Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
Suraag-e-Manzil-e-Janaan Mujhe Mila b nahi
Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi
Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi
Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi
Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi
mausam mausam ankhon ko ik sapna yaad raha
sadyan jis main simat gayen woh lamha yaad raha
qose qaza ke rang thy saton us ke chehrye per
sari mehfil bhool gaye woh chehra yaad raha