december mujh say bola tha
ab k jab main aongaa
tujhay phir say pukaronga
ussay main sath laonga
jo tujh ko bhool baitha hai
k jis k hijr ka lawaa
tera tan man jalata hai
k jis ki yaad ki jheelon main
aksar doob jatay ho
k jis k wastay baithay
yahan tum geet gatay ho
december mujh say bola tha
suno tum bhool na jana
jo yadain uss nay sonpi hain
jo lamhay uss nay bakhshay hain
chahay yeh zakhm saray
rohh ka nasoor ban jayen
inhain bharnay nahi daina
inhain marnay nahi daina
k in zakhmon pay marham
aik din uss nay he rakhna hai
december agaya lekin
december woh nahi aya
k jiss nay mujh say bola tha
ussay woh sath layega
mujhay phir say pukarega
december! ghor say sun lo
ussay bhi tum bata daina
yeh sansain machli baithi hain
ab rukhsat pay janay ko
yeh ankhain bhi barasti hain
ussay wapis bulanay ko
magar yeh jantay hain hum
hamain wo bhool baitha hai
december ayay jo ab ho
to itna yaad rakh laina
december aur he tha woh
k jiss nay mujh say bola tha
mujhay ummedain bakhshi thin
mujhay jeena sikhaya tha
buhat masoom thay hum to
jo itna bhi nahi samjhay
december to december hai
sub he ko rulata hai
hamesha dair karta hai
sanam k taur rakhta hai
sada akhir me ata hai
december uss say keh daina
mujhay jitna bhi tarpalay
k tujh say haar maani hai
ab hum nay yeh he thaani hai
yon uss say dour jana hai
kabhi wapis na anaa hai
chalo choro ab janay do
december kuch bhi na kehna
koi shikwa nahi karna
k jis say yeh guman guzray
usay hum yaad kartay hain
ussi ki rah taktay hain
k apni zindagani ka
iss sari kahani ka
yeh manzar akkhri hoga
DECEMBER AKHRI HOGA
DECEMBER AKHRI HOGA
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
Elegantly put, enjoyable precious thoughts, Rapunzel.
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
beautiful![]()
![]()