||~S & L~|| = our space!!

38517 views 1363 replies
Reply to Topic
*~rain_girl~*

Age: 124
Total Posts: 11119
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
InTaZaAr

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Kyun Hame Kisi Ki Talash Hoti Hai
Kyun Dil Ko Kisi Ki Aas Hoti Hai

Chand Ko Dekho Vo Bhi Tanha Hai
Phir Bhi Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai

Posted 11 Dec 2008

dreamboy_1 says
Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare rooth jaane ke baad...
Posted 06 Mar 2009

gr8 work yara

dont worry i will be on trak with u soon with sum nice nice poems

acha

Posted 07 Mar 2009

Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Posted 12 Mar 2009

zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare

Posted 12 Mar 2009

Aansoo ke thamne ke ab nahi hai koi aasar
Dhadkan ke rukne ka ab toh hai bas intezar
Ab toh rab se milne ko hum hai taiiyar
Jab se dil ne khoya hai aap pe aitbar

Posted 12 Mar 2009

Agar jante raah-e-vafa par sath na doge
To hum tere vaado pe aitbaar na karte
Agar waqif hote teri bewfayi se
To Bhule se bhi tumhe pyaar nahi karte

Posted 12 Mar 2009

Galti unki nahi
galti hamari thi
jo chaand ko apna samajh baitha
main toh ek koyla hoon
jo apne aap ko ek heera samajh baitha
main uske kabil nahi
ye mujhko samajhna chahiye tha
or ek main pagal
unhe apni takdeer samajh baitha

Posted 12 Mar 2009

ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
ye yaad meri tanhaee ki nahi
tanhaee me bhi tere intezaar ke hai
ye intezaar meri aankhon ka nahi
raste pe tiki nazron me Aansu ka hai
aur ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai

Posted 12 Mar 2009

Dil se khelna hame aata nahi
isliye ishq ki baaji ham haar gaye
shayad meri zindagi se bahut pyaar tha unhe
isliye mujhe zinda hi maar gaye

Posted 12 Mar 2009

kis tarah wo juda huye hain
hum nahi keh sakte hain
bas unki hi judai mein
hum to jalte rehte hain

Posted 12 Mar 2009

Behte Huye Paani Ko Rokne Me
Ham Khud Beh Gaye
Wo Hamare Ham-Rah Banenge
Is Ummid Me Ham Tanha Reh Gaye
Par Karte Bhi Kya Ham Iske Siwa
Unki Chahat Ki Aarzoo Liye
Ham Har Dard Seh Gaye

Posted 12 Mar 2009

pyar karke teri bewafaii dekh li
jahan ki dard bhari khudai dekh li
tujhe pana chaha ye mumkin na tha
tujhse bichhad ke ye judai dekh li
dard bahut gehra hai saha nahin jata
deke tujhe payar ki duhai dekh li
tu khamosh khadi rahi mera ashiyan ujad gaya
tu phikar na kar maine sapne hi sahi
par is duniya se bidai dekh li

Posted 12 Mar 2009

zakhm phoolo ke sil gaye hote
rang se jab rang mil gaye hote
tum to aaye nahi baharo mein
warna kaante bhi khil gaye hote
tum to gairo ki baat karti ho
humne to apne hi aazmaye hai
tum kaanto se bach ke chalti ho
humne to phoolo se zakhm khayein hai

Posted 12 Mar 2009

Dil ko aadat hai zakhm khane ki
Aakhon ko aadat hai gum chupane ki
Par ye bhi sach hai ki
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi kisi bahane ki

Posted 12 Mar 2009

Hum kar denge aapke pyar ko dafan
Aur na hi nasib hoga usko kafan
Har dukh ko kar lenge sehan
Par nahi rahega aapke pyar ka veham

Posted 12 Mar 2009

Chaha tha jisko use bhulaya na gaya
zakhm is dil ka logon se chhupaya na gaya
bewafai ke baad bhi itna pyaar karte hain usse
ki bewafai ka ilzam bhi us par lagaya na gaya
Posted 12 Mar 2009

Gam kuch is tarah se humpe meherbaan ho gaya
jo karega katal wohi mera mehmaan ho gaya
marne ke baad aapka deedaar ho shayad
bas isiliye marne ka armaan ho gaya

Posted 12 Mar 2009

gam na kar is duniya se
na koi kisika hai
daga wahi deta hai
hame jis pe bharosa hai

