Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN


Posted on 7/2/2007 11:09:10 PM

London_Girl:

Posted on 7/3/2007 5:01:18 AM

QUEEN VICTORIA:
thxxxx

Posted on 7/3/2007 5:03:43 AM

cutefriend:
wah wah kia baat hia jeee
thxxxx

Posted on 7/3/2007 5:07:11 AM

Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay

Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay



Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay



Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay



Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay

Posted on 7/3/2007 5:14:16 AM


Dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun

Posted on 7/3/2007 5:14:59 AM



Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka
Basi hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka

Chupaya Hai Tujhay Pelkon Main Khuab Ki Terhaan
Meri Ankhoon Ke Samander Ko Kinara Mil Na Saka
Dil Ke Raaste Main Koi Is Terhan Se Na Bhatke
Ke Doobta Hi Chala Gaya Koi Sahara Mil Na Saka

Teri Chahat Main Janey Kitni Door Nikal Gaya Hoon Main
Per Meri Kismat, Ik Pal Ko Bhi To Meray Sath Chal Na Saka
Hai Ye Meri Dua Ke Sada Aabad Reho Tum
Milay Her Wo Sukh Tumhain Jo Mujhay Kabhi Mil Na Saka

Posted on 7/3/2007 5:17:47 AM


Posted on 7/3/2007 9:10:04 AM

kool

Posted on 7/3/2007 10:50:34 PM

FG.. juldi se or poems ad karro

Posted on 7/4/2007 11:33:22 PM

main ne faslon ko mitaya woh judai ker gaya
kitna masoom tha woh lekin bewafai ker gaya
woh sikha gaya kisi pe na aitbar kerna
kitni burai ker ke aik achai ker gaya

Posted on 7/5/2007 3:18:43 AM

Rehan M Din:
thxxxxxxxxxx

Posted on 7/6/2007 5:03:21 AM

KING OF JB:
thx v nice

Posted on 7/6/2007 5:06:54 AM

cutefriend:
main ne faslon ko mitaya woh judai ker gaya
kitna masoom tha woh lekin bewafai ker gaya
woh sikha gaya kisi pe na aitbar kerna
kitni burai ker ke aik achai ker gaya
nice

Posted on 7/6/2007 5:06:55 AM


x............x............x
Ek Shaks Tha jo koh gaya
duniya ki ranginyon mein ja ka mil gaya
=====================================================
ek hath tha hath mein woh hath bhi choot gaya
ek khwab tha jo toot gaya
woh phir kabhi aya nehi Jo tanha chor gaya
ek deya jalaya tha jo bhojh gaya
=====================================================
ek gher banaya tha mithi ka
woh gher samandar ki lahro se takra ka doob gaya
=====================================================
ek shaks es kadar toot gaya
ka sahara deta hi woh bikhar gaya
=====================================================
jo sab ko adhere mein roshni deta tha
woh ek shaks hi adhere mein koh gaya
jo sab ko rasta dhekta tha
woh ajj khod rasta bhatak gaya
=====================================================
rona bohat chaha per roya na gaya
itna hasa ka ab ek aanso ka qatra bhi bahaya na gaya

Posted on 7/6/2007 5:17:17 AM


Sog Kartay Hin

falak pe chaand ke ujaley bhi sog kerte hain…
jo tu nahin to ujaley bhi sog kerte hain…

tumhare haath ki choori bhi been kerti hai…
hamare hont ke taale bhi sog kerte hain…

nagar nagar mein woh bikhrey hain zulm ke manzar…
hamari rooh ke chhaley bhi sog kerte hain…

usey kaho ke sitam mein woh kuchh kami kerde…
ke zulm torne wale bhi sog kerte hain…

tum apne dukh pe akele nahin ho afsurda…
tumhare chahne wale bhi sog kerte hain…

Posted on 7/6/2007 5:45:44 AM

..
AANKHON MAIN SAMAA JAO

AnkhOn main sama jao, Is Dil main raha karna
TarOn main hansa karna, PhoolOn main khila karna

Jab se tumhein dekha hai, Jab se tumhen paya hai
Kuch hOsh nahi mujhko, Ek nasha sa chhaYa hai
Ab baat jo karni ho, Aankhon se kaha karna

Aey kaash dharkta Dil, Kuch dair Thehar jaaye
Ye raat Mohabbat kii, U hi na Guzar Jaye
Baqi hai abhi tum par, Ye jaan fidaa karna
Aankhon main samaa jao, Is Dil main raha karna

