Logo

bichar ke dekhyen

Fairl_Girl:
Mujrim:
kiss se mukhatib haIN?


aap se hee mukhatib hai khatoon

Posted on 12/21/2007 4:14:09 PM

Fairl_Girl:
Mujrim:
4 baar parhne ke baad samjh aaya
kaafi hard words thay meray liye

MASHALLAH
THANKS KABUJLI


your welcome netym jee

Posted on 12/21/2007 4:14:22 PM

Fairl_Girl:
Mujrim:
Fairl_Girl:
Mujrim:
Fairl_Girl:

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hain,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hain.

Jis ko kabhi sheesha kabhi aaina kehte ho tum
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hain.

Maujon ka darr nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar,
Bas tham lo hummein tum hum behna chahte hain.

Aankhon ne baat karli, nazroon ne bhedh khola,
Ab hont kaampte hain kuch kehna chahte hain.



MASHALLAH
behad khoobsurat
wah jee wah
apne bi pharha hai kamal kardia
thxx


jee aapne post kia tha
majboor hogaya parhne pe
KITNE ZALIM HO NA MAINE JO MAJBOOR KIA MAINE


aap zalim nai ho bus hum mazloom hai

Posted on 12/21/2007 4:14:59 PM


Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat



Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat Karein

Waqat Hi Na Raha Waqat Ki Baat Hai



Uss Ney Dekha Muje Ussney Chaha Muje

Ussnay Thukra Diya Waqat Ki Baat Hai



Koi Mushkil Parri Koi Kaam Aa Gaya

Zehan Mein Usskay Jo Mera Naam Aa Gaya



Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarrah

Hum Se Huss Ke Milla Waqat Ki Baat Hai



Zindagi Hum Say Anjaan Tu Ho Gai

Ek Rishtay Ki Pehchaan Tu Ho Gayi



Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi

Woh Khud KO Samjha Liya Waqat Ki Baat Hai



Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda

Koi Pochhay Tu Rashid Kahon Or Kya



Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main

Kiyon Ussi Ka Raha Waqat Ki Baat Hai

Posted on 12/22/2007 7:10:36 AM


Wo Pyari si Hansi tere Chehre ki,
Wo Kajal se Saji Aankhen teri,
Wo Dil kashi Zulfein teri,
Wo Khil khilata hua Chehra tera,
Wo Madhosh kar dene wala Ehsaas tera,
Mujhko mujhi se Chura le gaya,
Mujhe tera Deewana bana le gaya...

Wo Dilnasheen Baatein teri,
Wo Pyar bhare shabd tere,
Wo Sweet si Aawaz teri,
Mera Dil Chura le gayi....

Posted on 12/22/2007 7:36:22 AM



khoobsurat hai jeee

Posted on 12/23/2007 11:56:09 PM

thx mujrim

Posted on 12/28/2007 3:45:11 AM

yw FG jee

Posted on 12/31/2007 4:26:59 PM



Yeh ik piyara sa jo rishta hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kahen likha nahin kahen parha nahin
Kahen dekha nahin, kahen suna nahin

Phir bhi jana pehchana hai
Kuch mera hai, Kuch tera hai

Kuch masum sa, Kuch ulbela
Kuch apna sa, Kuch begana

Kuch chunchul sa, Kuch shurmila
Kuch sukh sa, Kuch sunjida

Kuch uljha howa, Kuch suljha suljha
Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi kari dhoop main saya hai
Kabhi andheri raat main jugnu hai

Kabhi bin badal barsaat hai
Kabhi bhutkay hawaon ka rah-bur hai
Kabhi rusta hai, Kabhi munzil hai

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Kabhi dhagay say isay badha nahhin
Kabhi ehad-o-paiya' n main jukra nahin
Kabhi haq bhi to apna jutaya nahin

Phir bhi yeh kitna piyara hai
Jisay hum nay sachey moti ki turha
Dil ki sipi main qaid kiya
Sub ki nazro'n say dhanp liya

Kabhi maan diya, kabhi aitbar kiya
Sub kuch hi is par var diya

Kuch mera hai Kuch tera hai
Yeh piyara sa jo rishta hai

Posted on 1/3/2008 5:03:24 AM

Phir bhi yeh kitna piyara hai
Jisay hum nay sachey moti ki turha
Dil ki sipi main qaid kiya
Sub ki nazro'n say dhanp liya





MASHALLAH

aapka fan hota jaa raha hoo

Posted on 1/4/2008 3:52:14 PM

thxx
per mere pas ac hain

Posted on 1/5/2008 1:27:05 AM

filhal AC se zyada fan chahiyeh

upar laga rahooga aapko dekhta rahooga

Posted on 1/7/2008 9:39:40 PM


nice sharings...


