Logo

~*~* Barish Ke Baad ~*~*

Posted on 4/27/2005 4:25:42 PM

Kabhi iqrar kar layna kabhi inkar kar layna
kahaan say tum nay sekha hai anokha pyar kar lyna

tumhain baanhoon main bhar k serif yehhi pygam dena tha
apnay sooy jazboon ko zara bydar kar layna

kabhi chahat say tum magloob ho kar muskora dyna
kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lyna

kabhi shola kabhi shabnum kabhi shadaan kabhi barhum
kabhi roona kabhi lyhjay ko phir jhankar kar lyna

tumhari yeh bolti ankhain yeh gur jantee bhee hoon gi
hum aseeoon ko aseer nagmaan guftaar kar lyna

salika chaheyeh rah talab main jinay marnay ka
nahi zeba mohabbat ko janoon aasar kar lyna

mohabat ek naymaat hai essay hanza yeh samajh na
monasib to nahi hoga esay aazad kar lyna

Posted on 4/27/2005 4:29:57 PM

Posted on 4/28/2005 1:22:45 PM

Posted on 4/28/2005 7:02:56 PM

Laboon pe akhri dum hai kabhi milne chalay ao
humein abb bhi terra ghum hai kabhi milne chalay ao
tumharay bin bhari basti weraan lagti hai
humara Dil nahi lagta kabhi milne chalay ao

Posted on 4/28/2005 7:05:26 PM

Posted on 4/29/2005 3:59:25 AM

Posted on 4/29/2005 1:26:00 PM

Mohabaton k diyain jala ker kabhi to dekho
Tum mery dil main jhank ker kabhi to dekho

Meri mohabat seepion ki manand bekimat perhi hai
Kabhi barish ka pehla katrah ban ker to dekho

Mujhy meri mohabat mily gi zaroor !
Isy yakeen ka bharam rakh ker to dekho
Mery saber ka imtihan aur na lo
Bas aik! aik bar mery samny a ker to dekho
Milain gay tujhy wafaon k naghmy
Mery dil ki dharkan ban ker to dekho
Main tujhy door asmano pe chand ki manand chamakta dekhti hun
Kabhi asman se meri dil ki zamin pe uter ker to dekho
Ye wadhain wafaian ,ye khushian ye ansoon, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho
Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi khuda se meri mohabat k bary main poch ker to dekho

Posted on 4/29/2005 3:53:14 PM

Posted on 5/1/2005 3:30:11 PM

KABHI KITABOON MEIN

woh Chand Cherey Woh Behki Bateen
Sulagtey Din Thay Mehakti Rateen
Woh Chotey Chotey Kagazoon Per
Muhabbat Ke Peyaam Likhna
Mere Nagar Ki Haseen Fizaoon
Kahiin Jo Un Ke Nishan Paoo
Tu Pochna Ye Kahan Basay Ho
Kahan Hai Un Ka Qeyaam ?Likhna
Gaii Rutoon Main sheraz Hamara
Bas Ek Hi Tu Mashgala Hai
Kisi Ke Cherey Ko Subha Kehna
Kisi Ki Zulfoon Ko Sham Likhna

Posted on 5/1/2005 3:34:11 PM

is that u in the pic

Posted on 5/1/2005 3:43:52 PM

Yeah Its Me

Posted on 5/5/2005 7:31:23 PM

khobsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain

khobsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de

khobsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey

khobsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khobsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney

khobsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein

khobsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho

khobsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein

khobsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein

khobsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!

khobsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey

khobsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khobsoorati ata ki.

