Saza Pe Chor Diya Jaaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Jala De
Charagh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye Tu Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya
BOHAT KOOB.....KHUDA TO SAB KA HAI...
Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !
Yahan Apni Apni Bari Par some poetry i like
Mere Dil Jigar
Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab to forever ho tum…..
THANKS.... AAP KI PASANDEEDGI KA SHUKRIA....JI
Nice ji...
[email protected] NICE ,,,Shaista ji
Kitabon ma rakh k sulaa gaya humko,
Aankh band ki or bhula gaya humko,
Koi ajeeb Mussafir tha jo barishon k mousam ma,
Kachi diwaroon pe bana gaya ham ko.
WalaikumAssalaam
thank you ji. and welcome back. how are u?
yeh sub poetry mery liye haina?![]()
Wo silsle wo shoq wo nisbat nhi rahi..
ab zindgi mein hijar ki vehshat nhi rahi..
Toota hai jab se uski maseehayi ka tilsim,,
dil ko kisi maseeha ki hajat nhi rhi..
Phir yun hua k koi shanasa nhi rha,,
phir yun hua k dard mein shiddat nhi rhi,.
Phir yun hua k ho gya wo masroof bhi buhat,,
phir hamain yad krnay ki usay fursat nhi rhi..
Ab kya kisi ko chahain k humko to in dino,,
khud apne aap se b muhabat nahi rahi
na mila tera pata tu mujhe log kaya kahein gaiN
yuun hee dar-badar raha tu mujhe log kaya kahein gaiN
tujhe zindagi kaha hai tu hai zindagi ka haasil
tujhe be-wafaa kaha tou mujhe log kaya kahein gaiN
meray dil mein zabt-e gamm ka jo chiraag jal raha hai
wo chiraag bhujh gaya tu mujhe log kaya kahein gaiN
ye jahaan na jaane kaya kaya mujhe keh raha hai lekiN
kabhi tum ney kuch kaha tu mujhe log kaya kahein gaiN
maiN chala tu hoon suna'ney ussay dasta'N wafa kee
koi hadsaa hua tu mujhe log kaya kahein gaiN
cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii
mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii
shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii
aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii
dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii
faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii
niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii
duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai
khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye
palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N
kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye
mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye