Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

KING OF JB:
wah jee wah
THANKS MG

Posted on 8/9/2007 7:26:29 AM

London_Girl:
Fairl_Girl:

Mausam ki tarah janay kiu kuch log badal gaye
ub sarary musam dil kay janay kiu khizaan hu gaey



Ajeeb say dasht-o-sehra main bhatak rahin hain hum
seairaab hu kay samandar say janay kiu pyasay hu gaey

Jalti hui rait main nagain paoon chltian hain ub tu hum
tapti hui dhoop main janay kiu be-saibaan hu gaey

Bari muddat kay baad ek roshni ki chamak ju mili thi humain
wo chandi ki roshni wo tarey sub janay kiu undhera hu gaey

Meri mohabbat ku na keray ga shumar wo kahbhi upni zindagi main
hum us ajnabee kay payr main janay kiu dewane hu gaey

Koi malaal na koi yaad baqi rahi hay ub dil main humaray
us ku tammam yadien lauta ker janay kiu hum jaan say gaey

Guzray dinu ki chund yaddon ku bhi ajj hum nay duffan ker dya
aur sub kuch bhola ker hum bhi janay kiu ajnabee hu gaey

Humain ub na pukurna phir say ae dostoon khabhi
is bewafa dunia main reh ker janay kiu hum bhi bewafa hu gaey

Bahaar phir say na aye gi ub is ujray huay chaman main ainy
pholoon kay khilnay kay janay kiu wo sarey musam beet gaey



THANX

Posted on 8/9/2007 7:26:40 AM

KING OF JB:
Fg
JIII

Posted on 8/9/2007 7:27:21 AM



INTEZAAR HAI

Dartay Hai Shaam K Dhund Halke Se Hum
Jis Ki Shokhi Main Jhalak Phir Matami Si Hai

Intezaar Hai Dastak-E-Sehar Ka Mujhe
Ki raat Se Saans Kuch Bujhi Bujhi Si Hai

Aakar K Koi Lelay Mujhe Apni BaahOn Main
Ki Lagta Hai Jaise Ye Saanse Ab Aakhri Si hain

Tamanna Hai Us Pursukoon Ehsaas Ki Mujhe
Ki Zindgi Main Ab Bari Khalbali Si Hai

Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar
Ki Iski Aadat Bhi Aadmi Si Hai

Waqt Nahi Lagta Bhoolne Main Kuch Dair Pehle Ki Maut Ko
Ki Zindagi Jeene K Liye Ye Baat Bari Laazmi Si Hai

Posted on 8/9/2007 7:41:49 AM



Aaj Dareechay Main Aana Wo Bhool Gayaa
Main Bhi Apna Diya Jalaana Bhool Gayaa

Aaj Mujhay Bhi Us Ki Yaad Nahi Aayi
Wo Bhii Mere Khwaab Main Aana Bhool Gayaa

Bahaar Ne Jab Se Aana Chorr Diya
Mausam Bhi Apna Phool Khilaana Bhool Gayaa

Chaltay Chaltay Mein ,Main Usay Ghar Le Aaya
Wo Bhi Mujh Say Apna Hath Churaana Bhool Gayaa

Khat Likha Hay Par Khat Ke Konay Pe
Wo Apni Aankh Ka Aansu Mitaana Bhool Gayaa

Rooth Ke Dono Aik Jaghe Par Bethe Rahe
Main Us Ko Wo Muhjay Manana Bhool Gayaa


Posted on 8/9/2007 8:00:34 AM

v nice

Posted on 8/9/2007 2:27:42 PM

THX TASHA

Posted on 8/10/2007 6:12:11 AM

GOOD COLLN

Posted on 8/10/2007 10:30:25 AM

Fairl_Girl:


Aaj Dareechay Main Aana Wo Bhool Gayaa
Main Bhi Apna Diya Jalaana Bhool Gayaa

Aaj Mujhay Bhi Us Ki Yaad Nahi Aayi
Wo Bhii Mere Khwaab Main Aana Bhool Gayaa

Bahaar Ne Jab Se Aana Chorr Diya
Mausam Bhi Apna Phool Khilaana Bhool Gayaa

Chaltay Chaltay Mein ,Main Usay Ghar Le Aaya
Wo Bhi Mujh Say Apna Hath Churaana Bhool Gayaa

Khat Likha Hay Par Khat Ke Konay Pe
Wo Apni Aankh Ka Aansu Mitaana Bhool Gayaa

Rooth Ke Dono Aik Jaghe Par Bethe Rahe
Main Us Ko Wo Muhjay Manana Bhool Gayaa





Posted on 8/10/2007 6:16:42 PM

London_Girl:
Fairl_Girl:


