Logo

ji liya main ne

muhabat tark ki main ne giryeban si liya main ne
zamanye ab tu khush ho zeher yeh bhi pi liya main ne
abhi zinda hoon lekin sochta hon khalwat main
ke ab tak kis tamana ke saharye ji liya main ne
unhye apna nahi sakta mager itna kiya kaam hai
ke kuch mudat haseen khwabon main kho ker ji liya main ne
bas ab tu damin dil chor do bekar umeedo
bahut dukh seh liye main ne bahut din ji liya main ne

Posted on 12/18/2006 9:47:14 PM

Shayad Sahir ki hey ya Saghir ki....

Posted on 12/18/2006 9:51:29 PM

sahir ki hai

Posted on 12/18/2006 10:10:32 PM

hmmmmmmmmmm theek

Posted on 12/18/2006 10:30:10 PM

ok

Posted on 12/18/2006 10:40:21 PM