Logo

Kiun nayan heyn bharey bharey sey

Kiaa waqt kii chaall hey
fikr hey mallall hey
gham jeet gaeyey
barsoon beet gaeyey
hassii rooth gaeii hey
aas hii toot gaeii hey
kamrey mein her taraf
bikhrii heyn yaadeyn
dukhrey sounaatii
parrii heyn kitaabein
koun choeyey inheyn
kab sey framosh heyn
saaz khamoosh heyn
dard hey kitnaa gahraa
utraa utraa hey chahraa
haal bey haal hey
hijr ka kamaal hey
tanhaii key jaal heyn
uljhey uljhey sey baal heyn
kaheyn too kia kaheyn
keysey chupp raheyn
baad muddat key
khud sey milley too
poochaa aaineyn neyn
kiun socheyn hey bikhrrii bikhrrii sii
lufz heyn darrey darrey sey
kahoo maajrra hey kiaa
kiun nayan heyn bharrey bharrey sey,,,,,,





apni ik taaza nazam apnii hii nazar bardasht kijeyey

Posted on 3/25/2007 1:08:04 PM

kiun nayan heyn bharrey bharrey sey(kukray par gaye hain )






coool poem sagar

Posted on 3/25/2007 7:10:06 PM

QUEEN VICTORIA:
kiun nayan heyn bharrey bharrey sey(kukray par gaye hain )






coool poem sagar

kukrey,,,,,,,daaneyn,,,,,,,
parrey too naheyn gar parr bhee gaeyey too aap sey raabta too hey ilaaj mera free kijeyey ga
bohut mamnoon hoon key aap neyn issey parha aur saraaha khush raheyey sadda

Posted on 3/25/2007 8:12:46 PM

nice

Posted on 3/26/2007 12:38:12 PM


Khooob....

Posted on 3/27/2007 8:31:25 AM

I like most of your poetries!


Posted on 3/27/2007 4:35:37 PM