Thay Mezbaan Tum Magar Mehmaan Bhi To Thay
Sab Jaantay Thay Lekin Anjaan Bhi To Thay
Zakhmi Jigar Ka Zikr Bhi Kis Sai Bhala Hum Kertay
Zakhmi Dil Kai Tum Malik_E_Makan Bhi To Thay....
''KABHI JO HAKIKAT THEY
ABB AFSANEY HOGAYE
KAL JO APNEY THEY
AAJ BEYGANEY HOGAYE
BEYKAAR KA RONA HAI
KYON ROTA HAI SAROSH
YEH KHEYL TO TU BHI JANTA HAI
KITNEY PURANEY HOGAYE''
kabhi khamosh behtho gaye kabhi kuch gungunao gaye.
main utna yaad aoon gi mujhay jitna bholao gaye...
nai ratomain tum aksar puranay din talasho gaye
koi chehra bhi mil jaye mera chehra tarasho gaye
Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...
Is rangein duniya mein udasi ka sabab...
Is terha toot kay chahne ka sabab...
yun apne dil mein Basane ka sabab...
har lamha us ko sochne ka sabab...
apne naam Se yun jorne ka sabab...
bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab...
labon se choone ki tamana ka sabab...
juda ho janay kay dar ka sabab...
kho janay kay dar ka sabab...
bichar janay kay dar ka sabab...
bhool janay kay dar ka sabab...
kia kahoon mein...kia kehta
bas yahi keh saka...Kay
tum meri ho
mujhay tum se mohabat hai
"woh Dil hi mera torr gaya
ek choti si baat pe rooth gaya
mujhe chor gaya bhari duniya main
mere Dil ko kaise torr gaya
maine sapne dekhe sab us ke
woh sapne kaise torr gaya
main jo us ki thi woh mera tha
woh kaise yeh sab bhool gaya
mere Dil ki baat hi na jaan saka
woh bewafa kya karta wafe
woh meri wafa ko bhool gaya
woh Dil hi mera torr gaya
Muskaratay Raho Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Aik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii men mein humesha.... muskuratey raho