Logo

Bait Bazi

Kuch ishq tha kuch majboori thi so maine jeevan war diya
Main kaisa zinda Aadmi tha ik shakhs ne mujhko mar diya

Posted on 3/13/2008 9:44:16 PM

jiyo kiran ap


Acha huaa kaam aa gaii diwangi apni
wgarna hum zmany bhr ko smjhany kahan jaty

Posted on 3/14/2008 12:57:30 AM

ye din ye raat ye lamhey ache lagtey hain
hamain tum se tum tak fasley achey lagtey hain

Posted on 3/14/2008 6:32:18 AM

Na Tu zameen k liye hain na Aasman k liye
Jahaan hain tere liye,tu nahi jahaan k liye

Posted on 3/14/2008 8:31:51 AM

Eik lamhai ki dair main hum tum bigher gaye
Sapne dhekhe tha jo sab toot ker bikher gaye

Posted on 3/14/2008 9:25:05 PM

ye na thi hamari kismat k wisaal e yaar hota
agar aur jeety rehtay yehi intezaar hota



Posted on 3/15/2008 11:26:11 AM

sab buhat ache hain

Posted on 3/15/2008 2:47:57 PM

~dead heart~:
ye na thi hamari kismat k wisaal e yaar hota
agar aur jeety rehtay yehi intezaar hota




ibtidaey ishq hai rota hai kia
agay agay dekheay hota hai kia

Posted on 3/17/2008 8:51:15 PM

aye Dil e nadaan tujhay hua kya hain
Aakhir is dard ki dawa kya hain

Posted on 3/18/2008 8:48:43 AM

Ye jo rat din ka ha khel sa isy dekh is par yaken na kar
nahin aks koi bhi mustaqil sar e aaenaa , usy bhool ja

Posted on 3/18/2008 9:01:01 PM

Abb yeh socha hai ke Tazeer se baher niklon
Ibn e Adam teri jageer se baher niklon


Posted on 3/20/2008 6:30:21 PM

nazah Ki aakhri hidchki ko zara ghor say sun
zindagi bhar ka khulasa isi awaaz main hain

Posted on 3/22/2008 8:56:57 AM

Na kisi ki aankh ka noor hon
Na kisi ke dil ka qarar hon
Jo kisi ke kam na a sake
Main woh eik mushti ghubar hon

Posted on 3/23/2008 4:29:11 PM

sochta ho keya esy neend bi ati hogi
ya meri tara faket ashk bahati hogi
woh meri shakal mera naam bulany wali
apni taswer sy keya aankh melati hogi

Posted on 3/24/2008 5:41:45 PM

Royaa ji apnay kis munasbit sy ye sher kaha smjh ni i phi b


ye baazi ishq ki bazi ha jo chaho lga do dar kesa
gar jeet gaey to kia kehna hary bhi to bazi maat nahin

Posted on 4/3/2008 5:48:09 PM


Posted on 4/4/2008 6:42:44 AM

Nahi tera nasheman Qasr e sultani k kunbad pe
Tu shaheen hain baseera kar,paharo ki chataano main

Posted on 4/4/2008 9:01:10 AM

Na koi gham khizaan ka hai na khuahish hai baharon ki
hamary sath hai amjad kisi ki yaad ka mausam

Posted on 4/4/2008 6:32:41 PM

mutmaen hoon k mujhy yaad rkhy gi dunya
jab bhi is shehar ki tareekh ewfa likhy gi

Posted on 4/7/2008 2:21:23 AM

Is Kadar Zarf to rakhtay hain zamanay walay
zindagi cheen k jeenay ki dua daitay hain

Posted on 4/8/2008 8:33:56 AM