay main ata hay
matlab studiez k liyay ham log yahan loan laitay hain
jo k studies mukamal karnay k bad job milnay par lotana hota hay..



Posted on 12/3/2006 11:53:32 PM

mughay zeyiada to nahin pata par meray khyial main to yeh bhi udhar hi hai kyionkay yeh hamari apni ya parents ki kamaye hoye money to hai nahin loan kisi shaiks ka na sahi govt ka to hai na

Posted on 12/5/2006 1:37:39 PM

SmoothDaddy...please can you guide us..?

Posted on 12/5/2006 3:04:40 PM

mmja:
mughay zeyiada to nahin pata par meray khyial main to yeh bhi udhar hi hai kyionkay yeh hamari apni ya parents ki kamaye hoye money to hai nahin loan kisi shaiks ka na sahi govt ka to hai na


oh main question sahi say poch nahin pai thi...
yeah udhar hi main ata hay aik tarha say but mera asal matlab yah tha question say k
agar loan liya ho tab bi aap ki wafat k bad
same hi mamla hoga isay wapis lotanay ka ya diff.

masla yah nahin hay k udhar wapis karnay say bachna hay
balkay yah hay k
agar mainay udhar lay rakha ho ( kisi bi kisam ka to )
apni life main main kia kar sakti hon k
after death mujhe ALLAH say saza na milay.

u c mainay loan lia hoa hay ... and abhi studies mukamal honay main kuch yearz baki hain...
so main thori preshan thi yah soch kar k
agar main mar jaon to kia mujhe gunah milay ga "loan"
wapis na karnay ki wajah say??
aur kia main apni life main kuch kar sakti hon abt it.

Posted on 12/5/2006 9:54:53 PM

ok main apna ans likh raha hon lakin main yeh pehlay bata dayta hon kay main 100% sure nahin hon ho saka to main koshish karonga kay confirm ans day don bad main

bank jo loan dayta hai woh koye garn rakh kay hi dayta hai us case main to kheer hai woh khud hi apni money pori kar layngay lakin ager garn kay beghair hai to meray khyial say same case hoga kyionkay beshak apnay gov say loan leyia hai lakin woh udhar hi hoga kyionkay goc bhi jo money dayti hai woh bhi awam ka hi pesa hota hai or wesay bhi udhar udhar hai beshak kisi insaan say lo ya gov say yeh srif meri apni raye hai
ap itni preshan na hon uper walay nay chaha to na srif ap apna loan lota dayngi balkay happy life guzarayngi so no tension or marnay ki batay bhi nahin

Posted on 12/7/2006 12:02:20 AM

yes un k warison ko cahiye k udhar ada kareain as soon as they can

Posted on 12/7/2006 2:45:48 AM

thanks arbab :)

waiting for your confirm answer mmja

Posted on 12/13/2006 9:28:07 PM

mughay abhi tak yeh information mili hai
daykhayn poranay zamanay main 2 gawah hotay thay jsiki wajah say loan wapis laynay main masla nahin hota tha or ab beghair kisi gart kay koi bhi udhar nahin dayta or ab to banks loan pay apki insurance kara laytay hain takay unhay bad main koi tension na ho isliay kahin bhi books main iskay mutaliq apko jawab nahin milayga kyionkay loan srif gart pay milta hai otherwise nahin milta isliay wapisi ki kisi ko bhi tension nahin hoti
lakin ager ap nahin pay kar patay to same case hoga mean udhar wala hi meri information kay mutabiq

Posted on 12/14/2006 1:12:42 AM

sorry me ne baki sab k replies nahi parhe
may b koi behtar answer kar chuka ho pehle


jiss shaks k sar pe udhar ho uss ko hajj tak karne ki ijazat nahi hai

ab saza kya mile gi yeh me nahi janti,,
par agar aap ko pata hai k koi faut ho gaya bager karz adaa kiye to apni taraf se koshish karo uss ka karz chukane ki,, agar family walon ki itni hesiyat hai to zaroor udhar wapis karna chaiye

+ agar karz dene waale ko ehsas hai k lena waala wapis karne ki hesiyat nahi rakhta to Allah k naam pe karz maaf bhi kar dena chaiye



i ll add just one more thing
its said "kabar pe karz bohot bhari hota hai"
u can understand iss ka kya matlab ho ga,, par mujhe iss ka aik aur matlab samajh aata hai k har woh cheez jo hum pe farz hai ya harr woh kaam jo hamari zimedari hai woh poora kiye bager hum mar ja'ain to apne sar pe karz le k marein ge
chahe woh hamare mazhabi fara'iz hon,, chahe koi waada/kasam, chahe koi karz

Allah miyan hum sab pe rehm karein

Posted on 12/15/2006 3:01:11 AM

Nice discussion going on Masha Allah..

i will add..

Islam is Flexible religion..It gives u many chances to correct urself...

so if some one dies..with Qarz not paid back, Family or frnds can compensate.. And as Ashii said.. jis ka udhar dena hey, wo agar maaf kar day to ye uski neki hogi...

Posted on 12/15/2006 12:57:31 PM