Posted 12 Mar 2009

Kyun Kiye Sab Waade Jab Chhod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Dikhaye Sapne Jab Tod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Jagaayi Mere Dil Me Itani Mohbbat
Jab Iss Dil Ko Tod Ke Jaana Hi Tha

Posted 12 Mar 2009

Kalam uthai hai lafz nahi milta
jise dhoond rahe wo shaksh nahi milta
firte hai wo jamane ke sath
bas hamare liye hi unko wakt nahi milta

Posted 12 Mar 2009

Meri mohobat par aitbaar to kiya hota
Kisi aur ke hone se pehle mera intezar to kiya hota
Ulfat bhari nazron se ek bar dekha to hota
Mere zakhmo par kabhi ek bar marham to lagaya hota
Bewafa hume kehne se pehle
Ek bar azma-e-wafa to kiya hota
Sab kuch bhool kar har rishta tod kar
Ek bar tahe dil se mere dil per hath to rakha hota
Bewafa kehne se pehle
Aahed-e-wafa to kiya hota
Dil-e-nash-e-mann mein jo aag lagayi thi tumne
Ek bar use bhjhaya to hota

Posted 12 Mar 2009

Teri nigah ke jaadu bikharte rehte hai
Jo jakhm dil ko mile the wo bharte rehte hai
Tere bina wo din bhi gujar gaya aakhir
Tere bina ye din bhi gujarte rehte hai

Posted 12 Mar 2009

Shola tha par ab jal bujha hoon
Ab mujhe hawanyein na do
Main kab ka ja chuka hoon aawaj mujhe na do
Zehar wo pe chuka hoon jo tumhi ne mujhe diya
Ab zindgi ki duayein mujhe na do
Ye bhi karam hai slaamat hai jism abhi
Ab khuda ko isme jaan dalne ki kasam na do

Posted 12 Mar 2009

Sham-e-firaq ab na pooch
aayi aur aake dhal gayi
Dil tha ki phir behal gaya
jaan thi ki phir sambhal gayi
Buzm-e-khayal me tere husn ki shamma jal gayi
Dard ka chand bujh gaya
hijar ki raat dhal gayi
Jub tujhe yaad kar liya
subha mehak mehak uthi
Jub tera gham jaga liya
raat machal machal gayi
Dilse to har mamla
kar ke chale the saf hum
kehne me unke samne
baat badal-badal gayi

Posted 12 Mar 2009

Unko gairo se asnai hai
Or humse to khaffa khudai hai
Jab-jab dekha hai chand ko maine
Unki reh reh kar yaad aayi hai
Unse bichhad kar ye jana humne
Kya cheez ye judai hai
Hoke majboor dil ke haatho
Hasraton ki chita jalayi hai
O ruth ke jane wale bata to sahi
Aaj hum me kya burai hai!

Posted 12 Mar 2009

Zalim tere zulam ki koi hadd nahi
tujhe mazloom ki koi fikar nahi
koi jiye ya mare tere liye
tujhe iss ki koi fikar nahi

Posted 12 Mar 2009

PYAAR KAR KE BHULANA NA AYA HUME
KISI KE DIL KO MANANA NA AYA HUME
KISI SE TADAPNA TO SEEKH LIYA
PAR KISI KO TADPANA NA AYA HUME

Posted 12 Mar 2009

APNO NE ZEHER KA JAAM DE DIYA
GHAIRO NAY BEWAFA KA NAAM DE DIYA
WOH JO KEHTE THE KI BHOOL NA JANA HUMEIN
AAJ UNHONE HI BHARI MEHFIL MEIN ANJAAN KEH DIYA

Posted 12 Mar 2009

ZAKHAM JAB MERE SEENE KE BAHAR JAYENGE
AANSU BHI MOTI BANKAR BIKHAR JAYENGE
YE MAT PUCHHNA KI KIS NE DARD DIYA
WARNA KUCHH APNO KE CHEHRE BHI UTAR JAYENGE

Posted 12 Mar 2009

Bepanah mohabbat ki khwaish thi kabhi
Ab to ishq naame se roothi kismat rubaru aati hai
Apne palkon pe sajaye they kuch sapne tere
ke un sapno se ab bagawat ki khushboo aati hai

Posted 12 Mar 2009

Reply to Topic