~kOoLeSt1 poetry Colloection~

49145 views 686 replies
Reply to Topic
kOoLeSt1

Age: 124
Total Posts: 5559
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko,
Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga,
Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo,
Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
Posted 31 Mar 2007

Fairl_Girl says

Baad mudat use dekha, logon
woh zara bhee nahin badla, logon
khush na tha mujh se bichar kar woh bhee
us ke chehre pe likha tha, logon
us ki aankhein bhee keh deti theen
raat bhar woh bhee na soya, logon
ajnabi ban ke jo guzra hai abhi
tha kissi waqt mein apna logon
dost to khair koyi kiss ka hai
is ne dushman bhee na samjha logon
raat woh dard mare dil mein utha
subah tak chain na aaya, logon
payaas sehraaon ki phir taiz hoyi
abar phir toot ke barsaa, logon
Posted 30 Dec 2007

~tasha~ says
Posted 30 Dec 2007

Fairl_Girl says
thx tasha n mg
Posted 03 Jan 2008

Fairl_Girl says

Ehsaason ke samandar mein
Dard ki lehron par
Aansoo behne lagte hein teri yaad mein
To dil poochta hai mujh se
ZINDAGI TU KOUN HAI
Jab dil ko tod kar,mujh ko thukra kar
Dilbar is dil ko hazaar zakhm deta hai
To dil poochta hai mujh se
ZINDAGI TU KOUN HAI
Tarasti aankhon ko Bechain dil ko
Jab wo tadpa jaata hai
Mohabbat ka jab koi anjaam nahi milta h
neha parikh: Tarasti aankhon ko Bechain dil ko
Jab wo tadpa jaata hai
Mohabbat ka jab koi anjaam nahi milta hai
To dil poochta hai mujh se
^ZINDAGI TU KOUN HAI
Hum ne to jaana tha
zindagi khoobsurat hai,zindagi ek suhaana sapna,
zindagi mohabbat ka doosra naam hai
Jab ki haqeeqat mein sirf gham milta hai
To dil poochta hai mujh se
ZINDAGI TU KOUN HAI
Zindagi kyon aati ho tum
Har baar koi naya naam liye
Har baar chali aati ho tum
ghamon ka saagar liye
Jaana hai kahan tujhe
Ab tu bata zindagi tu koun hai
Posted 03 Jan 2008

Fairl_Girl says
thxx king
Posted 13 Jan 2008


nice collection.

Posted 14 Jan 2008

Fairl_Girl says
TUM KISS KUSHI MAI THX KA RAH EHO?
Posted 18 Jan 2008

Fairl_Girl says

Mohabbat Nahi Rahi ...

Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi


Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi



Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi



Sehra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi



Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi



Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi..!
Posted 18 Jan 2008

Fairl_Girl says

mar bhi jaoon to kahan log bhula daingay
lafz mere ' mere hone ki gawahee dain gay

loog thara gaea jis waqt manadi aee
aj paighaam naya zillay_E_lahee dain gay

jhuonka kuch esay thapakte hain guloon k rukhsaar
jaise is baar to paat jhaar see beecha dain gay

hum wo shaab zaad k suraj ki enayat main bhi
apne bachoon ko faqat koor nighaa he dain gay

shair ki cabiyaan ada k hawalay kar ka
thufataan phir unhain maqtul_E_sepahee dain gay

mar bhi jaoon to kahan loog mujhai bhula dain gay
lafz mere mere hone ki gawahee dain gay........................!!!
Posted 18 Jan 2008

ONLYARBAB says
nice nice nice
Posted 18 Jan 2008

ONLYARBAB says
Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay
Posted 18 Jan 2008

ONLYARBAB says
teri khushi say agher ghum main bhi khushi na hoe
woh zindagi to muhabat ki zindagi na hoe

koi barhay a barhay, hum to jaan daiytay hain
phir aisi chashm-e-twajuh hoe hoe na hoe

far-surdah khatri-e-ishq aye muaaz Allah
khial-e-yaar say bhi kuch shaguftagi na hoe

teri nigah-e-karam ko bhi aazma dekha
aaziyatoon main na hoe thee kuch kami na hoe

saba yeah unn say humara paiyam keh daina
gay hojab say, yahan subh-u-shaam he na hoe

idher say bhi hay sewa kuch udher ki majboori
k hum nay aah to ki unn say aah bhi na hoe

khial-e-yaar salamat tujhay Khuda rakhay
teray baghair kabhi gher main raoshni na hoe

gay thay gum bhi jiger jalwah gah-e-janan main
woh poochtay he rahay,hum say baat bhi na hoe
Posted 18 Jan 2008

ONLYARBAB says


meherban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt
main gaya waqt nahi hun k phir a bhi na sakon
Posted 18 Jan 2008

~tasha~ says
Posted 19 Jan 2008

sun_shine says
Posted 19 Jan 2008

^dewaja^ says
Posted 19 Jan 2008

Fairl_Girl says

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay.,
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay..


Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb,
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay..


