Logo

Suno Aisa Nahi Kartay

koi hai iii koi hai

Posted on 12/3/2007 8:29:32 AM

bohat khooob.

Posted on 12/3/2007 12:53:34 PM

thk kingkong

Posted on 12/5/2007 10:35:05 PM

thnko twisty

Posted on 12/5/2007 10:35:47 PM


BADIL BAN KAR CHAA JANA

Jeb panchi saray urd jain
her simt andhairay chaa jain
jeb guzri batain yaad aain
aur beetay lamhay terdpain
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
Jeb koi din main shaam keray
yaa leb ki hansi bednaam keray
jeb wahshet dil k naam keray
yaa aankh main neend haraam keray
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
Dil dhelti shaam say ghebray
yaa batain mayri dohrai
mazi say men bhi ghebrai
aur kuch b bhool nahi pai
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
Jeb badil boond na bersai
aur boond b men ko tersai
jeb koi khula na der pai
aur dil main khwahish mer jai
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
Dil pareet hamaray dohrai
yaa reet porani yaad aai
jeb milnay ko bhi men chahy
aur piyaar bhera na dil pai
met tenha tenha ghebrana
tum pass hamaray aa jana
or badil ban kar chaa jana
kuch bondhen payaar ki barsana

Posted on 12/14/2007 6:09:07 AM


Posted on 12/16/2007 7:37:38 AM

paise nikalo
atm card
phir

Posted on 12/30/2007 7:00:19 AM



MUHABBAT
Kisi kumzoor lamhe me
Agar me tum se ye keh doon
Mujhe tum se muhabbat hai
Tum ye mat samajh lena
Mein ne sach kaha ho ga
Aisi dilnasheen baatoon ko
Aise dilbar peraye me kehna
Mujhe buchpan se aata hai
Meri aankhein mera chehra
Mera ye besakhta lehja
Ye sab kuch jhoot kehta hai mager
Is jhoot me aik sach bhi hai ke
Mujhe tum se MUHABBAT hai

Posted on 12/30/2007 7:02:16 AM

sharam karo queen pe ilzam dehke paise na bechao

Posted on 2/5/2008 4:50:44 AM



Mohabbat Nahi Rahi ...

Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi


Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi



Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi



Sehra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi



Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi



Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi..!

Posted on 2/5/2008 4:52:26 AM

hmmmmmmmmm lash

Posted on 2/11/2008 4:09:56 PM

Fairl_Girl:


Safar Tanha Nahi Kartay
Suno Aisa Nahi Kartay

Jisay Shafaaf Rakhna Ho
Usay Maila Nahi Kartay

Teri Aankhein Ijzat Dain
To Hum Kya Nahi Kartay

Bohat Ujaray Huay Ghar Per
Bohat Socha Nahi Kartay

Safar Jis Ka Moqadar Ho
Usay Roka Nahi Kartay

Jo Mil Ker Khud Se Kho Jatay Hain
Usay Ruswa Nahi Kartay

Chalo Tum Raaz Raho Apna
Tumhain Afshaan Nahi Kartay

Ye Pair Kaisay Hain
Jo Saya Nahi Kartay

Jo Dhun Ho Ker Guzarnay Ki
To Phir Socha Nahi Kartay

Kabhi Hasne Se Dartay Hain
Kabhi Roya Nahi Kartay

Teri Aankhon Ko Partay Hain
Tujhay Dekha Nahi Kartay

Sehar Se Pooch Lo Mohsin
K Ham Soya Nahi Kartay



yup right

Posted on 2/12/2008 1:05:00 AM

Wow.. good ones

Posted on 2/12/2008 3:12:15 PM

gr8 one

Posted on 2/12/2008 5:58:30 PM

thx allz

Posted on 2/13/2008 5:21:05 AM

ur welcome fg

Posted on 2/13/2008 4:20:34 PM


Posted on 2/16/2008 12:53:56 PM


Posted on 2/16/2008 9:32:50 PM

Fairl_Girl:


Mohabbat Nahi Rahi ...

Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi


Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi



Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi



Sehra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi



Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi



Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi..!


Bahut khoob. F.G

Posted on 2/19/2008 3:00:15 AM

thxx ollman

Posted on 3/7/2008 6:28:07 AM

May Be:
thx u dear

Posted on 3/7/2008 6:32:16 AM


IS TARAH KI CHOTO KO CHUPATEY RAHEY
PALKEY NAM THI PAR MUSKURATEY RAHEY

GUZAR GAYA GAR KABHI DARD HAD KI RAH SE
RAAT BHAR JAGTEY RAHEY OR GAZAL BANATEY RAHEY

AJ MERE ALFAZ B KUCH BIKHREY BIKHREY SE HAI
BARHA LIKTEY RAHEY HUM BARHA MITATEY RAHEY



Posted on 3/7/2008 6:38:15 AM


Posted on 5/6/2008 3:52:22 AM

nice

Posted on 5/6/2008 6:56:41 AM

thx u dear nina

Posted on 5/9/2008 1:54:24 AM



Mujhe neend arahi hai
Meri maut arahi hai
Mire dard-e-dil ko samet rahee hai
Meri ulfat ko paa rahee hai

Is anjuman ka saroor
In ankhon se jar aha hai
Is dil se uth raha hai
Yeh maut hai aati hui
Nakaam dil ko dilasa daiti hui
Mire chehre ka bosa sa leti hui
Meri ankhon ko ankhon main leti hui
Meri sanson ko tehlil kartee hui

Mere jazbaat ko samajhne se qasir
Is duniya pa hansti, isko rulati hui
Mire maqsad ko takmil karti hui
Mire ehad ko poora karati hui

Mire labon ko pankhari banati hui
Miri ankhon ko pathar karati hui
Mujhe khusbu, us gulaab ki sunghaati hui
Jiski eid mire rab ne di thi mujhe
Majazi mujhko bhulati hui
Haqeeqi se mujhko milati hui
Farsh se mujhko uthati hui
Arsh pa mujhe bithati hui

Meri taskeen, meri maut, bas pohanchi hai ab
Is qufl se azadi mili hai ab

Haan
Mujhe neend arahi hai
Meri maut arahi hai
Mujhe……….

Posted on 5/9/2008 1:55:42 AM