tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo
main bohat dino say udas hon mujhey koi sham udhar do
mujhey apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal
mujhey apnay rang main rang do meray saray rang utar do
kisi or ko meary haal say na garz hai na koi wasta
main bikhar gaya hon samait lo bigar gaya hon sanwar do
meri wehshaton ko barhadiya hai judayun k aazab nay
meray dil pay haath rakho zara meri darhkanon ko qarar do
tumhain subh kaisi lagi kaho meri khawishon k dayar ki
jo bhali lagi to yahin raho issay chahaton say nikhar do
wahan ghar main kon hai montazir k ho fikr dair sawair ki
bari mukhtasir yeh raat hai issay chandni main guzar do
koi baat kerni hai chand say kisi shakhsar ki oot main
mujhey rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do
Dil Bahelta hai kaha
Dil Bahelta hai kaha anjam-o-mehtaab se bhi
Ab tho hum log gaay deeda-e-Khowab se bhi
Kuch tho os Aankh ka shewa hai khafa ho jana
Aur kuch Bhool howi hai Dil-e-Betaab se bhi
Kuch tho ls husan ko jane hai zamana sara
Aur kuch baath chali hai mere Ahbaab se bhi
Ye aarazuu thi tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karte
payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karte
merii tarah se maah-o-mahar bhii hain aavaaraa
kisii habiib ko ye bhii hain justajuu karte
Jo dekhte terii zanjiir-e-zulf kaa aalam
asiir hone ke aazaad aarazuu karte
na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
barastii aag men jo baaraaN kii aarazuu karte
Ashk bahut bhaye humne tere intazzar mein
yaad kiya hai tumhe haar bayte huway lamho mein
Ab na mujhe aur sataoo tum tumhari yaado se
ke maut bhi hamko na aaye inh bewafa rahoon mein