Logo

~Mubaarak ho tumko ~

Mubaarak mubaarak mubaarak mubaarak

Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Tumhaare kadam choome yeh duniya saari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Tumhaare liye hai bahaaron ke mausam
Na aaye kabhi zindagi mein koi gham
Hamaara hai kya yaar hum hai deewane
Hamaari tadap to koi bhi na jaane
Mile na tumhe ishq mein beqaraari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari

Ke janmon ke rishte nahin tode jaate
Safar mein nahin hamsafar chhode jaate
Na rasm-o-riwaajon ko tum bhool jaana
Jo li hai kasam to isse tum nibhaana
Ke humne to tanha umar hai guzaari
Sada khush raho yeh dua hai hamaari
Tumhaare kadam choome yeh duniya saari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Mubaarak ho tumko yeh shaadi tumhaari
Sada khush raho tum dua hai hamaari
Jaa maine bhi pyaar kiya hai

Haan maine bhi pyaar kiya hai

Posted on 12/19/2006 12:10:29 AM

yeh nice song


Posted on 12/19/2006 12:26:11 AM

haan wakai aaj kal shadiz ka season hai

Posted on 12/19/2006 9:22:23 AM

haan us ney tu bhula diya aab hum kaisey na bholein

Posted on 12/19/2006 7:48:52 PM

she made it possible

Posted on 12/20/2006 9:54:54 AM

haan tu kiya hoya ....   

Posted on 12/20/2006 6:21:01 PM

woh karey gee meray saaath ???

Posted on 12/20/2006 7:21:35 PM

woh kar ley gee meray saaathhhh


abhi bhi i can stop

Posted on 12/20/2006 7:46:38 PM