Logo

sehri & iftaar


normally sehri k time kya khana pasand kerte hain
aur iftaar main kya ziada pasand he

Posted on 9/19/2007 9:04:57 PM

mere sehri k time 2 parathay,plus malai aur half boiled egg.
iftaari main pikore ketchup k sath sab se ziada us k ilava fruit chaat

Posted on 9/19/2007 9:07:30 PM

sehri mai i dont feel like eating anything.. cuz its too early to eat anything

aftari mai.. ANYTHING N EVERYTHING lolz

Posted on 9/19/2007 9:07:58 PM

haan,aftaari main to yehi hota he,kuch bhi mil jay us waqt acha lagta he

Posted on 9/19/2007 9:10:05 PM

yep but i still try not to eat too much
bcz sara din stomach khali hota hae and ek dam se agar ziyada kha lo to acha nahi hota

Posted on 9/19/2007 9:11:22 PM

hmmm sehri main paratha sath shani kabab..ya qeema..



aur iftari main..pakoray samosay roll kachori chaat yah sab avoid karti hon...

werna phir khana nahi khaya jata


iftari main juice aur fruit chaat

Posted on 9/19/2007 9:12:11 PM

main to bohat khata hoon(MASHALLAH)pehle aftaari k naam per ,us k baad evening prayers k baad dinner k naam per,vaise bhi traaveeh main khaya piya hazam ho jata he

Posted on 9/19/2007 9:13:26 PM

main itna zyada nahi kha sakti




haan maghrib ki namaz k baad dubara fruit chaat khanay ka bara maza aata hai

Posted on 9/19/2007 9:15:16 PM

i cant eat baar baar
ek hi dafa khati hoon

Posted on 9/19/2007 9:17:28 PM

hamare haan fruit chaat aur pikore mera khayal he sab gharon main chalte hain.
kya kisi ki koi special dish he jo sirf sehri ya aftaari main hi banti ho

Posted on 9/19/2007 9:18:23 PM

main to abhi bhi fruit chaat kha rahi hon




hmmm

haan PHAINYYAAN khatay hain buhat say laug...sehri main bhi aur iftari k baad bhi...

but main nay nahi khai abhi tak

Posted on 9/19/2007 9:21:10 PM

PHAINYYAAN kya hai?

Posted on 9/19/2007 9:22:03 PM

nahi pata?




woh woh...

ummm


buhat bareeek saiwion ki tarah hoti hain...milk main dip kar k khatay hain

Posted on 9/19/2007 9:24:08 PM

yes,mujhe bohat achi lagti hain lekin hamare haan sirf eid per banti hain

Posted on 9/19/2007 9:26:56 PM

chh arey nahi.....saiwiyaan alag hoti hain

aur


phainiyaan alag hoti hain

Posted on 9/19/2007 9:28:05 PM

neva heard of dat

Posted on 9/19/2007 9:31:05 PM

yes i know,sawioun ko to baqaida cook kerna perta he lekin phainian are just like corn flakes bas garam milk main dip ker do aur kha lo

Posted on 9/19/2007 9:32:11 PM

nikama:
yes i know,sawioun ko to baqaida cook kerna perta he lekin phainian are just like corn flakes bas garam milk main dip ker do aur kha lo








haaaaaaaaaan


aaj sehri main khaon gi

Posted on 9/19/2007 9:34:37 PM

sweetie:
neva heard of dat




kia sach main Aruba main rehti ho?

Posted on 9/19/2007 9:35:33 PM

lol
ummmmmm bas isi dunya mai rahti hoon

Posted on 9/19/2007 9:37:18 PM

waise phainian acha idea he sehri main aisi hi light si cheez honi chahiay,kal main bhi ammi ko kahoon ga

Posted on 9/19/2007 9:37:22 PM




main nay bhi isi liye aaj mangai hain....parathay buhat heavy ho jatay hain



parathay kha lo to sehri k baad walk karti hon...waisay nahi soti

Posted on 9/19/2007 9:40:38 PM

hmm to is dafa main bhi koi experiment ker hi loon sehri k time,lekin kya phainian kha ker guzara ho jay ga

Posted on 9/19/2007 9:45:06 PM





main bhi yahi soch rahi thi...


hmm aaj try karti hon


phir daikhti hon sara din kia hota hai?

Posted on 9/19/2007 9:46:14 PM

chalo aap aaj experiment karo,kal mujhe bhi bata dena kaisa din guzra

Posted on 9/19/2007 9:47:58 PM

muje bhi khilaaaooooooo

Posted on 9/19/2007 9:49:18 PM





theek hai...


par mujhay sara din ghar main guzarna hota hai....koi itna khas kaam bhi nahi hota...jaisay taisay guzar jaye ga

aur phir jab tak rozah aap ko lagay nahi...bhook na lagay to rozay ka kia faeda?

Posted on 9/19/2007 9:49:43 PM

aruba tak ponhachte thundi ho jain gi

Posted on 9/19/2007 9:50:15 PM

aa jaao
aa jaao




dono dost mil kar khayen gi PHAINIYAAN

Posted on 9/19/2007 9:52:54 PM

SUBHANALLAH kya shandaar program he gettogather ka

Posted on 9/19/2007 9:54:07 PM




arey....jealous nahi hotay

Posted on 9/19/2007 9:55:36 PM