Logo

{ Hum Na Hongay ..... }

>Aasera<:
~Fragi~:



barish ji tree per cherey ga kaun ...... pehlay uperjana seekhna hoga   


Taha bhai ham paharhi log hain
paharhon pal charh jatay hain bhagtay bhagtay
tree tiya teej hay bhala :$

and bati chab tay liyay main hi utar utar kar phenkti rahon gi saib nichay
bas catch karna seekhna hoga sab ko lol



hum b pakistani hain ... catches karney mein tu mahir hian na hum

Posted on 12/7/2006 9:25:04 AM

~Fragi~:
haan per us k aney sey fark tu para na .. shaid koi aur itnee asani sey na dhond sakta


us becharay ne aasani se kab dhoonday?

Posted on 12/7/2006 5:07:10 PM

>Aasera<:
Doctor Sam:


Lucky behna....


hal inchan lucky hota hay kisi na kisi lehaz say
bach uch to pata nahin hota


( ALLAH aap ko zaror kamyabi ata farmain gey ... Ameen! )



hmmmm hey to ye sara khel e hamaray Jannay aor NA jannay ka...


Posted on 12/7/2006 5:08:33 PM

banisbat asani sey hee dhondey na us ney

Posted on 12/7/2006 5:09:05 PM

kya kahain us ko Jo ye samajhta ho k us k hone ya na hone se KUCH nahi hota..


Posted on 12/7/2006 5:10:35 PM

uffffffffffffff aaj hum ne college se a k bilkul rest nahi kiya..

Kitni khushi hey exams khatam hone ki...par thakan se bura haal hey


Posted on 12/7/2006 5:12:48 PM

Doctor Sam:
kya kahain us ko Jo ye samajhta ho k us k hone ya na hone se KUCH nahi hota..




duniya mein aisey log kam hotey hain

Posted on 12/7/2006 5:27:51 PM

ye topic main ne kisi Soch ki waja se banaya tha...

ismain sirf mera EXPERIENCE nahi , kuch OBSERVATIONS bhi thien...

Phir Nasir kazmi ka ye sher parha...

Ye baat to hey k duniya k sab kaam chaltay rehtay hain, kisi aik shakhs k chalay janay ya na honay se duniya khatam nahi hoti, Bazaher zindagi bhi khatam nahi hoti..

Magar.........

Posted on 12/7/2006 7:43:42 PM

waisey 2 b very honest

mera apna bitter experience hia

life totally mess up ho jatee hia kissi k janey sey
din raat ka khiyaal nahi rehta

insaan ko life k colors bhi nahi dekhaeye detey .. bazahir woh banda hansta muskarata hota hia per woh dil sey kabhi khush nahi ho pata

so i wish kabhi koi bhi kissi ko apno sey dur na karey

Posted on 12/7/2006 7:48:10 PM

Meri 2 fav personalities k sath almost aik jesi baat hui..

un main se aik to aik magazine k editor hain. Masha Allah he is one of the persons jin se main bohat inspire hoon. Pehle un ko us magazine se nikala gya jahan unhon ne 10 saal guzaray aor din raat mehnat ki.
Aor nikala kis baat pe gya k wo aisay topics pe likhtay hain jin pe log baat kamm kartay hain (halankay karni chahiye ) ,
Aor ab yun hey k wo e magazine aik doosre editor sahab chala rahay hain aor likhne walay wo e comments de rahay hain jo pehle walay editor ko diya kartay thay, wo e tareef,
Mujhe yun laga k shayad mujhe mila k kamm e log hain jinhain waqai FARQ para hey...

Aik aor example bhi hey, lekin baat lambi ho jaye gi, wo baad main....

Posted on 12/7/2006 7:48:50 PM

yeh tu hai k duniya k kaam nahi ruktey

mera subordinate jis k saath meiney 2 saal sey ziada kaam kiya jo meri her baat ko aab kehney sey pehlay samajh jata tha woh switch kar gaya .. us k upgrade hone per khushi tu thee per dil ko khiyal tha k na janey aab kiya hoga .. per aab i think us k janey kee kami aney waloon ney pori kar dee hai mite b aab mein aapney new junior sey ziada khush hoon .. meri team k sab members mujhe bohat azeez hain aur sab sey hee mujhe dili lagayo hai .. coz hum mostly time bank mein hee tu guzar detey hain .. ghar tu fakat soney hee jatey hain

Posted on 12/7/2006 7:53:54 PM

doosri example.. kal

abhi hum chalay....

ab palat palat jb pe aanay k alawa filhaal koi kaam nahi hey..

aor doosra humain BAAT karna hoti hey....

