just waiting and watching will never bring an INQALAB....
Assalam O Alaikum
*Yaa Right Sir
per yah system tho ziyada arsay chalnay wala nahi
jahan Log Shortcut rasta use kartay hain
Wahan unhain nuksaan bhi to hota hain
Hum Asians isi waja se tho taraki nahi kar rahay
yaa jahan Govt kay Log khud paltay hain
Bhala Woh Idara woh kyun bandh karaingay
What can I say About this Poltics....!
tehzeeb....
itna aslah jo mosque kay andar tha woh gaya kidhar????????? Media walon ko kyoun nahi dikhaya ga... Public ko kyoun nahi dikhaya gya????? Billi kha gai ya Jinnnn utha kar lai gae??????
aur massage center walon ko kya saza sunai gai thi kya koi bata sakta hai???? un ko massage center chalanay sai mana kia gya tha...
agar kisi kay muhallay mai ya paros mai fahashi ka adda khul jae to woh kya karay ga????
ap nay sirf woh strips chalti dekhi hain jo Media walon nay Govt kay kehnay per chalai... molana sahab sai baat govt ki hi hti thi... Media walon ko khud to interview lenay hi nahi dia gya... ziada tar logon nay usi per yaqeen kia jo TV per aa raha tha is liye haqaiq sai parda kesay uthay ga...???? aur phir Geo ko ban kyoun kia gya???????
SS yeh system taqreeban 70 saal sai to chal raha ya us sai bhi pehlay...... aur ap keh rahi hain ziada arsa nahi chalay ga...
log majboor hain ya jo bhi hain... sab ka kaam nikal raha hai is liye kisi ko tension nahi...
system theek ho ga to sab kay kaam nikalna band ho jaen gay...
iss liye boht sai log nahi chahtay keh system change ho...
system k liye dosra topic bana letay hain...
yahan to siah din ki baat ho rhi thi...![]()
Jamia wali jagah per khaimay laga kar tadrees ka kaam start kar dia gya hai... lekin sochnay ki baat hai kya abb wahan per usi frequency sai dobara student parhnay aen gay...???
is madrisay ko itna badnaam kia gya hai keh wahan per janay sai pehlay student kai baar sochain gay.....
and obviously wahan sai baghawat kay asrat hamesha miltay rahain gay... aik nahi to dosri soorat main...
Allah ap ki zuban mubarak karay...
Inqilab aik din mai nahi aata... naslain qurban hoti hain... us kay baad ja kar kisi ko qurbanion ka reward milta hai...
kisi bhi tehreek ko kamyab karnay k liye aur Inqilab lanay k liye boht monazzam hona parta hai...
aur yeh baat bilkul clear hai keh jitna soood ka kaam barhta jae ga... awam utni ziada sust hoti jae gi... kyoun k unhain sirf peson ki pari ho gi... aur kuch bhi nazar nahi ae ga...
yahi aaj kal ho raha hai...
CREDIT per garian
CREDIT per ghar
CREDIT per Business
CREDIT per Shopping
aur phir
us credit ko pay karnay k liye bhag dor...
Allah ham sab kay haal per reham farmae... Aamin
Umeed ki koi nai kiran???
Umeed ki koi nai kiran???
Assalam O Alaikum
*just wait a little and watch InshAllah...!
![]()
i think u shuld read 1st page
us din Sheikh rasheed ka programme sun rhi thi "Kal Tak" mein as guest aya tha aik sawal tha k America ka plan hai Kahota mein attack karne ka jo k taqreeban pura hota nazar aa rha hai Peshawar k raste wo agay barhte ja rhe hain isk jawab mein Sheikh sahib ne irshad farmaya Kahoota mein ab kuch nhi hai koi nuclear prog wahan ab maujaud nhi tu akhir wo sab kahan gya![]()
secret project aik jagah per poray nahi hotay... un ko mukhtalif locations per divide kia hota hai aur un ki location ba-waqt e zarorat change ho jati hai...
sadar ka muakhza... game of zardari... karnay wala hota to jab assembly ki tashkil huwi thi us waqt kar sakta tha... 95% chances thay...
ab to sirf 25% chances hain...