Logo

Guess the MISRAH

NEW MISRAH

"Tum nay tou Thak kay Dasht mainn Khaimay Laga Liyey"

Posted on 12/30/2005 10:08:03 PM

meri taba azmai nahin daikhi ustaad jee nay

chalain sall aur dr sb misra poora kerain takay mai apna kaam keroon

Posted on 12/31/2005 12:25:55 PM

ufffff ye mere sath kya ho raha hey.... ye sher mujhe itna acha aata tha.. ab aik damm zehn se nikal gya...

let me soch....

Posted on 12/31/2005 1:56:25 PM

QV AAap ki tab'a Aazmayee dekhi hay...Aur Appreciate bhi Ki hay...Ooper message dobara perhain...

Kal Tek Misrah Nahin Boojha tou..Misrah Wapas

Posted on 1/2/2006 11:17:33 PM

aray main jawanon wali taba aazmai ki baat ker rahi thi

dr sb jalsi kerain badaam khaya kerain

Posted on 1/3/2006 12:15:12 PM

ufffff ... dar-asal baat ye hey k meri new classes start hone wali hain.. ab hum demagh pe zyada zor nahi daal rahay...

aaap misraa wapis na lain. bal-k is ka misraa bhai bhi bhej dain...

Posted on 1/3/2006 3:41:07 PM

Tum nay tou thak kay Dasht mainn Khaimay Laga liyey
Tanha katay kisi ka safar , Tum ko iss say kiya

Parveen Shakir's "Tooti hay Meri Neend magar...."

New Misrah

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"

Posted on 1/5/2006 2:23:25 PM

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"
yeh khazanay mumkin hai tujhay sarabon main milain

ufffffffffff main nay shair mukammal ker diya

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"
yeh woh shai hai jo bazar e mohabbat main kabhi milti nahin

oh misra kuch lamba ho gaya hai

Posted on 1/5/2006 6:30:46 PM

Tum nay tou thak kay Dasht mainn Khaimay Laga liyey
main to karaye kay makkan ka advance bhi day aaya

Posted on 1/5/2006 6:34:37 PM

oupsss...
i forgot this topic

queenu
iss topic k end mei aik book edition liye tayyar ho jae gi

Posted on 1/5/2006 7:52:20 PM

Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti
haar damaan mai hazaanay na milay tu kehna

Posted on 1/5/2006 7:59:43 PM

Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti
meray salaan sei ye kon nikal kay lei geya boti

Posted on 1/5/2006 8:04:11 PM

konsi book sall

Posted on 1/5/2006 8:07:20 PM

new_beau:
Tum nay tou thak kay Dasht mainn Khaimay Laga liyey
Tanha katay kisi ka safar , Tum ko iss say kiya

Parveen Shakir's "Tooti hay Meri Neend magar...."

tabhi main kahooon pardha hua hey....

Posted on 1/5/2006 8:31:32 PM

QUEEN VICTORIA:
konsi book sall

aap ki zaati shayari ki...

Posted on 1/5/2006 8:33:34 PM

new_beau:

New Misrah

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"
ye khazaanay tujhay mumkin hey kharaabon main milain

Posted on 1/5/2006 8:37:39 PM

hakona beta
aap na yahan se get out ho jao
mushaira hai,,, kitchen nahi

queennnuuuuuuuu
see daktar ne bhi guess kar liya,, k kis ki book
par koi khareede ga k nahi iss ki koi guarantee nahi hai

Posted on 1/6/2006 2:51:37 AM

koi nahin main tum ko aur dr sb ko gift ker doon gi
ab tum log to meri poetry perhnay say inkaar nahin ker saktay na

Posted on 1/6/2006 12:00:32 PM

Doctor Sam:
new_beau:

New Misrah

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"

"Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti"
ye khazaanay tujhay mumkin hey kharaabon main milain

oh main nay kharabon ki jagha sarabon likha tha

Posted on 1/6/2006 12:02:41 PM

Well Well Welll...Very Good iss baar misrah bhi Foran Pick ho gaya aur Tab'aAazmayee tou Waqayee pehli baar mujhay bhi QehQaha Lagaanay per Majo\boor ker gayee...HAKONA...Veryu Good...Shaadi biyaah ki Taqreeb mainn Idher Udher na dekha kero .,..Dhiyaan say Khaya kero...