Posted on 12/7/2006 7:55:45 PM

Phone ka network bhi issi liye aaj kal buzy rehta hai

Posted on 12/7/2006 7:57:48 PM

Haan shayad hum bhi kisi kay liye important hon
jaisay mera dost tha 5 saalho gaye us ko is dunya se gaye huay lekin abhi bhi main us ko bhool nahi paya

Posted on 12/7/2006 11:14:44 PM

Doctor Sam:
Dayam aabad rahay gi Duniya
Hum na hon gay koi hum sa hoga


Kya farq parta hey... shayad bohat kamm log hain jinhain kisi k HONE ya NA HONE se farq parta hey.




ham ko farik parta hia kuch khas logon ke na honye se (family ke elawa)
apun akela feel kerta hai. cuz un ke saath attachment hi esi ho gaye
per kiya hia na ke kuch kismet kharab ho jati hia kabhi kabhi ke ghalat fehmiyan a jati hain.bas woh jo samjh ker samjhota ker leta hai us ko apun apni khushkismati samjhta hia aur jo moun mor ke chaley jatyen hain woh apun ki kismet kharab

jo chaley jatyen hain un ke liye tu me ka hona na hona aik jesa hia
aur tu aur apun jab jaye ga JB per kuch na kuch tu effect daal ke jaye ga
agye kiya hota hai KISMET

Posted on 12/7/2006 11:28:44 PM

wakai jo chala jata hai

woh tu bus chala jata hai

us k baad us k lye jo tarapta hai bus us ko pata hota hia

Posted on 12/8/2006 1:17:15 PM

~Fragi~:
Phone ka network bhi issi liye aaj kal buzy rehta hai


hum to SMS se kaam chalatay hain...

Posted on 12/8/2006 7:58:54 PM

Doosri Example..

Aik banda hey... mera bohat fav. apni field main one and only.. 8 saaal se wo is field main tha. ye field uska passion thi..Aor shayad us ne kabhi na socha ho..k kabhi usay ye chorrna paray ga. Ab yun hey k wo chorr chuka hey... Yaad karne walay usay yaad to kartay hain lekin shayad wo is se bohat zyada deserve karta tha.
i m sure bohat kamm log abhi bhi usay wese e pyar kartay hain jese main.


So, kya aisa e hota hey, Ya hum logon k dil chotay ho gaye hain k jo Nazar aata hey usi ko sab kuch samajhtay hain?????????????????????????

Posted on 12/8/2006 8:06:04 PM

~Fragi~:
wakai jo chala jata hai

woh tu bus chala jata hai

us k baad us k lye jo tarapta hai bus us ko pata hota hia


aaj kal janay walay k liye kamm e log tarraptay hain....

Posted on 12/8/2006 8:07:12 PM

Doctor Sam:
~Fragi~:
wakai jo chala jata hai

woh tu bus chala jata hai

us k baad us k lye jo tarapta hai bus us ko pata hota hia


aaj kal janay walay k liye kamm e log tarraptay hain....



aisa nahi hai sam bhaiya ... aabhi bhi duniya mein aisey logon kee kamee nahi hai

but mite b express her koi nahi karta

Posted on 12/8/2006 10:25:02 PM

Doctor Sam:


hmmmm hey to ye sara khel e hamaray Jannay aor NA jannay ka...



hain?    

Posted on 12/8/2006 10:43:45 PM

hamari post ka reply kiya app k pardosi aa kar karein gay

Posted on 12/8/2006 11:49:25 PM

>Aasera<:
Doctor Sam:


hmmmm hey to ye sara khel e hamaray Jannay aor NA jannay ka...



hain?    


jan-nay aor na jan-nay ka...

Posted on 12/9/2006 12:13:38 AM

kash_beauty:
hamari post ka reply kiya app k pardosi aa kar karein gay


kon say pardosi...

Posted on 12/9/2006 12:14:12 AM

~Fragi~:
Doctor Sam:
~Fragi~:
wakai jo chala jata hai

woh tu bus chala jata hai

us k baad us k lye jo tarapta hai bus us ko pata hota hia


aaj kal janay walay k liye kamm e log tarraptay hain....



aisa nahi hai sam bhaiya ... aabhi bhi duniya mein aisey logon kee kamee nahi hai

but mite b express her koi nahi karta


KAMI hi to hey aisay logon ki

Posted on 12/9/2006 12:16:45 AM

mite b kami na ho per express her insaan nahi kar pata

Posted on 12/9/2006 9:39:51 AM

ji nahin
har ensan ko kasi kay honay aur na honey obviously faraq parta hai
its imposible kay koi isay feel na karay

Posted on 12/9/2006 11:15:11 AM

i was asking generally...


I feel ab logon ko kisi k aanay janay se bohat kamm farq parta hey. They live their own lives.

Posted on 12/9/2006 7:00:56 PM

bilkul sach

Posted on 12/9/2006 7:34:12 PM

sam bhaiya aapka view sun ker mujhe bhi yehi lagney laga hai aab bus

Posted on 12/9/2006 7:39:18 PM