||~S & L~|| = our space!!

38645 views 1363 replies
Reply to Topic
*~rain_girl~*

Age: 124
Total Posts: 11119
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
InTaZaAr

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai

Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Kyun Hame Kisi Ki Talash Hoti Hai
Kyun Dil Ko Kisi Ki Aas Hoti Hai

Chand Ko Dekho Vo Bhi Tanha Hai
Phir Bhi Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai

Posted 11 Dec 2008

Chhip ke pyaar karlena
duniya se na kehna
Warna is duniya me muskil hoga rehna
Jise pyaar karna usse bhi na kehna
Warna thukra jane ka gum muskil hoga sehna

Posted 12 Mar 2009

Shayari khatm hone ko aai hai
nai yeh ibtidaa hai
Unka humme thukra hi dena zindagi hai
nai hamari ibtilaa hai
Sabko thukra dena hi shaayad unki adaa hai
Unka chahera hi hamari siyaah zindagi me sulah hai


Posted 12 Mar 2009

Dil toh hoga par na hogi usme jaan
Saanse toh hogi par na hoga armaan
Hum rahenge yahi par na hoga aashiyaan
Jabse humne likh di hai rusvayi ki daastaan

Posted 12 Mar 2009

Hum karte hai aapse pyar
Par nahi karenge izhar
Kyuki bahut lambi hai ye deewar
Aap kar nahi paoge paar
Aur hum dekh nahi sakte aapki aakhon mein
Ek bhi aansuon ki bauchar


Posted 12 Mar 2009

Ashkon se aanchal bhigaya humne apka
khata thi hamari jo apke pyar ko samajh na sake
mohabbat toh aaj bhi karte hain aapse
magar aab bhi mohabbat jata nahi sakte

Posted 12 Mar 2009

jis se dil lagaya tha
wo delhi chali gayi
delhi jo pahuncha to puna chali gayi
socha ki jaan de dunga bijli ki taar se
tar ko chhuya to bijli chali gayi

Posted 12 Mar 2009

Mere dard ko koi nahi samjh paya
Pehle bhi tanha the
Aaj bheed mein bhi khud ko tanha paya
Hum aaj bhi wahi hai khade
Jahan tune mujhe chhod ke jana Chahaa

Posted 12 Mar 2009

Koi toot chuka hai kisi ki yaad mein
Kyun ab ye kisi ko bata rahe ho
Saans chale ya tham jaye meri
Kyun ab kisi ko ehsaas dila rahe ho
Mere behte ashk ko behne do
Yeh khayal na lana ke ye pani hai
Wo ise jo bhi samjhe, Samjhne do
Mere liye ab yehi Zindagani hai

Posted 12 Mar 2009

Shabdo me dard, dilme zakam
aankho me nahi koi asha
Alag nahi utsav, matam
khusi ya nirasha
Na kuch khoneki
na khuch pane ki abhilasha
Phir bhi Aaj hai koi
tere ishq ka pyasa

Posted 12 Mar 2009

Na rakho kisiko dil ke itne karib
Ki ruthe toh jaisa lage toota nasib
Ye aapse hamara rista bhi hai kitna ajeeb
Ki aapke bin toh jaise hum ho gaye hai garib

Posted 12 Mar 2009

jeena hai kya teri yaad me
marna nahin teri judai me
hum to shayad mar kar bhi rahe hai
warna hum kabhi rote nahin teri judai me

haan sach hai hum bhi roya karte hain
tanhaiyo me tujhe milne ko tadapte hain
mana bewafi kismat ne ki hai
par kya khata thi meri ki aaj bhi teri yaad me rote hain

na raha sath mere kuchh teri yaad ke siva
ab karein bhi kya is baat ke siva
zindagi bhar ke liye tumhe apna maan chuke hain
ab mangoo bhi khuda se kya tere pyar ke siva

Posted 12 Mar 2009

Duniya ki itni thokrein lagi ki begaane ho gaye
kabhi afsaane likhe the, ab khud afsaane ho gaye

Posted 12 Mar 2009

Hai kaisi ye uljhan
hai kaisi ye justju
jo mil nahi sakte hume kabhi
kyun hai sirf unhi ki aarzu

Posted 12 Mar 2009

Hume pata hai ki hogi hamari haar
Hume pata hai ki aap jaoge kisi aur ke dwaar
Hume ye bhi pata hai ki aap nahi karte humse pyar
Par hum aapki khushi ke aage karte hai sab kuch svikar

Posted 12 Mar 2009

PALKON PE AAKE RUK JATE HAI YEH AANSU
TANHAI PAKAR BEH JATE HAI YEH AANSU
DIL TO BAHUT KARTA HAI GHUM BAANTLU AAPSE
PAR APKO HASTA DEKHKAR SOOKH JATE HAI YEH AANSU


Posted 12 Mar 2009

Aakhon mein nami si chhayi hai
Fir se hume aapki yaad satayi hai
Ab toh dhadkan ki bhi isme gavahi hai
Ki aapke bin toh sirf tanhayi hai

Posted 12 Mar 2009

aey dil mere, aaj mujhse tu ye wada kar
ab na hoga fida kabhi tu
kisi haseena ki koi ada par
arre haseenao ka toh dusra naam hi bewafai hai
ab ek tu sacha bhi hai toh kya
jab samne wala hi harjai hai