NEW MISRAH....

Ishq Ujrat Talab na tha Werna

Posted on 1/7/2006 11:01:51 PM

bus kya batayeen ustaday mohtaram kya beeti hum pay.....saalan ki jo neyee tray kambahat nai undheeli bartan mai.....hum nai socha zara lapak kay 2,4 gool botiyaan daal letay hain....aik tu hamaay mashuray mai tehzeeb naam ki tu koi cheez hai he nahi janab...yaha sei hum lapkay tu kya dekhtay hain 5,6 hum jesay gool botiyoon kay dewanay pehlay he dish paar barajman ho chukay hain........hum nai islami masawaat ki baat ki tu aik nai hameen aesay dekha jesay hum sadam hussain hoon ore woe Iran kay sadar....kheer janab jis ki lathi uss ki bheens walay mashuray mai chootay sei chumach rukhnay walay ki kon suntaa.....daal kay lei geye kambahaat sara ka saraa..........ess aass mai baray ki taraf dekha kay sahied woe koi neye paraat bhaar kay la raha hooo....magar kambahtii nai yaha be pecha na choora.....dulhay wala 200 mehmanoo ka keh kay..400 lei ayeee thay ore woe salaan ki akhri he paraat thi.....dil ko tasaali detay hoyee chalay kay chaloo ajj hadiyoon wala he sahi ...vesay be hadiyoon walay ghost mai zeyada takat hoti hai tu janab ye dekh kay hamari aankhoon kay samnay aandheera cha geya kay hamrai paleet pay koi baraati hath saaf kaar geya hai..........ussi wakt be-ehteyaar mun sei ye sada nikli...

Dhoondh Ujray Huye Logonn mainn Wafa kay Moti
meray salaan sei ye kon nikal lei geya booti

Posted on 1/10/2006 10:21:48 PM

ishq ujrat talab na tha warna
2-400 tu hum be dei he detay

Posted on 1/10/2006 10:23:19 PM

hakona:

Thanks for Complete Story

hakona:
ishq ujrat talab na tha warna
2-400 tu hum be dei he detay

Abhi Kisi Nay Shair Complete nahin kiya..iss liyey No Taba Aazmayee...

Waisay bhi Ghalat kaha aap nay...baat TALAB ki ho rahi hay,,,Aap denay ki Baat ker rahay hainn

Koi sHAIR cOMPLete keray ga ya HINT doon

Posted on 1/11/2006 2:50:50 AM

Ishq Urjrat talab na tha warna
Hum teray daar pay nokri kartay

Posted on 1/11/2006 12:53:32 PM

oh wow.. Mohsin Naqvi ka sher hey...

Posted on 1/13/2006 5:34:07 PM

Freddy:
Ishq Urjrat talab na tha warna
Hum teray daar pay nokri kartay

Oye MashAallah jee... Apna Ta'aruf tou kerwayeeyy/.Iss gali mainn Kabhi aap ko Dekha nahin...

new misrah

Meray Haathonn kay Taraashay huye Pathar kay Sanam

Posted on 1/13/2006 10:47:29 PM

Meray Hathoon Kay Taraashay Hoyee Pathar Kay Sanam
ajj tum Buut Khanay main Bhagwan Banay Bethay hoo

Posted on 1/14/2006 12:10:11 AM

Quick show but Its Not Correct all

"Meray Haathonn kay Taraashay huye Pathar kay Sanam"
"Aaj But Khaanay mainn Bhagwaan Banay Baithay hainn"

TABA'AAZMAYEE plss....SALL..qv...dOC sAM..rApunzal ??

Posted on 1/14/2006 3:31:05 PM

Meray hathoon kay banay hoyee pathar kay sanam
teray hussan kay julway be'asar hum paar

Posted on 1/15/2006 2:16:20 PM

mashallah ye kahi hum paar tu nahi kaha freddy mian ?

Meray hathoon kay banayee hoyee pathar kay sanam
jala kaar kay rakh kar dein,jo dil mai samayee tu

Posted on 1/15/2006 2:59:03 PM