poetry corner

26517 views 632 replies
Reply to Topic
shy_princess

Age: 124
Total Posts: 2272
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
pyaar karney kai bhi kuch adaab hoova kartey hain
jagtey ankhoun kai bhi kuch khawaab hoova kartey hain.
zaroori tou nahin haar koi roo kai deekhai
sookhi ankhoun main bhi sailaab hoova kartey hain.
___________________
shy_princess
[email protected]
aik baat kahoun ager sunatey hoo



Posted 06 Dec 2003

Fairl_Girl says
acha wah apa
Posted 27 Jul 2004

~CHANDNI~ says
ham    ... app   ki app hayn na
Posted 27 Jul 2004

Fairl_Girl says
Posted 28 Jul 2004

cutefriend says
Posted 29 Jul 2004

~CHANDNI~ says
ik thaa gul aur ek thi bulabul
dono chaman mein rahate the
hai ye kahaani bilakul sachchi
mere naanaa kahate the
ik tha gul aur ...

bulabul kuchh aise gaati thi
jaise tum baatain karati ho
vo gul aise sharmaata tha
jaise main ghabara jaata hoon
bulabul ko maaloom nahi tha
gul aise kyon sharmaata tha
vo kya jaane usaka nagma
gul ke dil ko dhadakaata tha
dil ke bhaid na aate laab pe
ye dil mein hi rehte the
ik tha gul aur ...

lekin aakhir dil ki baatain
Aise kitane din chhupati hain
ye vo kaliyan hai jo ik din
bas kaante banke chubhati hain
ik din jaan liya bulabul ne
vo gul usakaa dewaana hai
tumako pasand aaya ho to boloon
phir aage jo afasaanaa hai

ik dooje ka ho jaane par
vo dono majaboor huye
un dono ke PYAR ke kisse
gulashan mein mashahoor huye
saath jiyenge saath marenge
vo dono ye kahate the
ik tha gul aur ...

phir ik din ki baat sunaauun
ik sayyaad chaman mein aaya
le gaye vo bulabul ko pakadke
aur dewaanaa gul murjhaayaa
shaayar log bayaan karate hain
aise unaki judaai ki baatainn
gaate the ye geet vo dono
saiyaan binaa nahi katati raaten
mast bahaaron ka mausam tha
aankh se aansuu bahate the
ik thaa gul aur ...

aati thi aavaaz hamesha
ye jhilamil jhilamil taaron se
jisakaa naam mohabbat hai vo
kab rukati hai divaaron se
ik din aah gul-o-bulabul ki
us pinjare se ja Takarayi
Toota pinjara chhootaa kaidi
deta rahaa sayyaad duhaai
rok sake naa usako milake
saaraa zamaana saari khudaai
gul saajan ko git sunaane
bulabul baag mein vaapas aae

yaad sada rakhana ye kahaani
chaahe jitna chaahe maranaa
tum bhi kisi se PYAR karo to
PYAR gul-o-bulabul sa karnaa
Posted 29 Jul 2004

Fairl_Girl says
nice
Posted 29 Jul 2004

cutefriend says
Posted 30 Jul 2004

Bijli says
nice
Posted 30 Jul 2004

Fairl_Girl says
apa kuch aur
Posted 30 Jul 2004

cutefriend says
bas itna hi kafi hia
Posted 30 Jul 2004

~CHANDNI~ says
nahi yah lo naaa



jab kabhii teraa naam lete hai.n
jab kabhii teraa naam lete hai.n
dil se ham i.ntaqaam lete hai.n
merii barbaadiyo.n ke afasaane
mere yaaro.n kaa naam lete hai.n
bas yahii ek jurm hai apanaa
ham muhabbat se kaam lete hai.n
har qadam par gire par siikhaa
kaise girato.n ko thaam lete hai.n
ham bhaTak kar junuu.N kii raaho.n me.n
aql se i.ntaqaam lete hai.n


Posted 31 Jul 2004

Fairl_Girl says
GOOD
Posted 31 Jul 2004

egoistguy4 says
ZINDAGI KAY ANGAN MAIN-TAAR TAAR DAMAN MAIN-DARD AUR HAIRAT-ZAKHM ZAKHM TASWEERAIN-NAFRATOOON KAY MAUSUM KI-BAYGUMAAN TEHREERAIN-JAISAY SARI BATON KA-DARD SAY HO NATA-JAISAY SUB KI ANKHOON SAY-JHANKTA HO SANATA-BUS HAI IK TANHAI-JO DILOON MAIN DAR AYY-MAHFILOON MAIN JA KAR BHI-DIL SAKOON NAHIN PATA-ANGANOON KAY RASTOON MAIN -BOLTA HAI SANATA-PHIR BHI DIL DAMAN MAIN-TAAR TAAR DAMAN MAIN-QABAR JAISI WEERANI-RAT JAISI KHAMOSHI-BUS GIA HAI SANATA-BUS GIA HAI SANATA-DOOR ASMANOON SAY-NOOR SA KOI UTRAY WARNA-ZINDAGI MAIN TU-MALGAJI ANDHAIROON KA-SHAM KAY LUTAIROON KA-BUS GIA HAI SANATA-BUS GIA HAI SANATA-MALGAJI ANDHAIRAY MAIN-ZINDAGI KI SHAM AYY-RAAT AUR SAWAIRA BHI-JAISAY HOON HUM MAINII-ZINDAGI MAIN MERAY TU -BUS GIA HAI SANATA BUS GIA HAI SANATA BUS GIA HAI SANATA.
Posted 13 Aug 2004

