||~S & L~|| = our space!!

38521 views 1363 replies
Reply to Topic
*~rain_girl~*

Age: 124
Total Posts: 11119
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
InTaZaAr

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Kyun Hame Kisi Ki Talash Hoti Hai
Kyun Dil Ko Kisi Ki Aas Hoti Hai

Chand Ko Dekho Vo Bhi Tanha Hai
Phir Bhi Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai

Posted 11 Dec 2008

aankhon mein basne wale aansu bankar nikal gaye
dil mein rehne wale dil jalakar nikal gaye

jis raahon per mera kabhi intzaar karte the
aaj usi raah mein chehra chhupakar nikal gaye

jinse mehakti thi kabhi mere khwabon ki galiyan
wohi mere sapnon ko aag lagakar nikal gaye

jis pyar ki khushboo basi thi mere aagan mein
woh bewafa phoolon ko murjhakar nikal gaye

kis tarah ab guzregi yeh jeevan ki sawari
jab mujhe maut ki galiyan dikha kar nikal gaye

jab bayan ki apne jeevan ki kahani
toh log wah !! wah !! suna kar nikal gaye.

Posted 12 Mar 2009

Dil ki tadap ko kya jaan saka hai koi,
Meri kasak ko kya pehchaan saka koi,
Tumne to bas kehe diya bhool jaane ko,
Pehle pyar ko kab bhula saka hai koi.

Isi pyar ne to kitnon ko ghayal kiya,
Isi ishq ne mujhe bhi pagal kiya,
Tere ishq mein padkar loot gaye hum to,
Is ishq se kya bach paya hai koi.

Halaat ka mara yeh ishq,kabhi parwaan na chadh paya,
Dil mein baskar tumne is dil ko bahut tadpaya,
Dee do pal ki khushi, har pal ka gum,
Tumne is dil ko dhadakna kyon sikhaya.

Posted 12 Mar 2009

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
Ke ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har ek lab pe hay meri wafa ke afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawab hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jaogi
Tumharay hijar main ek lamha saal hona hay

Humari rooh pey jaab bhi azaab utrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to royegi woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milaygi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har ek shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis ke kham-o-peech main ulajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

Yaqeen hay mujhe woh loot ayegi
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay.

Posted 12 Mar 2009

raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai

ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai
hawa ke anchal se unko dil mein utar lete hai

tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor
ke hum saare diye bhuja lete hai

ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura lete hai

poochhta hai jab koi wajah iss dard ki
toh reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai

ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum par laga lete hai.

Posted 12 Mar 2009

jo dekhi berukhi unki toh dil se yeh sada aayi
iss mehfil se achchi hai kisi sehra ki tanhaai

bhari mehfil mein woh hamara haath na thaam sake
aur karte hai daave ke tum ho mere dil mein samayi

na ban sakte hai hum bewafa na ho sakte unse khafa
par mere pyaar ka silaa usne diya banke harjaayi

har nuksaan ka hisaab kitaab hota hai bazaar mein
jo tode hai usne mere sapne uski kya hogi bharpaayi

likhte likhte jo qalam thaki na kabhi
aaj kyun pheeki pad rahi hai uski likhayi

jitna chahte hai usko hum bhulana
kyun na chahte hue bhi uski yaad chali aayi.

Posted 12 Mar 2009

tum hum per bawafai ka ilzam na dey pao gay
jaan sy zaida kya fermaish kar paogay
pyaar koi khial nahi jo
tum asaani sy khail jao
hume tuhfe ki surat may
judai say zaida kya dey pao gay

Posted 12 Mar 2009

ruthe hain woh humse bina baat ke
ke ab intezaar karna naseeb ho gaya
kaise manaein use jo hamara ho kar bhi
kisi or ka ho gaya.

Posted 12 Mar 2009

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kiskii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Posted 12 Mar 2009

uski mujh par neegaah rahi chaar din
chahat ki chah rahi chaar din

main aaina dekh ke sharmati rahi
woh bhi karwata raha shringaar chaar

din gulabi aur chandni raatein rahi
duniya hasin lagti rahi chaar din

dil mein dard ki tarah bas gaya woh
main uski bimaar rahi chaar din

Posted 12 Mar 2009

Kyun Rooth gayi Kismat mujhse
Kyun Khafa ho gaye saathi humse

Kaash mil jate raah chalte kisi din
Aur dekh lete ek nazar pyar se hume

Phir Gam naa hota marne ka bhi hume
Bhool jate tumhari di hui woh sari taklife

Posted 12 Mar 2009

1 Dard Hai Saare Jahan
or Koi Nahi Apna Yahan
Kaise Jiye Ham Yahan
Pyar Bikta Hai Jahan
De Kar Dard Karte Hai Duwa
Sada Khush Raho Tum Wahan
Bhool Jayo Ye Jahan
Or Tum Chale Jayo Wahan
Dilwale Nahi Diljale Rehte Hai Jahan

Posted 12 Mar 2009

phir dil mein ek nayi aag jala di usne
dehakte zakhmon ko khoob hawa di usne
mohabbat mein woh bhi hamari pagal hain
har taraf yeh jhooti afwaah udaa di usne
jhoothe khwaabon ki kahani bana di usne

deta raha woh fareb mohabbat ke naam par
peete rahe hum zehar wafaaon ke jaam bhar
khilti rahi muskurahat uske labon par har baar
wafa se chehre pe bewafai saja di usne
mohabbat ki aankh sharm se jhuka di usne

dil se nikli ek aah jo zuban tak aayi nahi
nabz hi khud jab dhadkan ko soon payi nahi
tohmaton ke takiye ko saja diya hothon par
begunaah laash chattanon mein daba di usne
mohabbat ki yeh akhiri rasm bhi nibha di usne.

