poetry corner

26534 views 632 replies
Reply to Topic
shy_princess

Age: 124
Total Posts: 2272
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
pyaar karney kai bhi kuch adaab hoova kartey hain
jagtey ankhoun kai bhi kuch khawaab hoova kartey hain.
zaroori tou nahin haar koi roo kai deekhai
sookhi ankhoun main bhi sailaab hoova kartey hain.
___________________
shy_princess
[email protected]
aik baat kahoun ager sunatey hoo



Posted 06 Dec 2003

javad says
kahan haii poetry>>>>>?
Posted 27 Jun 2004

Fairl_Girl says
koi shair sunao na javad ji app bhi
Posted 27 Jun 2004

cutefriend says
yar ab ham kiya sunayen chalo choro ap hi sunao
Posted 28 Jun 2004

Fairl_Girl says
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..................

Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................

Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................

Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai...............
Posted 28 Jun 2004

cutefriend says
wah wah wah


Posted 28 Jun 2004

javad says
good yar
Posted 28 Jun 2004

Fairl_Girl says
shukriyaa
Posted 29 Jun 2004

Fairl_Girl says
ab kiss ki bari hai
Posted 29 Jun 2004

cutefriend says
janubabae ke
Posted 30 Jun 2004

javad says
to phir irshaaaaad
Posted 30 Jun 2004

shr3k says


There will be times in all of our lives
where we're treated very harshly and unfair.
And no matter how hard we look for the justice
we find that it just isn't there.

When we're offended and in pain, our normal response
is to retaliate and somehow repay.
For we want that person to see how it feels
to have the heartache we're feeling that day.

But as natural as it seems to want to get even
it's the opposite of what God says is true.
For He is desiring that His servants be different
and be Christ-like in all that we do.

As incredible as it sounds, He wants us to repay them
with a blessing instead of more pain.
And He will give us the power we need to be kind
and the strength we need to refrain.

We have to trust Him and fully believe Him
Knowing His ways truly are best.
We have to be encouraged knowing He saw the injustice
and let Him give us comfort and rest.

The person who offends us is not declared innocent
by the kindness we place on their head.
But God takes all the heartache retaliation would bring us
and gives us a blessing instead

Posted 30 Jun 2004

miarbab says
good jii
Posted 30 Jun 2004

javad says
nice
Posted 30 Jun 2004

Fairl_Girl says
good
Posted 30 Jun 2004

javad says
Posted 01 Jul 2004

cutefriend says
helo frndz how r u ?
Posted 03 Jul 2004

javad says
theek
Posted 03 Jul 2004

Fairl_Girl says
fi9
u
Posted 05 Jul 2004

javad says
j.babe suna hai tum bemar ho?
Posted 05 Jul 2004

Fairl_Girl says
haan javad
kiss nay bataya
Posted 08 Jul 2004

Fairl_Girl says
aapne phoocha hi nahi mera haal
Posted 08 Jul 2004

Fairl_Girl says
Posted 08 Jul 2004

egoistguy4 says
khowahishoon ka bhanwar hai,chahatoon ka sailaab hai.
woh ik shakhs hi bus meray liay mahtaab haiiiiiiiii.
sochnay ki hud tuk hai bus rasaii mujh koooooo.
woh shakhs khushboo ya shaid phir koi sarab hai.
raat raat bhar rahta hoon uss ki qurbat main.
meri ankhoon main busa bus wohi ik khowab hai.
bus ik shakhs kay liay bhool gia hoon sub kuch.
na dostoon ka pata na dushmanoon ka hisab hai
kabhi tu ho nazar -a-karam kabhi tu qarar millay
hazar pardoon main chupa janay quon shabab hai.
ankhoon main nazar saaf meri tasveer atti hai
hontoon say kahnay main magar ussay hijab hai.
baat anna ki warna hum khud hi pooch laitay.
quon ho khamosh itnay? yeh kia azab hai???
shajar say saya mango aur woh saya na day.
jawab ka hai quon intezar,quon itna betaab hai?
hum nazrana aqedat key keh ankhoon say lagain
loog kahain khareed lo yeh shairi ki kitab hai.
mohabbat kay asoloon main hai umeed-a-wafa karna.
nouman kay pehlo main dil us lamhay ko betaab hai
Posted 09 Jul 2004

javad says
janubabe pooch to raha hon
abb kesi ho kia hogaya thaa kion hogayaa tha aur kesay hogay thaa????
Posted 10 Jul 2004

egoistguy4 says
haan na j.babe ub batao na inhian
Posted 10 Jul 2004

Fairl_Girl says
javad mere back born main bohat pain ho gaye thi sans laytay bhi dard hota tha so nahi sakti thi
Posted 10 Jul 2004

egoistguy4 says
ok sorry to know j.babe how r u now???
Posted 11 Jul 2004

egoistguy4 says
khowahishoon ka bhanwar hai,chahatoon ka sailaab hai.
woh ik shakhs hi bus meray liay mahtaab haiiiiiiiii.
sochnay ki hud tuk hai bus rasaii mujh koooooo.
woh shakhs khushboo ya shaid phir koi sarab hai.
raat raat bhar rahta hoon uss ki qurbat main.
meri ankhoon main busa bus wohi ik khowab hai.
bus ik shakhs kay liay bhool gia hoon sub kuch.
na dostoon ka pata na dushmanoon ka hisab hai
kabhi tu ho nazar -a-karam kabhi tu qarar millay
hazar pardoon main chupa janay quon shabab hai.
ankhoon main nazar saaf meri tasveer atti hai
hontoon say kahnay main magar ussay hijab hai.
baat anna ki warna hum khud hi pooch laitay.
quon ho khamosh itnay? yeh kia azab hai???
shajar say saya mango aur woh saya na day.
jawab ka hai quon intezar,quon itna betaab hai?
hum nazrana aqedat key keh ankhoon say lagain
loog kahain khareed lo yeh shairi ki kitab hai.
mohabbat kay asoloon main hai umeed-a-wafa karna.
nouman kay pehlo main dil us lamhay ko betaab hai

Posted 11 Jul 2004

egoistguy4 says
yaar buri lugi hai tu buri tu kahooo waisay main nay thori changing ki hia
Posted 11 Jul 2004

javad says
ohooo janubabe yaar khayal rakha karo naa
back bone to dil kay baad sab say impt chez haii
abb kesi hoooooo
Posted 11 Jul 2004

Reply to Topic