iss ka dimag kharab hai iss liye itna hans raha hai
heyyyy yeh kya bewakooofon wali post kar rahe ho
khe khe aur ittttnaaa space kahe ko hota hai harr time
haan, humain yeh naheen karna chahye ke hum dunya ko dikhaane ke liye namaaz wagaira parh rahe hain balke humain dil se ibadat karni chahye. baaki qabool karne wala allah hai lekin saaf niyat se to karni chahye na
okk tell me....
u all must have heard that jism ka aik chota sa hissa bhi na paak ho to namaz nahi hoti
par agar na-paaki hamare dil mei ho,,
tab namaz ho jati hai kya ????
isnt dil part of yr body? it is na! so u have answered yr own question in yr post ...ok i know u meant like na-paki of mind as in the thoughts n all..well definately niyat is the key word here and if u dont have a good niyat i dun think there is any use of yr sayin namaz...
ajj tuk kisi nein dil sei namaz paari hai tum sub sei question hai........kya kabi ayesaa hoa hai kay namaaz kay doraan sirf namaaz ka he khayal dil mein ho ...koi ore khayal na ayaa haoo ????
kabool karnay wala tu upaar betha hai .......aik bacha jesay abi namaz ka matlab he nahi pata jub woe namaz parta hai namaz mein woe uth kay edhar udar be dekhnay lugta hai...kabi khud he hansnay lugta hai ...kabi kuch karnay lugta hai ...kya khayal hai uss ki namaaz kabool hoti hai kya nai ?
kya baat hai app ki mujay be woe tareeka sekha dein jis sei kabi kabi he sahi namaz mein koi ore khayaal na ayeee.............meri sarii zindagi mein aesa nahi hoa kay jub mein namaz paar raha hoon ore koi khyaal na ayaa hoo.
hum bachay masoom hai ess leye un ki namaaz kabool ......jo bechara majboor ho uss ki namaaz kue nahi kabool ?? koi bechara lakh dil ko saaf rukhnay ki koshish karay namaaz kay duraan paar na ho sakay tu kya uss ki namaaz be kabool na hoyee ??
sal fan,, areyy yar i was talking abt niyyat ofcourse
but niyat dil mei hoti hai so i used word "dil"
arey nahi freddy,, me yeh nahi keh rahi k POOORI TAWAJO se namaz,, saaaf dil se mera matlab hai k
logon ki taraf se dil saaf,, ya phir dil mei kissi gunah ka khyal na ho
for example agar mera kaam hi milawat karna aur rishwat lena hai, ya phir geebat karna jhoot bolna meri aadat hai
ya me bohot maghroor hu,, harr kissi ki takleef se behis hu,,
aur saath mei agar me saari namaz parhti hu
to kya aisi namaz kubool hoti hai
jahan tak poori tawajja ka taluk hai to it s something different,, jab hum pareshan hon ya koi jaldi ho to kabhi dil nahi lagta namaz mei,,, that s different,,
mera khyal mei aisi namaz kubool hoti hai par uss ka sawab kam hota hai
agay Allah miyan behtar janein..
waise namaz mei galt khyal aana normal hai
i ve read once,, bura khyal bijli k taar ki tarha hota hai
usse khud se door karne liye bhi chuo ge tab bhi lipat jae ga
insaan ka dil aur dimag saaf aur roshan hona chaiye
k bura khyaal aae aur aa k nikal jae
it s not that simple but try it,, it works
issi liye fakeer jangaloon main jaate the taan ke dunya ka khayaal un ke dil aur dimaagh main na aaye aur woh ibadat main hi khooye rahein lekin aaj kal hum yeh soochte hain ke namaaz ka time hai lekin mera falaan favourite tv programm lagne wala hai kia karoong ab?
jaise dunya main is se barri aur koi problem naheen hai....
yep,, par iss ka taluk niyyat se hai
agar hum apne TV prog liye jaldi kar rahe hein to matlab hua k hamare liye namaz tv prog se kam important hai
and this is wrong
(han kabhi aisa ho sakta hai k koi wakai aisa zaroori kaam ho k namaz jaldi se parhi jae ja kazaa ki jae)
hmmm,, im saying that coz me normaly 3 namaz kazaa parhti hu coz of my job,, but i sometimes wonder k meri job wakai namaz se zyada zaroori hai,,,,
hmmmm,, Allah miyan knows better
par yar,, dunya ko chor dena bhi to sahi nahi hai
Islam teaches us how to live in a society,, par jab dunya hi chor do ge to saare ehkaam kaise poore karo ge ??
JAB BHI KOI NAMAZ PARHTA HAI ....
ZAHIR HAI WO ACHI NIAT SAY HI PARHTA HAI ....
AB IS BAHAS MAIN NA HI PARAIN TO BEHTER hAI ....
KABOOL KARNAY WALI TO ALLAH KI ZAT HAI ....
AUR JAB WO RAHAM KARNAY PAR AATA HAI .TO SAB GUNA CHAHTAY WO CHOTA HAI YA BARA ..MUAF KAR DAITA HAI >.....