Logo

Guess the MISRAH

Aap ki Koshish Normal type ki hay.. Participation ka Shukriya


Juz teray koi bhi din raat na jaanay meray
tu kahan hay magar aay dost puraanay meray

Kaash tu bhi kabhi aawaaz meri sunta ho
phir pukara hay tujhay dil ki sada nay meray

Aaj ik aur baras beet gaya uss kay baghair
jis kay hotay huwe hotay thay zamaanay meray

sahi lafz MERAY hay



Posted on 3/6/2006 1:26:50 PM

i like this ghazal...

next one..

Posted on 3/6/2006 10:40:34 PM

NEXT MISRAH

"Iss Shehar kay badel bhi Teri Zulfonn ki Tarah Hainn"

Posted on 3/6/2006 10:45:34 PM

nahi pata...

Posted on 3/7/2006 12:26:50 AM

Aur koi hay jo bataye..Ya New Misrah doon?

Posted on 3/8/2006 9:14:12 AM

hum zara aaj kal aa nahi rahe
iss liye yeh topic ko bhi miss kar rahe hein


daktar aur queenu hamare peeche number bana lo basss

Posted on 3/8/2006 5:14:22 PM

Iss Shehar kay badel bhi Teri Zulfonn ki Tarah Hainn
roz ik rang naya badalatay hain(Garnieer hair colours)

chalo new misra day do ab

Posted on 3/8/2006 5:24:21 PM

day e dain...

Posted on 3/8/2006 7:52:48 PM

Bashir Bader

Hontonn pay Mohabbat kay Fasaanay nahin aatay
Sahil pay Samander kay Khazaanay nahin aatay

Aankhainn bhi chamak uth'ti hainn sotay mainn hamaari
Aankhonn ko Abhi Khuwab Chhupaanay nahin aatay

Iss shehar kay badel bhi teri zulfonn ki tarah hainn
Yeh aag lagaatay hainnBhujaanay nahin aatay


NEW MISRAH

Rahay ga Saath tera Piyar Zindagi Ban ker

Posted on 3/8/2006 8:29:04 PM

Rahay ga Saath tera Piyar Zindagi Ban ker
ye aor baat meri zindagi wafa na karay

Posted on 3/8/2006 8:35:47 PM

Shukar hay koi tou Bhoojh liya aap nay..    

Taba'Aazmayee waalay Hazir Honnn

Posted on 3/9/2006 10:16:05 AM

mubarik ho dr sb
meenar e pakistan aap ka hua

Posted on 3/9/2006 6:19:05 PM

aaj sir duk h raha hai koi 'aamad" nahin ho rahi

Posted on 3/9/2006 6:26:49 PM


Posted on 3/9/2006 6:48:52 PM

meenar-e-Pakistan.. wo to pooray Pakistan ka hey.
aik adad acha sa cd player day dain...

Posted on 3/9/2006 7:08:47 PM

TabaAazmayee kero jee::laadiyaann na kero

Posted on 3/10/2006 5:10:48 PM

siwa meray koi aur tujhay daikha na keray
is terha bhi koi kisi ko chaha na keray
manga hai tera saath zindagi bhar k liye
ye aor baat meri zindagi wafa na karay

adab arz hai

Posted on 3/10/2006 5:59:30 PM

acha hey..

Posted on 3/10/2006 8:12:36 PM

Reshuffeling of words.. Koi Gal Nahin..

Achha hay

NEW MISRAH

Hum nay ik umr basar ki gham-e-yaar kay saath

Posted on 3/11/2006 11:30:36 AM

reshuffeling I think 10% hai
baqi mujhay to orginal kya hai pata bhi nahin
tukkay lagye thay as asusual

Posted on 3/11/2006 12:08:20 PM

Meharbaani jee Tukkay Lagao ya TAKKAY lagao..Tpic Chalta rehna Chahiyey

Posted on 3/11/2006 12:40:33 PM

hor fer.......

Posted on 3/11/2006 4:54:58 PM

Hor fer bol tou diya hay...New Misrah Bhoojay Koi

Posted on 3/12/2006 1:46:40 AM

is it something like

log tanha zindagi basar karte hein
hum ne ik umr basar ki gham e yaar k saath
kuch aisa hi

Posted on 3/12/2006 3:08:21 PM

hee hee hee SALL JEE...Aap nay BAY KHAYAALI main Taba'Aazmayee ker di,,Achhi Koshish hay ,,Mubarak ho...

Aap bhi Shayera ho gayeenn

Chalo Abhi Shabaash Asli Original Misrah Guess kero

Posted on 3/12/2006 11:18:28 PM

no idea

Posted on 3/13/2006 1:15:14 PM

Kiya ho gaya hay Sub ko

Chalo CLUE day raha hoonn..MIR ka shair hay yeh

Ab bhi na Bhoojha tou Fine keroon ga

Posted on 3/13/2006 11:54:39 PM

bhai, aap fine kar e dain.. aata to mujhe hey nahi,

Posted on 3/14/2006 8:02:09 PM

Kiyun nahin aata...


SALL aur QUENN ko poochho...

Posted on 3/15/2006 3:02:17 PM

ufff Alllaaah,, me shayar ho gai
mujhe shalam aati hai






ahann,,,,
meer darya hai sune sher zubani uss ki
Allah Allah re tabiyat ki ravani uss ki

dhoondna pare ga zara
.........
fakeerana aae sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
nahi mila

Posted on 3/16/2006 1:24:36 PM