Logo

Guess the MISRAH

AIK itna mushkil tha

aor doosra utna e aasan...



Posted on 11/28/2005 7:18:14 PM

new_beau:
Ok JEE...Its Finish,..I will post New Misrah Now...

"Waqt Khush Khush Kaatnay ka Mashwara Deta Hua
Rou Pera woh aap Mujh ko Hosla Deta Hua"

"Aaj Mainn nay Bachpanay ki Woh Kitabainn Phaar dinn"
"Jinn kitaabonn mainn Tumhara naam tha likh hua"

"Mujh say bhi Berh ker Mili, Qurb ki Lazzat ussay"
"Sou gaya woh Aap Mujh ko Thapkiyaan Deta Hua"



bohat khoobsoorat hey...

Posted on 11/28/2005 7:19:13 PM

naya bhai jii bhi lagta so gae hein

Posted on 11/30/2005 6:03:56 PM




"Sou gaya woh Aap Mujh ko Thapkiyaan Deta Hua"


Posted on 11/30/2005 8:26:14 PM

Doctor Sam:
new_beau:
Ok JEE...Its Finish,..I will post New Misrah Now...

"Waqt Khush Khush Kaatnay ka Mashwara Deta Hua
Rou Pera woh aap Mujh ko Hosla Deta Hua"

"Aaj Mainn nay Bachpanay ki Woh Kitabainn Phaar dinn"
"Jinn kitaabonn mainn Tumhara naam tha likh hua"

"Mujh say bhi Berh ker Mili, Qurb ki Lazzat ussay"
"Sou gaya woh Aap Mujh ko Thapkiyaan Deta Hua"



bohat khoobsoorat hey...


Thanks

Posted on 11/30/2005 11:19:30 PM

SALL:
oups,,,
pehla wala to hum ko aata nahi tha


2nd one
wojood e zann se hai tasveer e kaenaat mei rang
ussi k saaz se hai zindagi ka soz e deroon


translate "soz e deroon"
tabhi koi misra khud se bana sakein ge


Good Show SALL.....

AS usual    

Soz-e-Daroon...Ander ki Tarap aur Kasak....

Posted on 11/30/2005 11:20:32 PM

Doctor Sam:



"Sou gaya woh Aap Mujh ko Thapkiyaan Deta Hua"



Lolz ...well said

Posted on 11/30/2005 11:20:51 PM

TABA'AAZMAYEE koi nahin kerta


Chalo iss baar aasaan shair...

Aao ik Sajda kerainn, Aalam-e-Madhoshi Mainn

Posted on 11/30/2005 11:22:15 PM

hmmmmm

Posted on 12/1/2005 7:05:05 PM

Log kehte hain k Saghar ko KHUDA yaad nahi...

kuch aisa e hey shayad...

Posted on 12/1/2005 8:03:47 PM

...SALL late hay iss baar...ab taba aazmayee kero

Posted on 12/1/2005 8:33:43 PM

aaaye haaye...



next misraaa...


Posted on 12/1/2005 11:10:24 PM

kehtay hain kay maey,bhula daiti hai Khuda ko
Aao ik sajda kerain aalam e madhoshi main

Posted on 12/2/2005 12:06:55 PM

QUEEN VICTORIA:
kehtay hain kay maey,bhula daiti hai Khuda ko
Aao ik sajda kerain aalam e madhoshi main


Oh MashAllah MashAllah...aap nay tou VIRDAN ko bhi peechay chhor diya..

NEXT MISRAH


"Hamhi thay Qariya-aay Dil say Nikaalnay kay Liyey"

Posted on 12/2/2005 11:13:19 PM

nahi pata...


Posted on 12/3/2005 1:41:55 PM

koi asli misrah bataye ga ya mai apna kaam keroon
bcz mujhay bhi nahin pata

Posted on 12/3/2005 6:28:44 PM

new_beau:
QUEEN VICTORIA:
kehtay hain kay maey,bhula daiti hai Khuda ko
Aao ik sajda kerain aalam e madhoshi main


Oh MashAllah MashAllah...aap nay tou VIRDAN ko bhi peechay chhor diya..

NEXT MISRAH


"Hamhi thay Qariya-aay Dil say Nikaalnay kay Liyey"

yeh tareef hi thi na?

Posted on 12/3/2005 6:39:08 PM

Hay koi Aur ?? Ya Bata doon :(

Posted on 12/4/2005 3:05:19 PM

bata dain...

aor yahan kon hey...


Posted on 12/4/2005 7:32:45 PM

yeh bh hay aur kon aata hay yahan    

Posted on 12/4/2005 9:57:03 PM




Posted on 12/5/2005 11:59:49 PM



next Misraa...


Posted on 12/6/2005 12:15:00 AM

naya bhai jii
hamari tarha k sher puchein na
itna mushkil mushkil kahan se la rahe ho

Posted on 12/6/2005 10:34:10 AM

isiliye pooch rahay hain k hum bata na sakain..


Posted on 12/6/2005 12:16:16 PM

aray nahi tmhari G knowledge main izafa ker raha hai

Posted on 12/6/2005 3:58:26 PM

NEW MISRAH


"Yeh Baat hay tou Chalo Baat ker kay Dekhtay hainn"

Posted on 12/6/2005 10:54:29 PM

Suna hey bolay to baaton se phool jhardtay hain..


ab itna aaasan kion poocha hey....

Posted on 12/6/2005 11:27:59 PM

Uljhanain zindagi ki, ger sulajhti hain baaton say
"Yeh Baat hay tou Chalo Baat ker kay Dekhtay hainn"



adab arz

Posted on 12/7/2005 5:11:14 PM

wow...



Kya baat hey....

aakhir kharboozay ko dekh k kharboozay ne rung pakard e liya..


Posted on 12/7/2005 6:20:33 PM

nahin jee
kherbooza hamesha say hi rangeen tha

aap nay meri pehlay ki taba aazmaiyun per ghour hi nahin fermaya

Posted on 12/7/2005 7:09:32 PM