danie:
Thanks for understandings.
Aapki rai se ittifak rakhta hoon ki politics aur mediea apna role sahi tarike se adaa nahi kar rahe hein.
Aapki is rai se poori tarah ittifak nahi rakhta ki non-muslim kabhi muslim ka dost nahi ho sakta.
mere khayal se aapne ise sahi tarah se interpret nahi kiya hei.
Aapke dil mei ye baat Allah ka hawala de kar baitha di gai hei. Is liye aapke liye non-muslim ko dost manana possible nahi raha. Aapne apne dil ke saare darwaze band kiye hue hein to koi isme kaise aa sakta hei.
aap kisi bhi non muslim ko dekhte hi usme dushmani ke rang dundne lagte ho kyon ki aapke dil mei gahrai tak ye baat baitha di gai hei.
Kisi shair ka ek sher yaad aata hei "Kuch khoobiyan bhi usme hongi zarur, kyon kisi ke aib hi dekha karun"
Agar aap is duniya me kuch acha badlav chahate hein to ye possible hei, agar us badlav ki shuruaat aap khud se karen.
Aap behad zahin kism ki insaan hein. Please mujhe bataiyega ki aap meri rai se kitna ittifak rakhti hein?
Ek baat aur kahana chahta hoon ki yadi aap kisi ke dost nahin ho sakte to iska matlab ye katai nahi hein ki aap uske dushman hi hon. Sahi hei na....?
God bless you.
Welcum :) chalein ap poori trarah ittefaq nhi akrte kisi had tak ittefaq tu krte hain na? 2nd Quran pak mein hukam hai "jo ghair-muslim tum se dosti rakhein aur tumhein koi nuqsan na pohanchayein tu aise logon se dosti rakhne mein koi harj nhi"
China aik live example hai hamare samne, Paki loog Chinese logon ki respect bi krte hain aur unhe pyar bi karte hain jahan tak rhi baat Indians ki tu wo loog har baat ka ilzam musalmano per thoop dete hain jab k wo jante hain shararat unk hi bando ne ki hai.
Allah tala ka hawala de kar nhi mein en Quran pak ka tarjuma & tafseer parhi hai wahan bohat saaf ilfaaz mein muslims & non-muslims ki dosti ka bataya gya hai. Surah Infaal mein, Surah Ahzaab aur kayi dosri suraton mein bi.
Agr dil k sab darwaze band hote tu hum loog Chinese ko bi dost na mante,Japanese ko bi peeche rakhte aur isi tarah kayi mumalik hain.
Kisi shair ka ek sher yaad aata hei "Kuch khoobiyan bhi usme hongi zarur, kyon kisi ke aib hi dekha karun"
Beshak aik quote hain "Kisi ne nafrat mat karo kion k har insan mein koi na koi Sift e Elahi hoti hai" rhi baat khoobiyan dekhne ki tu sahih hai lekin jan-bojh kar dosron ki abri se abri buryai ko nazar-andaz karna apki bewaqufi hai aur shayd khud-kushi bi...
Changing wali baat apki bilkul theek hai lekin taali dono hathon se bajti hai kabhi aik hath se nhi Pak jitna lenient hota hai Ind unko utna kamzoor samjhna suruh kar deta hai, Kashmir mein rooz kitne BE_GUNAH kasmirion ko mara ja rha hai jin ka jurm sirf ye hai k wo MUSALMAN hain aur AZADI chahte hain.
Zaheen wali bat shayd apki dursut nhi lekin kuch hadd tak mein itefaq karti hun, Jab bi Pak mein Sikh yatri ate hain tu Musalman bohat ache tareeqe se unko mauqa dete hain ibadat ka lekin sorry to say wahan aisa kuch khas nhi Eid ki namaz per curfew lagaya jata hai
Bilkul jee dosti aur dushmani k darmayan bi aik rasta hota hai samjhote ka har baat maro ya maar do tak nhi hoti koi na koi 3rd solution bi maujood hota hai.
Thnx for ur blessings.