Logo

~*~* Barish Ke Baad ~*~*

mughl-e-azam:
Kash main terre haseen haath ka kangan hota
tu baray pyaar se chaho se baray maan ke saath
apni nazak se lalayi charhati mujh ko
aur betabi se furkat ke khizan lamho mein
tu kissi soch mein dobi jo ghomati mujh ko
main terre haath ki khusshbo se mehak sa jata
jub kabhi mode mein a kar mujhay chooma karti
terre hontoon ki hiddat se dehak sa jata
raat ko jub bhi tu nendoon ke safar par jati
Marmari haath ka ik takiya banaya karti
main terre kaan se lag kar kayi batein karta
terri zulfoon ko terre gaal ko choma karta
jub bhi tu band kaba kholne lagti Jana
apni ankhoon ko terre hussan se khera karta
mujh ko betab sa rakhta terri chahat ka nasha
main terri roh ke gulshan mein mehakta rahta
main terre jisam ke angan mein khanakta rahta
kuch nahi to ye hi benaam sa bandan hota
Kash main terri haseen haath ka Kangan hota
                        Mohabbaton Ka Safeer



My favourite one

Posted on 4/12/2005 3:16:19 PM

ok Thanks

Posted on 4/12/2005 8:44:21 PM

veryy nice mughl-e-azam

Posted on 4/13/2005 1:38:30 AM

mughl-e-azam:
ok Thanks



Posted on 4/13/2005 5:12:02 AM

main ney dekha tha unn dinno mein ussey
jub wo khiltey gullab jessa tha
uss ki palkon se neend chanti thi
uss ka lehja sharab jessa tha
uss ki zulfoon se bheegti thi ghatta
uss ka rukh mehtaab jessa tha
log parhtey they khaal-o-khat uss key
wo adab ki kitab jessa tha
bolta tha zuban khushboo ki
log suntey they dharkano mein ussey
main ney dekha un dino mein ussey
sari aankhyein thein aayeena uss ki
sarey chehreoon mein intekhab tha wo
sab se ghul mil kar ajnabi rehnaa
eik darya numma sarab tha wo
khawab ye hai key wo haqeeqat tha
ye haqeeqat hai koi khawab tha wo
dil ki dharti pe' aasman tha wo
surat-o-saaya-o- Sahab tha wo
rang partey they aanchlon mein uss key
main ne dekha tha unn dino mein ussey
jub wo hans hans key baat karta tha
dil key kheymey main raat' karta tha
main ney paaya hai rut-jaggon mein ussey
main ney dekha tha unn dino mein ussey
jab main tha uss mein'aur mujh mein woh

Posted on 4/13/2005 9:01:39 PM

hmm nice

Posted on 4/14/2005 3:46:24 AM


Posted on 4/14/2005 1:16:23 PM


Posted on 4/14/2005 8:04:59 PM

Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Rahi Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi sahil
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Posted on 4/14/2005 8:12:32 PM

Xcellent

Posted on 4/15/2005 2:57:36 PM

mughl-e-azam:
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Rahi Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi sahil
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili



Posted on 4/16/2005 2:13:50 AM

yun to guzra hai her ek pal khushi ke saath phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
rishte, wafayen, dsoti sab kuch to paas hai kya baat hai pata nahi Dil kyun uddas hai
her lamha hai haseen nayi Dilkashi ke saath phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
chahat bhi hai sakoon bhi Dilbari bhi hai aankhonmein
khuwaab bhi hain labon par hansi bhi hai
Dil ko nahi hai shikayat kisi ke saath
phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
socha tha jaisa waisa hi jeewan to hai magar
ab aur kis ki talaash mein bechain hai nazar
Qudrat ki to meherbaani hai darya Dili ke saath
phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath....

Posted on 4/16/2005 7:12:21 PM

Thankssssss

Posted on 4/16/2005 7:12:59 PM


Posted on 4/17/2005 5:35:43 AM


Posted on 4/17/2005 11:22:14 AM


Posted on 4/17/2005 11:25:39 AM


Posted on 4/17/2005 11:27:43 AM

main lafzon mein kuch bhi izhar nahi karta is ka matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta chahta hoon main tujhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta jo kuch mila hai usi mein khush hoon main tere liye KHUDA se taqraar nahi karta par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karta...

Posted on 4/17/2005 11:28:25 AM

Zabardast

Posted on 4/17/2005 11:31:22 AM


Wowwwww superrrrrrr



Posted on 4/17/2005 8:52:36 PM


Posted on 4/18/2005 12:48:55 AM

shukriya shukriya

Posted on 4/19/2005 1:48:01 PM

Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,

Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa,

Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa

Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa

Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,
Ussay Bhool Jaa

Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa

Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja

BHOOL JA

Har Baat ka JAwab Inkaar Nahi Hota
Har Jaga Per Rukna Intizar Nahi Hota
Yoon Toh Milti Hein Hazaroon se nazrein
Har Nazer ka Milna Mager Piyar Nahi Hota         &n bsp;

Posted on 4/19/2005 1:49:45 PM

Very nice

Posted on 4/19/2005 1:53:16 PM

THANKS

Posted on 4/20/2005 5:20:05 PM

jiss din se lagi jhoti meri batein uss ko
uss din se likha kuch bhi nehin main ne uss ko
zindagi se barh ker jisay caha main ne
ajj uss ne hi jhoota keh diya mujh ko
ajj tak na kiya mery piyar pe aetbar uss ne
dil ne yeh kaha ke kioun keroon piyar uss ko
taras ata hai ab tu apni hi halat pe mujh ko
kesy zinda rahoon kesy bhool jaoon uss ko
kioun na kaha ke zehar marr jaoon
majboor hoon kioun ke kudkushi kehty hain iss ko.

Posted on 4/20/2005 5:22:51 PM

nicee

Posted on 4/23/2005 4:34:49 AM


Posted on 4/23/2005 4:52:00 AM

Zindagi ki khawahish main,

Kya janaeeN,
ye raasta unheen kahan tak le jae ga,
waqt ka pahiya jab achanak beraham ho jaae ga,
wafa ka waada kerne waala bewafa kehlaae ga,
chahat ka dawa kerne wala, tum ko dooshi tahraae ga,
tab khulay gi ek haqeqat,
ye duniya mardooN ki hai,
raaj chalta hai chaar soo inka,
Qoom hamaari hai bebus,
Dekho tu larki, ghoor karo,
tum hi kyoon majboor bano,
zalimoon k zulm saho,
kyoon tum ne banaya khud ko bequs,
Lachaar, majboor aur bebus,
kyoon ansooN hain taqdeer tumhari,
kyoon khushiyaan tum se rooth gae hain,
kyoon Aurat hi hai wafa ki dewi,
kyoon iske zimAay hi qurbani,
SHAYAD...
barsoon se esa hi hota aya hai,
sadiyoon tak esa hi hota jae ga,
ek na ek din her jhoota bharam toot hi jaae ga,
haath pakar ker chalne wala jab dhooka de jaae ga,
ye rasta sirf aur sirf MAUT tak le jaae ga,
phir tum soocho gi, ghabrao gi,
roo lo gi, pachtaao gi,
SUNO LARKI,
gaar tum bachna chahti ho,zinda rehna chahti ho,
apnay qadam wapis le lo,
ab bhi waqt hai laoot aao,
laoot aao tum laoot aao

Posted on 4/26/2005 7:21:02 PM


Posted on 4/27/2005 2:55:07 PM