Logo

mughe bas itna hai kehna

Mujhay bas itna kehna hai

Kabhi jab yaad aaoon to

Kabhi tanhai ki raatain

Tumhain ziada sataein to

Kabhi titli na bolay to

Aur jugnoo bhee roothay to

Kabhi jab dil bhi bhar jaye

Koi jab sunn na paye to

Agar sab dost sathi bhi

Jo tum ko chor jaaein to

Kabhi jab khud se lar lar kar

Thakan se choor ho jao

Kabhi chahtay huay bhi khud akelay Ro na paao to

Apni aankhon ko band karna

Mujhay aawaz de dena

Aur phir meray tasawwur se

Jo chaho batain keh dena

Meray kaandhay pe sir rakh kar

Tum jitna chaho ro bhee tum lena

Phir jab main loat jao to

Us he duniya main tum bhee chalay aana

Magar bas itna kehna hai

Ke jab bhi dukh ya khushiyon main

Hamain dil se pukaro gay


Hamain tum saath pao gay.......

Mujhay bas itna kehna hai


Posted on 4/27/2003 12:56:11 AM

kewl.... .. good keep it up

Posted on 4/27/2003 1:01:54 AM

thanxxx[morph]

Posted on 4/27/2003 1:05:57 AM

yaar aur bhi toh bolo

Posted on 4/27/2003 2:12:32 AM

nice poem!!

Posted on 4/27/2003 3:37:25 AM

hm nice poem!!!!

Posted on 4/27/2003 6:36:20 AM

yeah

Posted on 5/3/2003 2:41:26 AM