Posted 12 Mar 2009

Adaa Unki aur diwane hum bane,
Wafa woh na kar sake aur bewafa hum bane,
Yun to hazaro the bheed mein, Shukria hai unka,
Jo unki nazron ke nishane hum bane.

Posted 12 Mar 2009

Hua Kya Kasoor
Wajah kya thi tere jane ki

Dhadkan chal rahi hai
kisi ko umeed hai aaj bhi tere wapas aane ki

Aakhri saans tak koshish karunga tujhe manane ki
Saans tut jaye, Shayad wo hi wajah ho tere wapas aane ki

Shayad Nazar lag gai mere Pyar ko Zamane ki

Posted 12 Mar 2009

Tu jaega is kadar chhod ke mujhe,
is baat ki khabar thi na mujhe,
agar aitbar tha to tha tujhpar aur apne pyar par,
ki tu aaega ek din lene mujhe,
par hua na aisa kuchh bhi,
na aaya tu aur na aai teri koi khabar.

Posted 12 Mar 2009

Royi thi teri judai me bahut,
lekin tujhe na tha iska koi gam,
aansu bhi mere the aur dard bhi mera,
tujhe na thi iski koi samajh,
agar samajh sake to samajhna mere pyar ki qimat,
nahi to samajhna mere aansuon ki ahmiyat.

Posted 12 Mar 2009

Tujhe bhoolna thi meri majburi,
isme teri thi na koi kamjori,
par tu bhoola kuch is kadar mujhe,
jaise intezaar tha is pal ka tujhe,
kya samjhu teri is bekhudi ko,
tu tha bewafaa ya mai kar na pai wafa.

Posted 12 Mar 2009

aate jaate wo hume nishani de gayi
umar bhar dohra saku aisi kahani de gayi
usse main kuchh paa saku aisi kaha thi ummeed
shukar hai khuda ka wo meri aakhon mein paani degayi

Posted 12 Mar 2009

hum ruthe to kiske bharose
kaun hai jo aayega hume manane ke liye
ho sakta hai taras aa bhi jaye aapko
par dil kaha se laau aapse ruth jane k liye

Posted 12 Mar 2009

kasoor na unka tha na hamara
hum dono hi rishto ki rasam nibhate rahe
woh dosti ka ehsaas jatate rahe
hum mohabbat ko dil me chhupate rahe

Posted 12 Mar 2009

woh hamare nahi to kya gum hai
hum to unhi ke hain yeh kya kam hai
na gum kam hain na aansu kam hai
dekhte hain rulane wale mein kitna dam hai

Posted 12 Mar 2009

Naksh kuch mitte rahe kuchh sooratein banti rahi
Ranj ki beshi se kabhie raahatein banti raheen
Mera sarmaayaa umeedon ke sivaa kuchh bhi na thaa
Kuch to yaadein ban gayi kuchh hasratein banti rahi

Posted 12 Mar 2009

Raaste khud hi tabahi ke nikale humne
kar diya dil kisi patthar ke hawale humne
Haan! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro
apna hi ghar jala ke dekhe hain ujjale humne

Posted 12 Mar 2009

Yun Dhoka Mila Hai Pyar mein ke
Jeete Jee hum Mar Gaye
Naa Jaane Kya Bhool Hui Thi Humse
Woh Beech Raah Se Hi Chale Gaye
Bharosa Kiya Tha Jispar Humne
Saathi MajHdhar mein hi ChHod Gaye

Posted 12 Mar 2009

Khoye hain hum jinki Yaadon mein,
Jane woh Kahan hai,
Kaise Samjhaye hum dil ko,
Saathi woh Bewafaa hai.
Jinhe Chaha tha humne,
Jaan Se bhi Badhkar.
Yun Hata diya hume,
Jaise raah Pade Koi Pathar.

Posted 12 Mar 2009

Kyun Chuna Tha Hame, Agar Dil hi Todna tha hamara,
Kyun Vaada Kiya Tha humse, agar Nibhana hi Naa tha Saath Hamara,
Kyun Majhdhar Me Chhod Diya hume Naiya Me bithakar,
Kyun Dhoka Diya hume, Pyar Ke Jhoothe Sapne dikhakar.

Posted 12 Mar 2009

KABHI RAASTE JUDA HO JATE HAIN
KABHI LOG KHAFA HO JATE HAIN
HUM TO SABSE WAFA KARTE HAIN
PAR JAANE KYUN LOG BEWAFA HO JATE HAIN

Posted 12 Mar 2009

Woh Chale Gaye Humse Itni Door ke,
Mudkar phir kabhi naa dekha hume.

Hum Reh gaye Raha takte unki,
Woh Naye Jahan Me Gum Ho Gaye.

Shayad phir Kabhi Naa Ho Mulakat Unse,
Phir Bhi Dil Ki Yahi Dua Hai.

Woh Khush Rahe Us Jahan Mein,
To Kya Hua Agar Hum Is Jahan mein Tadapte Rahe.

Posted 12 Mar 2009

Ek Saal Purana Hai Yeh Kissa hamara
Paa Liya tha Unke Pyaar Ka Sahara
Naa Dekha phir Kabhi Piche mudkar dobara

kismat Ne lekin aisa chakkar Ghumaya
Toot gaya mehalon ka woh ghar hamara
Naa saathi raha, naa sahara raha,
Sheesh Mahal ka sapna adhura hi reh gaya.

Posted 12 Mar 2009

Duniya to duniya hai
apne bhi beech raste me chhod jate hain
hum ne jis par bharosa kiya usi ne rulaya hai
zindagi samajh kar pyaar kiya jise
usi ne bewafai ki humse

Posted 12 Mar 2009

Reply to Topic