Qismat na dikhaye ab, Ghariyan hUmein furqat ki
Har raat U hi chamke, Taqdeer Mohabbat ki
Aey chand sitaarOn tum mil jul k Dua karna
Aankhon main sama jaao, Is dil mein raha karna

Posted on 7/6/2007 6:21:32 AM

nice work

Posted on 7/6/2007 12:40:20 PM

kewl

Posted on 7/6/2007 3:48:58 PM

ZINDGE KAY DIN KESAY BHE HON GUZAR JAYENGAY
AIK DIN HUM BHE CHUPKAY SAY GUZAR JAYNEGAY
AJ REHTAY HAIN APKAY DIL AIN YAAD BAN K
KAL ANSOO BAN K ANKHON SAY NIKAL JAYNGAY

Posted on 7/7/2007 12:31:56 AM



*hum se hota kisi maqool bahaanay se alag*

hum se hota kisi maqool bahaanay se alag
hum ne chaha tha jisay saaray zamaanay se alag

hum se bichhRa to khhula bhaid ye ham per, ik shakhs
apnay ghar se hi nahiN, tha woh gharaanay se alag

tujh se wabasta tha kia dil ka sabhi chaen o qaraar
dil hua mujh se teray chhoR ke jaanay se alag

mujh se kaisa juRa baithha tha woh tareeki meiN
na gahaaN ho gia ik shama jalaanay se alag

chaen lainey na dia gardish-e-dauraaN ne mujhey
mera qiSSa hai mahabbat ke fasaanay se alag

Tanz ka teer nishaanay pe hi lagta hai sada
phhainka jaye ye kahiN khaah nishaanay se alag

yooN to har shehr nain dikhlaaye kaye khaab mujhey
teri basti ke thhe kuchh khaab suhaanay se alag

Posted on 7/7/2007 8:34:13 AM

gud workkkkkkk   

Posted on 7/7/2007 1:43:02 PM


Posted on 7/7/2007 2:20:21 PM

kewl

Posted on 7/8/2007 8:36:16 PM


Posted on 7/9/2007 5:11:13 AM

Hum thode nadan hai,
thode se hai natkhat,
kya muje apnaoge....?

chupkese rote rahete hai,
sabke samne to haste hai,
kya muje apnaoge....?

chillaye to ruth jayenge,
pyaar se hum maan jayenge,
kya muje apnaoge....?

hum to sada aisse rahenge,
hame naa tum badal paoge,
kya muje apnaoge....?

aapko humne apna hi samja,
dusra na koi dil mai basa,
kya muje apnaoge....?

gam aapko humse batna hoga,
sari KHUSHI humse leni hogi,
kya muje apnaoge....?

aapse pahale hame hai jana,
wada aapko to karna padega,
kya muje apnaoge....?

aapko kabhi bhul naa payenge,
ye galti hum roz dauhrayenge,
kya muje apnaoge....?



Posted on 7/9/2007 1:08:41 PM

Khushbo'on ki tarha meri har saans mein,
Pyar apna basanay ka wada karo,
Rang jitnay tumhari mohabbat kay hain,
Mere dil mein sajanay ka wada karo.

Hai tumhari wafaon pay mujh ko yakeen,
Phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen,
Yoon hi meri tasali ki khatir zara,
Mujh ko apna bananay ka wada karo.

Jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum,
Dhadkanoon mein naya rang bhartay ho tum,
Baarha kar chukay ho, magar aaj phir,
Mujh ko apna bananay ka wada karo.

Sirf lafzoon say iqrar hota nahi,
Ik janib say hi pyar hota nahi,
Main tumhain yaad rakhnay ki khaoon kasam,
Tum mujh ko na bhulanay ka wada karo

Posted on 7/12/2007 4:56:32 AM

Jo adhoori reh gayi thi kahani, Sochna !
Beth ker tanha faqat baatein purani sochna

Jab kisi sahil pe aajaye meri yaad tumhain
Kyun jazeeron ki taraf rehta hai paani, Sochna !

Tum agar bicharne per Khush ho to yun hi sahi
Beth ker tanha faqat shaamein purani sochna

Jab kabhi likhna kahani zeest ke mauzu pe tum
Kyun badal jaate hain lafzon ke maa'yne, Sochna

Posted on 7/15/2007 4:27:24 AM

nice one.. cutie

Posted on 7/15/2007 7:50:57 PM

thx lg

FG jaldi aooo yarrrrrrr

Posted on 7/16/2007 2:05:28 AM