Toota mera khwaab, ghubaar-e-dil aansuon mein beh gaya
Woh raah-e-wafaa mein tanha chor gaye, aur dil dekhta reh gaya
Abb Samjhayen bhi to kaise samjhayen hum apne iss Machalte dil ko....
Ek khoobsurat pyar ka rishta banaya tha....woh tor ke chala gaya...
tanhai main,
tum hamain khamoshi main na talash karna,
hum tumhai mil jaingay,
buhoot kareeb ajaingay,
zara tum apnay dil main daikhna,
wahin nazar hum ayain gay
Humain yeh dard tum ne keun diya...
hum ne aisa tum se kya kaha?...
keun humain pyar main dhoka de diya...
tum ne to pyar ka naam hi badnam kar diya...
woh ittefak tha dard humne nahin diya,
aisa bhi nahin ki pyar ko badnaam kiya,
agar waqt ne mujhe barbad na kiya hota"Neha"
humne humesha teri waadiyon ko aabad kiya...
lagta hai tum bhi hamari tarah pyar ki kashti mein sawar ho,
lekin wo pyar hee kya jisme dono ke beech na takraar ho,
lekin takraar bhi to wahin tak dil ko bhati hai,
yahan to uss bewafa ki yaad mein aankhein chalak jaati hai,
pur usne mere ruh ke saath saath dil ko bhi tod diya,
aur is bewafa jahan mein akela rehane ko chod diya,
phir bhi dil khuda se uske liye ye fariyaad karta hai,
jahan bhi rahe aabaad rahe, jise ye dil yaad karta hai.