Posted 12 Mar 2009

Ab toh har roz ashko se mulaqat hoti hai
Mehfil mein bhi Tanhayee se Baat hoti hai
Haansi ab Labon ko chhooti nahi
Kyunki Muskan se Labon ki takrar hoti hai

Posted 12 Mar 2009

Hum laga baithe dil pathhar se
tut gaya ye khuda ki raza hai
Ungliya dubi hai apne hi khoon me
ye kaanch ke tukde uthane ki saza hai

Posted 12 Mar 2009

Kyun teri yaad reh gayee iss dil mein
Jab tu hi na mil saki mujhe
Maine to chaaha tha dil-o-jaan se tujhe
Par tune kyun thukra diya mujhe

Zikr jab bhi tere naam ka hota hai
Teri yaad sataati hai mujhe
Aaj bhi dil mein hai tere pyaar ka dard
Nam aankhein yeh bataati hain mujhe

Gila to bus in aankhoan se hai
Kyun tera deedar kara gayee mujhe
Ik tees si dil mein uthti hai
Kyun tera khwaab dikha gayee mujhe

Posted 12 Mar 2009

Dil toh hai nadaan bhul tujhe na payega
koi kona is dil ka ab sada ke liye so jayega
Par dekh tujhe anand se apne sajan ki bahon mein
yakeenan kuch karar toh is dil ko bhi aayega

Posted 12 Mar 2009

Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai
Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai
Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke
Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar jati hai
Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai
Bagair iske to zindagi bhi adhuri hai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai

Posted 12 Mar 2009

Na samajh saka mujhe koi ye badi ajeeb baat hai
Aye zindagi tu hi bata de kyun tu itni udass hai
Hawayein bhi rukh badal chuki wo bahar bhi jati rahi
Tha hujum me main bhi kabhi par ab nahi koi pass hai
Dard beshumar hai main chahu agar to kis se kahun
Jo qareeb tha wahi door hai jo door hai wahi khass hai
Ummidein bhi jati rahi ab to us ke aane ki
Wahi khawab hai wahi zindagi jis ki mujhe talash hai

Posted 12 Mar 2009

Na huaa kabhi kuch hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun
Lashkar hun jo shikasht hun, sukhi huyi ek darakht hun
Baqee hai jo wo khawab hun dhundhla sa ek khyal hun
Dhalti huyi wo shaam hun bujhti huyi wo charagh hun
Ek dard jo na guzar saka muflisi ka wo ek malal hun
Woh chaman hun jo ujad gaya jahan bahar ab aati nahi
Murjhaya saa ek phool hun aur sukhi usi ki ek daal hun
Lahron ki wo sahil hun main jahan lahrein bhi aati nahi
Taalab wo nadi hun main aur samandar ka ek mishal hun
Na huaa kabhi hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun

Posted 12 Mar 2009

Inkaar ke darr se kabhi izhaar na kar sake
Hum zindagi mein kabhi pyaar na kar sake

Posted 12 Mar 2009

Ilaj-e-dard-e-dil tumse masiha ho nahi sakata
Tum accha kar nahi skte, main accha ho nahi sakta
Tumhe chahu, tumhare chahne walo ko chahu
Mera dil dedo, mujhse ye soda ho nahi sakta
Tere afsano ko bulau, teri yaado ko mitau
Ye julm mujhse mat karwao
zinda main inke bina reh nahi sakta
Ilaj-e-dard-e-dil tumse masiha ho nahi sakta

Posted 12 Mar 2009

Gaye dino ka surag lekar
kidher se aaya kidher gaya wo
Kon ajnabi tha mujhe heraan kar gaya wo
Na ab wo yaado ka chadta driya
na fursto ki udas barkha
yunhi jara si kasak hai dil me
jo jakhm gehra tha bhar gaya wo
Bas ek manjil hai hum dono ki
hazaar raste hai is dil ke
Yehe to farak hai hum me usme
guzar gaya wo or theher gaya main
Beshara khada hu raah me
gaye dino ko bula raha hu
Jo kafila tha mera humsafar
raste ki dhul me kho gaya wo

Posted 12 Mar 2009

HASI NAY LABON PE TAHELNA CHHOD DIYA
JAB SE AAP NAY HUMAY SMS KARNA CHHOD DIYA
NAHI ATI HAI AB HICHKIYAAN BHI
SHAHYAD APNAY HUMAY YAAD KARNA HE CHHOD DIYA

Posted 12 Mar 2009

haaye kin ankhon se bahaon
ek katra bhi nahin bacha
sare ke sare tere ishq mein bahaya hoon
dil ke shehar ka ek kamra bhi khali nahin
har kamre mein teri yaadon ko basayan hoon

Posted 12 Mar 2009

Ro padi hain ankhein teri dastan sun kar
Kya hoga jab samne aisa koi manzar hoga
Ho gayi maut agar zamane ki is tabahi se
Na jane is ka mere apno pe kya asar hoga
Kho chuka hai aman-o-sukun duniya ka
Na jane ab is shehar ka kya hasar hoga
Khushian to ja chuki hai ab tere shehar se bhi
Is se jyada hairat kya aur kis kadar hoga
Dur hun par tere shehar se farig kabhi na tha
Ummid thi kabhi to kam zulmo ka kehar hoga
Thak chuki hai ankhein aye khuda is dehshat se
Koi to tere jahan me is ka rah-guzar hoga
Ro padi hain ankhein teri dastan sun kar
Kya hoga jab samne aisa koi manzar hoga

Posted 12 Mar 2009

Reply to Topic