''AANSOO''
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Girte hain Dil Se
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
BeWaFa
Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan
Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan
Woh apne aap sey begaana kar gaya humko
Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan
Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan
Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey
Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan