Logo

Hum use nahi chahte

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….
   

Posted on 3/4/2009 5:44:00 PM

Par ke kuch kahon gha na.

Lakan image to bohut pyaari hai

Posted on 3/5/2009 6:57:59 AM

oops tht was a blunder

Posted on 3/5/2009 5:04:59 PM

@ Rapunzel

nice rooti rulati poetry

par aap kyun nahi Chahatay... ?

Posted on 3/5/2009 5:23:21 PM

Thnx mein soch k batati hun Bhai

Posted on 3/5/2009 5:25:41 PM

abhi tak soocha he nahi ?

Posted on 3/6/2009 6:21:10 AM

y there is sad sad sad poetry all over here

Posted on 4/18/2009 9:50:47 AM

ayre ayre sad na hoon na....

Posted on 4/18/2009 1:25:53 PM

sad hone kee waja b to ho to ...

Posted on 4/25/2009 12:01:41 PM