egoistguy4 says
woh jo aa jatay thay ankhoon main sitaray lay kar--janay kiss dais gay khowab humaray lay kar--chaoon main bhaithnay walay hi tu sub say pehlay--paird girta hai tu aa jatay hain array lay kar--aisa lugta hai keh har mausum-a-hijran main bahar--hont rukh daiti hain shakhoon pay tumharay lay kar--sheher waloon ko kahan yaad hai woh khowab firoosh--phirta rahta tha jo galiooon main ghubaray lay kar--naqad-a-jaan surf hoa kalfat-a-hasti main faraz--ub jo zinda hain tu kuch sansain udharay lay kar.
Posted 13 Aug 2004

egoistguy4 says

Ajab waiiz ki deendari hai ya RUB.
Adawat hai usko saray jahan say.
Koi ub tuk na samajh saka keh insaan.
Kahan jata hai , ata hai kahan say???
Wahin say raat ko zulmat milli hai.
Chamak tarray nay pai hai jahan say.
Hum apni dardmandi ka fasna.   
Suna kartay hain apnay raazdaan say.   
Bari bareek hain waiiz ki chalain.   
Laraz jata hai awaz-a-azan say.     
Posted 13 Aug 2004

egoistguy4 says
meray aur shy kay baqi topics kahan gay????
Posted 13 Aug 2004

egoistguy4 says
Dil-o-nigah main basi hoi hai.
Tu chandni ki buni hoi hai…..
Ghazali ankhein hain saro qamat
Gulab chehra hai ball khushboo
Tu boll uthay tu lafz khoshbo
Tu sooch lay tu khayal khoshbo
Teray takulum say bun gia hai
Jawab khushbo, sawal khushbo.
Posted 13 Aug 2004

saab ko salam
Posted 15 Aug 2004

nice poetry ego per itna inteezaar nah karwaya karoo
Posted 15 Aug 2004

aur thanx janubabe and soffia appi kai abhi tuk topic chaal raha hai
Posted 15 Aug 2004

Fairl_Girl says
Posted 16 Aug 2004

app ko kiya hoova janubabe
Posted 16 Aug 2004

kiran says
kabhi hawaoon ke sang
kabhi dishaoon main magan
sirf tera naam liya

kabhi anchal pe likh likh
kabhi panghat main perh perh
sirf tera naam liya

kabhi sitaroon main dhund ker
kabhi baharoon main dhund ker
sirf tera naam liya

kabhi toote dil main
kabhi choothe gher main
sirf tera naam liya

Posted 16 Aug 2004

good kiran jee
waisey app kahan gaib thein bardey din baad nazaar aye hain
Posted 17 Aug 2004

egoistguy4 says

janay quon wafa kay badlay wafa nain daita

woh shukhs quon mujhko meri tamana nahin daita

kahna chahoon tu harf-a-zilat bhi keh sakta hoon

par koi bhi tu khud ko saza nahin daitaaaaa

shaid usko adat pari hai ghum dainay ki

kia karoon main bhi kissi ko bud-dua nahin daita

usko nahin maloon wafa kay mainii chaloo na sahi

main bhi tu jafa kay badlay jafa nahin daita

kub say hai meri zindagi main andhaira sa

woh shukhs bhi tu jalnay zindagi ka dia nahin daita

ik ajab si udasi hai uski ankhoon main

shaid zalmoon ko khushi khuda nahin daita

shaid ankhoon main teri khoon utra hai sagar

warna raqeeb kahtay hain woh shukhs kissi ko dagha nahin daita
Posted 17 Aug 2004

egoistguy4 says
aay maan good main apni mujhko sula buhat thuk gia hoon.
mohabbat mujh ko bhi kar attaaaaa buhat thuk gia hon.
ghum bhulanay ki har dawa janay quon beasar lugti haiii.
mohabbat say apni day sub bhula buhat thuk gia hoooonnn.
KHUDA ki janat main janay juga millay na millay......
apnoon qadmoon kay talay day juga buhat thuk gia hoonn.
janay kitni ratein guzar gain taray gintay gintay
tu loory day kar mujhko day sula buhat thuk gia hoon...
tera dil tu shaid buhat bara hai aaay maan
magar main kar kar kay khataaaaaa buhat thuk gia hoon.
main tujh say door jana bhi chahoon jaaa na sakoon
day mujhko aisi koi duaaaaaa buhat thuk gia hoon
ik taraf tu zindagi ka boojh liay phirta hooonnn
aur phir ghamoon ka yeh silsala buhat thuk gia hoon.
mohabbat kay peechay bhagtay guzar gai ik umar-a-lahasil
mohabat karna,mohabbat pana day sikha buhat thuk gia hoon
sagar~ kal phir say kahin bhatak na jayyyyy
tu isko ajj gohar day bana buhat thuk gia hoon.
Posted 17 Aug 2004

Balli says
Chal rehn day.....
Posted 17 Aug 2004

Fairl_Girl says
shy main shair per clas kar rahe hon mujko kia hona hai
Posted 17 Aug 2004

acha
ajj tu bardi roonak laagi hoovi hai mairey topic main
bardey poets aye hoovey hain
Posted 18 Aug 2004

~CHANDNI~ says




Posted 18 Aug 2004

Reply to Topic