Posted on 1/14/2008 11:39:00 AM


Posted on 1/17/2008 5:08:38 PM

THX RMD THX MG

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,


Phir koi haath hai dil par jaise,
Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya,


Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naksh tera yaad aaya,


Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,


Yaad aaya tha bichhadna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,


Jab koi zakham bhara daag bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,


Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!

Posted on 1/18/2008 5:34:00 AM


very nice...


Posted on 1/18/2008 9:46:07 AM

nice work fg


for u .........


meri raho ke jo jugnon hain woh tere hain
teri rahon ke jo andhere hain woh mere hain
chu sakta nai koi gham tujhko
tujha per duaon ke jo pehrey hain woh mere hain

Posted on 1/19/2008 12:57:13 AM

cf thx u

Posted on 1/20/2008 4:39:13 AM

Dukh
Tum ne kehna tha jo
keh diya
aur main
sochti rah ghi
kya yahi
is MOHABBAT ki ookaat hai??
Saima Mansour

Posted on 1/20/2008 5:52:29 AM

Sabnam phool saba aur cahnd sataroon
tum he kahoo
keh us ki ankhon main
ik khof hai kyon?
mujh se bichar jane ka
sayed us ko ilam nhi
keh
woh meri sansoon main jeeta hai
N MALIK

Posted on 1/20/2008 6:36:06 AM


Posted on 1/20/2008 4:24:42 PM

Fairl_Girl:
THX RMD THX MG

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,


Phir koi haath hai dil par jaise,
Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya,


Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naksh tera yaad aaya,


Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,


Yaad aaya tha bichhadna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,


Jab koi zakham bhara daag bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,


Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!






aapki iss post ke parh ke humei kuch yaad aaya
aankhon mei ashk thay aur bus phir woh yaad aaya

Posted on 1/20/2008 9:30:11 PM

nice postng sunny

thks kabujli

Posted on 1/21/2008 4:59:18 AM



Kabhee zamaane ki baton ka humper asar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye,
Haan kuch logon ne jo may(shraab) ko zahar ka naam diya

Wo jo saath den to ik pyaala zahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye


Zindgi kaatne ke humne bahaane dhoondhe
Kangaal basti me humne khzaane dhoondhe
Thak ker huaa mai choor sahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye


Aas jisski thee wo kabhee bhee paas na aaya
Zindgi ko mera salaam raas na aaya
Cum se cum mujhko zindgi ki kadar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye


Dhoondhte hain koi gulaab itne chehron me
Mera koi thikana nahi hai itne shahron me
Koi dil mera shahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye

Posted on 1/21/2008 5:01:41 AM

Rehan M Din:

very nice...

thx rmd

Posted on 1/21/2008 5:01:53 AM

Fairl_Girl:
nice postng sunny

thks kabujli


yw netym

aap bus post karti raho
humei pasand aayegi to zaroor batyeinge

Posted on 1/23/2008 10:01:25 PM

acha tax bharte jao phir

Posted on 2/5/2008 2:42:49 AM



Bohat Kuch MAin ne Kehna Hai
Bohat Kuch Tu Ne Kehna hai
Dilon Mein Jitne JAzbay hai
Labon Pr Onko Lana hai
Magar Ye Majra Kiya hai
Ke Hum Kahmosh Bety hain
Na Mujh se Baat hoti hai
Na Tum Azhaar Karti ho
Tumhein Maloom Hai Sub Kuch
Jo Mere Dil mein Pinhaa Hai
Tumhare Dil ki Kaifiyat Se
Main Bhi Agah hoon Lekin
Mujhe Khamosh Rehna hai
Tumhe Khamosh Rehna hai
Magar Ye Kab Talak Hoga
Humay Khamosh Lamhon Ne
Juda agar Kar diya To Phir ??
Mujhe Tum Se Gila hoga
Tumhe Mujh se Gila hoga
Humhe Ab Hijr ki Lamhat se Khud ko Bachana hai
Dilon Mein Jitny Jazbay hai Labon Par On ko Lana

Posted on 2/5/2008 2:43:08 AM

kardo izhaar un jazbaat ka
na karo intezar kissi ke kuch kehnay ka



MASHALLAH jee

Posted on 2/5/2008 11:41:26 PM

THX U




2:Hazaroon khawaishain esi k har khawaish pe dam nikle
Buhat nilke mere armaan lekin phir bhi kaam nikle
Khuda k waste parda nakabi se hata zalim
Kahin esaa na ho yahaan bhi wo hi kafir sanam nikle


Posted on 2/7/2008 3:17:40 AM