MaiN aap apni talaash meiN hooN
Mera koi rahnuma nahiN hai
Woh kya dikhayeNge raah mujhko
Jinhe khud apna pataa nahiN hai
Ye inke mandir, ye inki masjid
Ye zarparastoN ki sajdaagaheN
Agar ye inke khuda ka ghar hai
To inmeiN mera khuda nahiN hai
kuchh log ik roz jo bichhaD jaate hain
vo hazaaron ke aane se milte nahin
umr bhar chaahe koi pukaaraa kare unkaa naam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
kal taDapnaa paDe yaad mein jinki
rok lo rooTh kar unko jaane na do
baad mein pyaar ke chaahe bhejo hazaaroN salaam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
yuNhi, vaqt chaltaa hi rahtaa hai ruktaa nahin
ek pal mein ye aage nikal jaataa hai
aadmi Theek se dekh paataa nahin
aur parde pe manzar badal jaataa hai
ek baar chale jaate hain jo din-raat subah-o-shaam
vo, vo phir nahin aate