Logo

Azal say hai

Azal say hai mohabbat mawra lafzoon ki malaa say
Magar ye bhi haqeeqat hay
Mohabbat soch k akash per badal ki soorat may
Sada perwaaz karti hay
Kabhi barish ki boondoon may simat kar dil ki dharty per
Uterty hay - bikherti hay
Adaa lai kar saba say ye , gulaboon say mahak lai ker
Dhanak say rung lai kar aur sitaaroon say chamak lai ker
Haseen anchal banaty hay
Isy anchal say phir khowaboon k kuchay ghar banaty hay
Mohabbat azmaty hay Kabhi ye shair bun kar lafz ki hurmat burrha ty hay
Kabhi ye saaz bun kar dheeray dheeray gun gunaty hay
Sarapa ankh bun jaty hay ye mehboob ko pakar
Anokha lams bun jaty hay koi yaar may ja kar
Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say
Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam
Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay
Ye khushboo hay hamaisha phool ki sansoon may ho ty hay
Bana day chand tera shab ko jo ye aisa moty hay
Kasal hay daimy is may, bahat benaam lizzat hay
MOHABBAT KI YAHI TAREEF HAY K " YE MOHABBAT HAI "

Posted on 3/2/2007 1:20:08 AM


Posted on 3/2/2007 5:55:41 AM


Zabardast....


Posted on 3/2/2007 9:41:31 AM


Posted on 3/3/2007 12:46:42 AM

thx all of u

Posted on 3/3/2007 1:08:47 AM

Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say
Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam
Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay



Posted on 3/16/2007 3:37:01 PM

wow!!

excellent lyrics!

Posted on 3/16/2007 4:44:20 PM

thxxxxxx

Posted on 3/17/2007 1:16:19 AM


Posted on 3/18/2007 4:15:46 PM

bohot khoob

Posted on 3/18/2007 4:46:59 PM

thxxxxxxxxxxxxxxxxxxx qv
thx kool

Posted on 3/19/2007 7:55:17 AM

welcome

Posted on 3/19/2007 10:22:07 AM

pather bana dia mujhy rony nahi diya
Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya
Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia

Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia

Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia

Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya

Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya

Posted on 3/21/2007 3:45:01 AM

new_beau:
Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say
Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam
Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay


is face ka kia smajho
ki apko samjh nahi aya ya pasand nahi aya

Posted on 3/21/2007 3:50:34 AM


Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye

Raston ki Marzi hai

Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain

Raston ki Marzi hai

Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain

Raston ki Marzi hai

Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain

Posted on 3/21/2007 4:05:18 AM


Posted on 3/21/2007 12:25:11 PM

shukriya

Posted on 3/28/2007 8:39:55 AM

Fairl_Girl:

Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye

Raston ki Marzi hai

Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain

Raston ki Marzi hai

Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain

Raston ki Marzi hai

Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain



wooow

Posted on 4/1/2007 10:53:34 PM

thx lg




Ghum unko bhi naseeb hote hain
Jo log khush naseeb hote hain
Hota hai aik hee koi apna
Warna saare raqeeb hote hain
Daulat-e-zindagi ki khuwahish hai
Log kitne ghareeb hote hain
Zakhm hum ko jo atta kerte hain
Wo humare habeeb hote hain
Hum ko dushman samajh rahe hain jo
Wohi dil ke kareeb hote hain
Dilon mein dard chupaney waley
Khuwahishon ke saleeb hote hain

Posted on 4/10/2007 4:05:46 AM


Posted on 4/10/2007 10:58:21 PM

shikriya sir

Posted on 4/11/2007 12:18:00 AM


Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera

Posted on 4/11/2007 12:20:29 AM

Fairl_Girl:
shikriya sir



welcome student


and gud poetry

Posted on 4/11/2007 11:50:24 PM