Roz TaaroN ki numaa-ish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unki yaad aayi hai saanso zara aahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai
ZAMANEY SE NAHI HUM TANHAEE SE DARTE HAIN,
PYAAR SEY NAHI HUM RUSWAI SE DARTE HAIN,
MILNE KI UMANG BOHAT HOTI HAIDIL MEIN,
LEKIN MILNE KE BAAD TERI JUDAAI SEY DARTE HAIN...
ZINDAGI KAR GAYI SHOLOON KE HAVALE MUJKO, HAMDARD KOI HO TO BACHALE MUJHKO, MAIN WOH HEERA HOON JO BIK JAONGA HATHON HATHON, AANKH WALA KOI PALKON SE UTHALE MUJHKO
Kahin Panyo'n Main Para Hua
Main Woh Aik Sang-e-Siyah Hon
Jisay Mousamo;n Ki Khabar Nahi
Jisay Chandni ne Chua Nahi
Meri Rooh Per Mery Jism Per
Woh Jo Aik Gehra Nishan Tha
Usay Sabz Kaiyo'n Ne Bhar Diya
Woh Jo Aik Chader-e-aab Hai
Mery Sir Se Paao'n Talak Khichi
Woh Ghula Rahi Hai Tan Mera
Koi Kaash Mujhko Nikalta
Koi Hath Mujhko Ujalta
Mery Naqsh Saray Sanwarta
Mujhe NEE-E-RUKH* Se Tarashta
I think ive posted it already if so then sorry...
* Neem-e-Rukh is a Tool which is used to turn JUST A STONE into a PRICELESS DIAMOND....