Logo

Guess the MISRAH

qasam say meray paass nahin hai
menu vi naee pata

Posted on 3/16/2006 2:10:02 PM



Hum Nay ik Umr Basar ki Gham-e-Yaar Kay Saath
MEER dou (2) din nay Jiyey Hijr kay Aazaar kay Saath




Posted on 3/17/2006 1:56:02 AM

NEW MISRAH

Uss nay silwa bhi liyey hongay Siyaah rang Libaas

CLUE: New Young Poet. MALE

Posted on 3/17/2006 3:18:34 PM

new_beau:


Hum Nay ik Umr Basar ki Gham-e-Yaar Kay Saath
MEER dou (2) din nay Jiyey Hijr kay Aazaar kay Saath

yeh mujhe marr k bhi nahi aana tha



Uss nay silwa bhi liyey hongay Siyaah rang Libaas
ab moharram ki tarha eid manati hogi

yeh bohot drawni nazm hai,, sach

Posted on 3/17/2006 8:26:04 PM

Uss nay silwa bhi liyey hongay Siyaah rang Libaas
meri beemari ki khabar jo kissi ne suna di hogi

haaaaaaahahahahhaaaa..
khekhhhehehehee...

Posted on 3/17/2006 8:27:29 PM

Good...Mainn Nay kal hi Black Shirt Khareedi hay

Posted on 3/18/2006 1:14:18 AM

Uss nay silwa bhi liyey hongay Siyaah rang Libaas
tootnay lagi ho gi jab dil ki her aas
uth jati ho gi chonk ker neend say her ik zohra
khwabon main jab bulati ho gi awaaz e abbass

adab arz hai

I know misra matwazan nahin hain per fer vi

Posted on 3/18/2006 12:18:43 PM

SALL:
Uss nay silwa bhi liyey hongay Siyaah rang Libaas
meri beemari ki khabar jo kissi ne suna di hogi

haaaaaaahahahahhaaaa..
khekhhhehehehee...

oh sall bhi shaira ho gai
daikha suhbat ka asar

Posted on 3/18/2006 12:23:00 PM

malika e aliya
uff Allah ab aise to na kahiye




naya bhai jii ki fikar karein
kaaali kameezein silwa rahe hein, khair se

Posted on 3/18/2006 12:38:22 PM


Posted on 3/21/2006 10:07:57 PM

ki hoya

kisi nay meri mundarja bala kawish ki tareef nahin ki

Posted on 3/22/2006 12:11:01 PM


Posted on 3/22/2006 9:49:59 PM

lay duss

Posted on 3/24/2006 2:35:36 PM

aap ki mundarja bala kawish bohot achi hai malika e aliya
hamesha ki tarha


par yeh aap k bradar grami ko kya hua hai
phati phati nazron se dekha karte hein

Posted on 3/24/2006 4:46:19 PM

shocked hai pak aa kay

Posted on 3/24/2006 8:15:58 PM

new misraa bhai sahab..?

Posted on 3/29/2006 7:58:09 PM

bhai sahab aaj kal lhori siri pae mei phanse hue hein

Posted on 3/29/2006 11:06:38 PM

aa gaya


NEW MISRAH

"Ajab Aitbaar-o-Bay Aitbaari kay Dermiyaann hay Zindagi"

Posted on 3/31/2006 7:39:29 PM

suna hua hey... lekin wo buss demagh aajkal kaam kuch kamm kar raha hey,,,

Posted on 4/1/2006 1:24:20 PM

Bohat Aasaan hay ...yeh tou...

Posted on 4/1/2006 3:33:39 PM

jab yaad e na aaraha ho to kya aasan kya mushkil...

Posted on 4/1/2006 3:45:25 PM

baaqi log kahann hainn

Posted on 4/1/2006 4:18:15 PM

hum to khud se bauy-khabar hain. kya janain kon kahan hey...

Posted on 4/1/2006 4:47:23 PM

Ajab Aitbaar-o-Bay Aitbaari kay Dermiyaann hay Zindagi
paoon ki zameen sar ka asmaan kahan kho gaya aey zindagi
adab arz hai


asli nahin pata na

Posted on 4/1/2006 6:45:03 PM

is pe hum zara ghor farma lain, phir daad dain gay...

Posted on 4/1/2006 6:52:34 PM

fermaye fermaye
waiting ting

Posted on 4/1/2006 7:19:58 PM

intazar,


na karain jee...

Posted on 4/1/2006 7:22:28 PM

Hay aur Koi ...Ya Misrah Change keroon ???

Posted on 4/1/2006 8:32:01 PM

aik main aor aor aik tu...

aor koi nahi hey misraa guess karne wala.. hum kar nahi saktay to aap doosra day e daalain...

Posted on 4/2/2006 1:16:33 PM

ajab aitbaar o be-aitbaari k darmiyan hai zindagi
me kareeb hu kissi aur k,, mujhe jaanta koi aur hai

adaab arz hai

Posted on 4/2/2006 5:26:55 PM