Aaj Dareechay Main Aana Wo Bhool Gayaa
Main Bhi Apna Diya Jalaana Bhool Gayaa

Aaj Mujhay Bhi Us Ki Yaad Nahi Aayi
Wo Bhii Mere Khwaab Main Aana Bhool Gayaa

Bahaar Ne Jab Se Aana Chorr Diya
Mausam Bhi Apna Phool Khilaana Bhool Gayaa

Chaltay Chaltay Mein ,Main Usay Ghar Le Aaya
Wo Bhi Mujh Say Apna Hath Churaana Bhool Gayaa

Khat Likha Hay Par Khat Ke Konay Pe
Wo Apni Aankh Ka Aansu Mitaana Bhool Gayaa

Rooth Ke Dono Aik Jaghe Par Bethe Rahe
Main Us Ko Wo Muhjay Manana Bhool Gayaa




THX U

Posted on 8/12/2007 9:52:03 AM

^dewaja^:
GOOD COLLN
THXXXX

Posted on 8/12/2007 9:52:10 AM


Mohobbat Sachi Hai

Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi

Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman bhi hila degi

Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai

Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi

Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya, par dosre hi pal bhula diya

Mera pyaar itna aasaan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi

Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki

Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi

Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor

Jab meri yaad mein tum tarpoga par. tab tumhain apni mohabbat na degi

Posted on 8/13/2007 7:36:59 AM


zindagi mein ayein hai kuchh daur is tarah,
sawan mein aate hain toofan jis tarah.
mujhe se door ho chuke woh mere apne kuchh aise,
ki marne ke baad jism se rooh jis tarah

Posted on 8/13/2007 7:42:04 AM



kisi anjan ko apna bnayein kis tarah,
hath unse dosti ka milayein kis tarh.
jindgi ne hr kadam pr thokerein hi di hai doston,
aise mein tum hi kaho hu muskurayein kis tarah.
jisne samjha hi nahin hai pyaar ka matlab kabhi,
ulfatein usse nibhayein kis tarah.
beasar hi reh gayi mangi hai jab koi dua,
mangte aise ein hum phir duayein kis tarah.
jindgi mein do kadam koi sath chalta nahin,
humdum phir umarbhar ka hum bnayein kis tarah.
kya khabar kis mod pr ho jaye koi hadsa,
aas hath ki lakiron se lagayein kis tarah.

Posted on 8/13/2007 7:49:46 AM

thxxx

Posted on 8/14/2007 6:31:21 AM


baat reh gayi

Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
————————————–

Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yun
————————————–

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega
————————————–

Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
————————————–

e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
————————————–

Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
————————————–

ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath
be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath
————————————–

Tumne apne zulfoN ko is tarah bikhera hai
ek taraf ujaala hai, ek taraf andhera hai
————————————–

Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho
Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?
————————————–

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai
————————————-

Posted on 8/14/2007 6:43:30 AM

gr8 work fg sis

Posted on 8/14/2007 8:05:15 AM

cool poetry

Posted on 8/14/2007 9:11:21 PM

nice

Posted on 8/14/2007 10:23:30 PM

nice work yar fg

Posted on 8/15/2007 2:23:27 AM

faryad ker rahin hain yeh tarsi hui nigahyen
dekhye huye kisi koi bahut din guzar gaye

Posted on 8/15/2007 2:49:05 AM

London_Girl:
nice
thanks

Posted on 8/15/2007 7:21:56 AM

QUEEN VICTORIA:
cool poetry
thanksss

Posted on 8/15/2007 7:22:03 AM

cutefriend:
nice work yar fg
shkriyaaa

Posted on 8/15/2007 7:22:35 AM

~tasha~:
gr8 work fg sis
thxxx sis

Posted on 8/15/2007 7:22:53 AM

cutefriend:
faryad ker rahin hain yeh tarsi hui nigahyen
dekhye huye kisi koi bahut din guzar gaye
nice

Posted on 8/15/2007 7:23:00 AM

* Aaj jo Tanha hai

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga*

Posted on 8/15/2007 7:35:27 AM


khayalon main teri tasweer banaoon magar kaise
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunaon magar kaise

Jo mahel banaye the khuwabon main humne
In mahlon main Wafa ke deep jalaoon magar kaise

Mohabbat Wafa Chahat sab toot chuke hain
Ab main khud ko kisi khilone se behlaoon magar kaise

Kitne chiraagh jalaye tere intezaar ki aas main
Is Dil pe main aur sitam dhaoon magar kaise

Apne gird jo tanhaiyon ke mele dekhe to khayaal aaya
Tumhari tarhan main bhi bewafa banjaoon magar kaise

Posted on 8/15/2007 7:39:42 AM


Posted on 8/15/2007 1:17:42 PM

Fairl_Girl:
cutefriend:
faryad ker rahin hain yeh tarsi hui nigahyen
dekhye huye kisi koi bahut din guzar gaye
nice



thx

Posted on 8/15/2007 1:19:17 PM