Logo

aftaari shopping

yeh bari museebat he,kya lain kya na lain
sasti cheezain le lo to phir ammi se baisti,k khraab fruit utha lay ho
mehngi le lo to phir batain suno,nawaab sab.sirf roze nahin guzarne eid bhi guzarni hai
kis museebat main phuns gaya hoon main

Posted on 9/20/2007 5:42:51 PM

aap aisa karo
saare paise jaib mei rakho
aur ghar aa k kaho ramadan mei mera dil bohot naram ho jata hai,, zaroorat mandon ki madad karne ka hukum bhi hai
me paise kissi gareeb ko de aaya hu

basss kisssa khatam

Posted on 9/20/2007 6:16:57 PM

accha ji,bohot hi accha
or sucha ending hein

Posted on 9/20/2007 6:44:58 PM

Ashii:
aap aisa karo
saare paise jaib mei rakho
aur ghar aa k kaho ramadan mei mera dil bohot naram ho jata hai,, zaroorat mandon ki madad karne ka hukum bhi hai
me paise kissi gareeb ko de aaya hu

basss kisssa khatam

idea acha he,next sunday try kroon ga
lekin ager ammi ne aaq ker dia to meri pervarish kon kare ga

Posted on 9/20/2007 7:04:52 PM

nikama:
yeh bari museebat he,kya lain kya na lain
sasti cheezain le lo to phir ammi se baisti,k khraab fruit utha lay ho
mehngi le lo to phir batain suno,nawaab sab.sirf roze nahin guzarne eid bhi guzarni hai
kis museebat main phuns gaya hoon main



mayana ravi se kaam lo bacha

Posted on 9/20/2007 10:36:15 PM

main bhi jab Ramazn ki shopping karnay gaithi....ghar aakar unhon nay kaha tha AINDA MAIN AKELAY HE LAY AYA KARON GA


becharay




per mehngai bhi to barh jati hai nah Pakistan main Ramazan main

Posted on 9/21/2007 11:14:44 AM