Kaash aisi koi rut koi mosam aaye,
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay..


Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai,
Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay..


Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay,
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay..


Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay,
Aatay nahi hain kion keh beetay huay zamane

Posted 21 Jan 2008


very nice...

where is koooler...?
Posted 21 Jan 2008

~tasha~ says
waiting for kooler
Posted 21 Jan 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:


Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay.,
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay..


Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb,
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay..


Kaash aisi koi rut koi mosam aaye,
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay..


Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai,
Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay..


Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay,
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay..


Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay,
Aatay nahi hain kion keh beetay huay zamane



Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:


Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay.,
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay..


Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb,
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay..


Kaash aisi koi rut koi mosam aaye,
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay..


Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai,
Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay..


Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay,
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay..


Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay,
Aatay nahi hain kion keh beetay huay zamane




gud poetry

keeep it up
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Rehan M Din said:


very nice...

where is koooler...?



mein yahaan
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,

Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,

Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,

Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door

Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says

Mere naseeb main tu nahin shayad

Kyun khel aisa taqdeer ka hota hai

Lakeerain nahin milti hain unse

Jin se ye dil milta hai

Dunya kehti hai

Chand lamhon ka saath tha

Ye dil jaanta hai

Ye umr bhar ka ehsaas tha !!!
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
^^–Maaf Karna Humein–^^/


Tumhari Yaadon me Gujari sirf unn Raaton ki na poocho…..
Ke humne toh Dinn me bhi Zakhm Chaak Jigar ke siye hai……

Andhere me gum rehte the hum Ashiyaane me apne……
Kyunki ASHQOn se jalte mere Armaano ke Diye hai…….

Sapno ke pardon me bas tum HaQiQat na bann saki…..
Dhall gaye hum bhi wajood me tere…..
Tere Dil ke Sheeshe me bhi meri Hasti na badal saki…….

WaFa ki Chaadar bunati rahi tum…..
Par meri Kismat ki Bewafai kabhi na badal saki……

Raha Aankhon me Intezaar tumhare…..
Par me hee raha door woh raste chor ke…..

Ab Himmat nahi Nazarein milane ki bhi tumse…..
Kya dunga Jawab tumhe ke woh Pal mere kon the……..!!!!
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…….!!!!!!!!!!

Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me…..
Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise bhool jaye…..

Mana aaj saath nahi hum tere……
Par tere binn hum bhi kaise Zindagi ki harr Khushi Kabool jaye…..

Chahate the hum tujhe Beintihaan……
Iss baat se Inkaar nahi karte……

Misaalein dete the jo hum PYar ki……
Aaj bhi unse nahi mukarte……

Par woh Manjar Judaai ke…..Kaise tujhe bataye……
Rukhh toh badal leti hai Hawaye….Par iss Kismat ko kaise apni baaton me uljhaye……

Aye Dilnasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye……

Yaad hai mujhe bhi woh bheegi reit se Naam tera Mitaana……
Tu hee bata Sanam Kamjor Tehreer ko kaise apne Pyar ki TaaQat hum banaye……

Maana ke hum hai Gunehgaar tere…..
Jo tere Haste Chehre ko iss Kadar Udaas Chor aaye…..

Denge Qurbaani ek dinn teri hee Khaatir…..
Phir na kehna tum ab bhi ho pehle jaise…..Door reh kar bhi na badal paaye…..

Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…….!!!!!!!!!!
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
GHERI BROWN AANKHE


Ik Khowaab Sa Dekhati Hain Gheri Brown Aankhein
ik Baat Dil Mein Chor Jati Hain Ye Brown Aankhein

Har Din Har Waqt Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Khena Kuch Chati Hain Ye Gheri Brown Aankhein

Har Baar Har Pal Mujhe Dekh Kar Na Jane Kyun
itna Pyaara Muskarati Hein Ye Gheri Brown Aankhein

Har Baar Kuch Khene Kuch Batane Ki Aarzo Mein
Wo He Baat Bhool Jati Hain Ye Gheri Brown Aankhein

Har Dam Talaas Kyun Unhe Deti Hein Mera "AZEEM"
Kya Waqe Mujhe is Kadar Chati Hein Ye Gheri Brown Aankhein.
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye,
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye....

Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye.......
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says

Wo jin kay liya alwidha kaha saab ko

Rabita to rakha magar youn kay saab

bedill ho gay hum say

saab ko nafrat hogai hum say

haal to poochtay magar youn jesay

hum say koi nata koi rishta bhi na ho unka

unko jaab batlaya kay hum door saab say hogay hain to

unhooN nay kaha itnay bejaan lafzoon say

asi bhi kiya adam bezari?

To hum sochtay hi reh gay ab hum inhaiN ya kesay kahaiN

ya bezari nahiN thi ..unhaiN kiya batatay ya kiya tha!
Posted 25 Feb 2008

kOoLeSt1 says
Masoom Mohabbat ka Fasana

Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai

Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai

Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai

Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai

Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai
Posted 25 Feb 2008

Reply to Topic