Subha`s poetry

32216 views 510 replies
Reply to Topic
subha

Age: 124
Total Posts: 5274
Points: 0

Location:
Costa Rica, Costa Rica


subha38011.9553587963
Posted 22 Dec 2003

tarash says
Posted 04 Oct 2004

new_beau says
TARASH....Really you have a Good INTIKHAB...
Posted 04 Oct 2004

tarash says
thanx dear 4 the compliments
Posted 04 Oct 2004

Fairl_Girl says
Posted 05 Oct 2004

new_beau says

"Chalo Aaghaaz Kertay hainn...
Kisi nayee kahani ka
Kissi Naye say Qissay say
Ta'alluq Jorr Detay Hainn

Kisi ajnabi see
Mukhtalif see
Kefiyat kay Zair-e-Asar Aa ker
Kisi Tareek shab kay Aakhri Lamhay Mainn
Saari Shammonn ko yakdum Bhuja ker

Soch ki Bay rang Tasweeronn mainn
Ik doojay ka Naam ka Rang Bhartey Hainn

"Chalo Aaghaaz kertay hainn"

Mainn jo kehna chahta hoon
Ik din tum say keh daloonn
Lambi Tamheed say Jaan Chhutay
Torr kay aaoon saray Hisaar
Shayad tum ko Paa hi Loon

Tum bhi ik din Khul kay Hanso
Zair-e-lub Muskaan Hatay
Mera Dil Rakhnay ko hi
Tum mehzooz honay ko hi
Mujh say aagay barh kay kaho

Dumm aapas ka Bhaertay Hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn

Tum apnay Jazbay na Batao
Per mujh ko Andaza hay
Peela Chehra hay Tera bhi
Bayshak Chehray pay Ghaaza hay

Jheel si teri Aankhainn nahinn
Jiss ki Gehrayee mainn kho jaoon
Yeh to Khuli Kitaab hain..! Samjhi?
Ik Lamhay Mainn Perh Jaoon

Ab tou yehi irada hay
Apnay Aap say Wa'ada hay
Ik din tum say Keh Daaloonn
Jo sochonn mainn Sochta hoon

Woh sub khuawab dikhainn Hum
Jo Bantay Bikhertay Hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn...

(NA TAMAM)
Posted 06 Oct 2004

tarash says
theek hai aaghaz kar dia
Posted 06 Oct 2004

tarash says
Posted 06 Oct 2004

new_beau says
Subha Aa jao...Taraash bohat bore ker raha hay
Posted 07 Oct 2004

new_beau says
new_beau said:


"Chalo Aaghaaz Kertay hainn...
Kisi nayee kahani ka
Kissi Naye say Qissay say
Ta'alluq Jorr Detay Hainn

Kisi ajnabi see
Mukhtalif see
Kefiyat kay Zair-e-Asar Aa ker
Kisi Tareek shab kay Aakhri Lamhay Mainn
Saari Shammonn ko yakdum Bhuja ker

Soch ki Bay rang Tasweeronn mainn
Ik doojay ka Naam ka Rang Bhartey Hainn

"Chalo Aaghaaz kertay hainn"

Mainn jo kehna chahta hoon
Ik din tum say keh daloonn
Lambi Tamheed say Jaan Chhutay
Torr kay aaoon saray Hisaar
Shayad tum ko Paa hi Loon

Tum bhi ik din Khul kay Hanso
Zair-e-lub Muskaan Hatay
Mera Dil Rakhnay ko hi
Tum mehzooz honay ko hi
Mujh say aagay barh kay kaho

Dumm aapas ka Bhaertay Hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn

Tum apnay Jazbay na Batao
Per mujh ko Andaza hay
Peela Chehra hay Tera bhi
Bayshak Chehray pay Ghaaza hay

Jheel si teri Aankhainn nahinn
Jiss ki Gehrayee mainn kho jaoon
Yeh to Khuli Kitaab hain..! Samjhi?
Ik Lamhay Mainn Perh Jaoon

Ab tou yehi irada hay
Apnay Aap say Wa'ada hay
Ik din tum say Keh Daaloonn
Jo sochonn mainn Sochta hoon

Woh sub khuawab dikhainn Hum
Jo Bantay Bikhertay Hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn
Chalo Aaghaaz kertay hainn...

(NA TAMAM)



Yaar I said it FIL BADEEH....
Posted 07 Oct 2004

tarash says
new_beau said:

Subha Aa jao...Taraash bohat bore ker raha hay




ohhhhhhhhhhhh


bardasht kar ya paas kar
Posted 07 Oct 2004

new_beau says
tarash said:

new_beau said:

Subha Aa jao...Taraash bohat bore ker raha hay




ohhhhhhhhhhhh


bardasht kar ya paas kar


Mainn soch raha hoon HORN day ker raasta LAY LOON
Posted 07 Oct 2004

Fairl_Girl says
Posted 07 Oct 2004

tarash says
horn ki awaz nahin ayee
Posted 08 Oct 2004

tarash says
Posted 09 Oct 2004

new_beau says
Very Good

"Baat asal mainn aik hi hay, Koi Bhoojhay Per"
"Aadhi Ghazal ik forum pay Aadhi Doojay Per !"

Adaab arZ hay
Posted 09 Oct 2004

tarash says
yeh bhi kisi kisi ka kaam hai
Posted 09 Oct 2004

new_beau says
Posted 09 Oct 2004

Fairl_Girl says
Posted 10 Oct 2004

new_beau says
WAH, Subhanallah

"Bawajood Yeh Keh Per-o-Baal na thay Adam kay"
"Waann yeh pnhcha keh Farishtay ka bhi Maqdoor na tha"
Posted 10 Oct 2004

tarash says
Ik Khawab

Janay kaun saa Khaab Chupaa hai

Maree inn pur num aankhoun main

ik ajeeb si khushboo rachee hai

maree inn chund saansoun main

na janay kioun mera dil khou saa jata hai

bahaar kay rangeen nazaaroun main

yaa shayed yeh koi weham hai mera

in khoubsourat shaamoun main

jaisay koi chahyaa houaa hai

Khaaboun main khayaloun main

yaa shayed kisi ki yaad ka rang hai

bikhraa hai phir say inn aankhoun main

jaanay kaun saa khaab chupaa hai

maree inn pur num aankhoun main .........


Posted 10 Oct 2004

new_beau says
"Jb ka Admin Bannay ka Khuwab ?? "
Posted 10 Oct 2004

tarash says
new_beau said:

"Jb ka Admin Bannay ka Khuwab ?? "




new_beau ka khawab
Posted 10 Oct 2004

new_beau says
This is not my Khuwab.

But Beware..Jis din mainn nay yeh Khuwab dekh liya..Mainn Such bhi ker kay dikha doon ga
Posted 10 Oct 2004

Fairl_Girl says
thx new beu
Posted 10 Oct 2004

new_beau says
Welcome Janubaby jee
Posted 11 Oct 2004

Fairl_Girl says
Posted 15 Oct 2004

Fairl_Girl says
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
hmmmmmmmmm
Posted 15 Oct 2004

shaista says
lately i read some poetry, liked it very much.
kuch is tarah se tha:

suuroj ko ghar main basane ka sooch raha hai
bhuul gaya hai ke khud maum ka ghar rakhta hai

(maybe a bit wrong said but was something like it, kitni sachi baat hai.....)
Posted 15 Oct 2004

Guest_005 says
nice sash ji
Posted 15 Oct 2004

Reply to Topic