Posted on 5/5/2005 7:33:03 PM

Mein Dhoop Mein Tanha Sar Jhukaey Baythi Thee...
Keh Tum Ghani Chaoon Ban Kar Meri Zindagee Mein Chalay Ayay
Tum Qareeb Ayey, Mera Chehra Uthaya, Meri Ankho Mein Jhanka!!
,Muskaray,
          
Tum Nay Kaha Keh Apni Aankhon Kay Aansoo Tum Ko Day Doon
Tum Unn Mein Sapno Kay Moti Sajaoo Gay,
Piyar Kay Deep Jalao Gay!!
Mein Nay Wo Aansoo Qatra Qatra Tum Ko Day Diyay
Tum Nay Kaha Apni Udass Shamein Tum Ko Day Doon
Tum Unn Mein Khushiyun Kay Rang Bhar Do Gay,
Bahron Ko Mera Jewan Kar Do Gay!!
Mein Nay Sabhi Sahmein Pal Pal Kar Kay Tum Ko Soanp Deen
Tum Nay Kaha Apni Kahmosh Tanhai-yan Tum Ko Day Doon
Tum Unn Ko Chahtoon Say Aabad Kar Do Gay,
Tum Mujh Ko Har Ghum Say Aazad Kar Do Gay
Mein Nay Lamha Lamha Tanhai-yan Tum Ko Day Deen
Aor Ab Jab Kay Tum Jo Pass Nahi Ho
          
Meri Aankhon Say Aanso-On Kay Sabhi Sapnay Lay Kar
Meri Udasi-Yuon Kay Sabhi Rang Lay Kar
Meri Khamosh Tanhai-Youn Ka Sang Lay Kar
Mujh Ko Khali Haat Aor Tahi_Damaan Kar Kay
Mujh Ko Meri Zaat Mein Akaila Kar Kay
Tu Bataoooo Mein Kia Karoon Ab, Keh Tum Tu Mujh Say.
Kariiiiiiiiii Dhoop Ka Sath Bhee Lay Gaey!!

Posted on 5/10/2005 6:02:35 PM

very nice mughl-e-azam sir

Posted on 5/14/2005 7:01:43 AM

Thåñk$ Zè$håñ Jåñî

Posted on 5/16/2005 7:31:44 PM

Êk Tè®å Êh$å$ Håî
Jº Hè® Wåqå† Mè®åý §åå†h Håî
‡k Tè®î ¥ååd Håî
Jº Ðîñ Råå† Mµjhèý Tè®Þåå†î Håî
‡k Úmèèd Håî Tè®åý Áåñý Kî
ÁÞñå Tµjhèý ßåñåñý Kî
Ñå Çhåîñ Håî Ñå §åkººñ Håî
¥èh Kè$å Mè®å Håll Håî
Råå†èñ Hº Gåî Håîñ ‡†ñî £åmbî
Jº Kåå†èý Ñåhîñ K円îñ
Ñå ßhººk Håî Ñå ¶îýå$ Håî
Ñå Kºî Áå$ Håî Ñå Kºî ¶åå$ Håî
ßå$ ‡k Tè®å Êh$å$ Håî
Jº Hè® Wåqå† Mè®åý §åå†h Håî

Posted on 5/16/2005 7:37:04 PM

again nice

Posted on 5/17/2005 3:39:12 PM

Just nice nahi Always Nice

Posted on 5/17/2005 4:21:01 PM

Sarre rah kabhi unn se kuch kaha nahi
unn key ghar main kabhi gya nahi
main jannum jannum se uss ka hoon
ussey ajj tak ye pata nahi
ye khuudda ki dein bhi ajeeb hai
key uss ka naam naseeb hai
jissey tu ney chaha mil gya
jisey main ney chaha mila nahi

Posted on 5/17/2005 4:23:50 PM

Posted on 5/18/2005 2:39:47 AM

Posted on 5/19/2005 6:48:31 PM

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

Posted on 5/19/2005 6:49:14 PM

very ncie ji

Posted on 5/20/2005 11:19:07 AM

Thanks My Friends

Posted on 5/21/2005 6:43:58 PM

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

Posted on 5/21/2005 6:44:40 PM

mughl-e-azam:

nice ji

Posted on 5/21/2005 7:03:24 PM

Posted on 5/21/2005 7:03:34 PM

mughl-e-azam

Posted on 5/22/2005 1:02:09 AM

Posted on 5/23/2005 11:39:47 AM